Gotham

Gotham

Descargar subtítols en Urdu

Temporada 2

Información d'a versión

Gotham 2015 Season 02 Episode 11-20 Urdu
Un comentario de kikywebsite

Etiquetas

other
Publicau o: 2019-05-10
Descargas: 24
Ta personas con problemas auditivos: No

Anvista previa d'os subtitulos en Urdu

As primeras 200 linias.

Ab tak Gotham mein...

Humare bhai abhi bhi samandar paar kar ke arahay hain

Gotham ko paanay ke liye khoon bahana parega

Naun anjaan logon ko maar kar? Tum pagal ho

Aur saaray sarkash anjaan nahin thay

Gotham ke betay

Meri poori koshish hogi ke tumsay sach nikalwaun

Mujhay haath bhi lagaya toh mere uncle tumhein chorengay nahin

Ab theek hai?

Haan.

-Bruce. -Main ne kabhi tum par bharosa nahin kiya

Tumnay mera dost bannay ka naatak kiya. Alvida, Silver.

Maar do isay

Galavan kahan hai?

Tumhein kiya chahiye?

Aray, tumhari zindagi,

Zahir hai

Suno, doston.

Main ne hard drive theek karli

Bruce?

Alfred?

Tum theek ho?

Paani piyo gay?

Main unn kaghzaat pe dastakhat nahin karunga, chahay tum jo karlo

Main ne haar maan li Tum aik bahadur larkay ho

Mujhay tumhari company dusray tareeqay se ikhtiyaar karni paregi

Mera asli naam hai Dumas.

Aur bohat arsay pehlay,

Mera khandan beizzat kiya gaya aur dhutkara gaya tha...

Tumhare khaandan ki taraf se

Mujhay sun kar afsos hua, magar...

Sadiyon se humara kabeela...

Haqeer aur ghaleez gumnami mein raha

Magar humein umeed thi

Kyunke humare azeem wali

Ne humein bataya ke humare achay din ayengay

Magar woh sirf tabhi ayengay...

Jab gotham ke naun anjaan aur humaray jaani dushman ki akhri nasal...

saleh haathon se zibaah kiye jayengay

Aur woh tum ho, Bruce.

Tum hi aakhri betay ho

Mat karo yeh

Tumhein toh khush hona chahiye larkay

Tum apnay khaandan ki ghalti sudharogay

Saath naslon se,

Wayne khandan buraiyon aur badunwani mein mubtala tha

Toh aj raat, pehle se bataye gaye beech raat ke lamhay mein,

Dumas ka badla liya jayega,

Aur Wayne khandan ke gunaah...

Tumhare khoon ke saath dhul jayengay

Uff taubah!

Yeh kiya hai?

Aakhir kaar

Kesa mehsoos kar rahay ho?

Itna acha nahin hun

Nygma?

Hello

Lambi kahani hai. Yeh aik dost hai

Dost?

Koi baat nahin, beherhaal

Shukriya ki zarurat nahin, tumhari zindagi bachanay ke liye

Haan, shukriya, shayad

Nahin, waqai mein

Aakhir dost kis liye hotay hain?

Tumnay aaj bohat buri maar khaayi

Woh Galavan khatarnaak hai, haina?

Haan, woh hai

Tum azaad ho, zahir hai, Jim.

Chaahay tum qanoon ke aik baychain mafroor hi kyun na ho

Tumsay guzaarish karta hun,

Batho aur socho

Tum aur main aik bandhan mehsoos karte hain Theo Galavan ke liye

Aik junoon, agar kahun toh

Agar kabhi humein saath kaam karne ka mauqa milay ga toh,

Woh waqt ab hai

Haan, bhai, sab kuch tumhara hai

Khuda ke liye, muskurao.

Kiya tumhein uska naukar mila?

Nahin

Tumnay usay kho diya?

Aik burha naukar kiya kar sakta hai?

Baat yeh nahin hai

Masla hai tumhari masnooyi nazakat ka

Hum yahan aik karobaar khara kar rahay hain

Kiya ab hum pareshan ho rahay hain?

Tumhara bachpana ab mazahiya nahin raha

-Tumhein bari hojana chahiye -Bas kar do

Tum apni mardangi kyun nahin dikhatay zara

Jaisay main tumhein pehlay se nahin jaanti

Bas karo

Iss paisay aur taqat ke baghair, tum kiya ho?

-Aik udaas chotay... -Main ne kaha bas kardo

Uncle Theo?

Ji, meri jaan

Kiya baat hai?

Mujhay nazla ho raha hai

Main soch rahi thi ke aaj raat main jaldi sojaun aur agar apko sahi lagay...

toh aaj ki rasam main na jaun?

Nazla?

Waqai?

Main soch raha hun, Silver, agar tum humare agay ke kaam anjam bhi de sakti ho

Bilkul

Bruce Wayne ne tumhain haraya,

Aur phir bhi tumhein uska ehsas hai

-Woh tumahre liye kuchbhi nahin hai. -Haan woh kuch nahin

Woh mere liye koi maainay nahin rakhta

Magar tum usay martay huay nahin dekh sakti?

Tum nazuk ho, Silver. Tum mein humdardi hai

Nahin

Nahin?

Chalo, dekhain abhi?

Main tumhara aik imtehaan lunga

Jo bolain.

Bruce Wayne ko phir se apnay pyaar main phansao

Main usay tumhein marnay se pehlay pyaar karte dekhna chahta hun

Magar woh jaanta hai

Woh janta hai main kon hun ab

Woh mujhsay nafrat karta hai

Kher, yahi toh intehaan hai.

Agar tum itni faraib ho ke uska dil jeet lo...

Aur itni zaalim ho ke uska marta dekhtay huay hans sako,

Tabhi main samjhunga ke tum iss khandan ke naam ke laiq ho

Waqai mein bhai?

Bachi hai woh usay chor dein

Tum phir se boli? Waqai?

Koi aur raasta hai?

Aray meri jaan

Main tumhein pasand karta hun,

Magar khandan ki behtari pehlay aati hai,

Aur Dumas khoon ki aur bhi larkiyan hain...

Jinke liye main rukh kar sakta hun,

Agar tum apnay aap ko saabit nahin kar payi

Samjhi?

Waqai mein?

Mera haseen bhai idhar tumhein sarak pe phenk dega,

Agar woh humdardi ki waja se tumhein maarta nahin

Kher, bas ab burayi hi matt socho sirf?

Tum kar sakti ho. Main jaanta hun

Hazir dimagh aur baireham reh kar kaam karna

Kuch acha sa pehen kyun nahin leti?

Hello.

Tum yahan kyun aayi?

Main kehna chahti thi...

Main waqai,

Maafi maangna chahti hun kal jo hua uske liye

Aur sharminda hun ke tumsay jhoot bola

Mujhay woh sab karna para jo mere uncle ne mujhsay kaha

Magar main jaanti hun ke tum aik achay insan ho,

Aur agar main tumhari madad kar sakti, toh zaroor karti

Magar main nahin kar sakti, Mujhay maaf kardo

Aur mujhay laga shayad tumhein kisi ke saath ki zarurat hogi

Lekin agar tumhein nahin chahiye, toh theek hai,

Main chali jaungi

Haan

Ehsan kardo aur jao

Tum waqai mujhsay nafrat kartay ho?

Mujh mein tumhare liye kisi bhi tarhan ka ehsas nahin hai

Kher, main tumhein pasand karti hun

Aur main maafi chahti hun

Bas itna hi

Tum agar rukna chaho toh ruk sakti ho

Zara suniye

Ruko, ruko, ruko!

Ruko, ruko, ruko!

Zara suniye, sir.

Kiya tum pagal toh nahin ho?

Ruko! aray, hato bhi!

Bahar niklo, mujhay kaam ke liye jana hai!

Main tahedil se maaf chahta hun, sir.

Mera jaldi jana ashad zaruri hai

Thehro!

Aray afsar, bas apka...

Captain, yeh sab kiya hai?

Aap ne warrant jaari kiya hai Jim pe?

Hathiyar ke saath aur khatarnaak?

Bilkul sahi

Woh koi mujrim nahin hai

Woh shayad aghwah ho gaya hai ya-ya-ya kuch aur.

Suno, umeed hai tum sahi ho

Magar jo samnay haqeeqat hai ussay toh kuch aur pata chala

Usnay mayor se badtameezi ki aur GCPD ki nigrani se bhaag gaya Penguin ke saath

Do achay afsar mar gaye aur ab woh aik farar qaidi hai.

Tum isay mujrim nahin kahogi toh phir kiya?

Galavan ki waja se hi...

Galavan mazloom hai jab tak sabit nahin ho jata

Agar jim kharab nahin, toh yeh mujhay ussi se sunna hai

Woh kahan hai? Kiya tum jaanti ho woh kahan hai?

Nahin

Kiya tum jaanti ho woh Penguin ke saath kabse mulaviz hai ?

Woh Penguin ke saath kaam nahin kar raha

Aur woh kharab nahin hai, aur mujhay iss tarhan sawal karna band karo

Bas karo. Tum uski saathi ho

Tum jaanti ho mujhay tumsay yeh sawal karnay parengay

Main tumse phir puchta hun kiya tum jaanti ho woh kahan hai,

Kyunke agar tum janti ho, aur mujhay nahin bataya,

Toh tum bhi uske saath jurum main mubtala ho jaogi

Main nahin janti woh kahan hai

Mujhay bhi tumhari tarhan yeh sab nahin pasand

Jim mere liye betay ke barabar hai

Aik baap thora toh yaqeen dikhata

More Urdu subtitles for Gotham

Comentarios

No comments yet. Be the first to leave one.

Keep it about this subtitle — sync, quality, typos.500 characters left