أول 200 سطر.
Arrow ke pichla season mein...
Woh sab takleefain aur lachaargi raaigah tou nahin gayein...
...jo tum jazeeray se apnay saath laye thay.
Main waapis isliye aaya hoon...
takay is shehar ko bachanay ki koshish kar sakoon.
Tum ne ghalat banday ko pakar liya.
Oliver Queen Arrow nahin hosakta.
Main hi hoon.
Sab ko lagta hai ke Arrow mar chuka hai
jiska matlab Oliver Queen bekasoor hai.
Jab mainay League mein shamooliyat ki thi mujhay
aik aadmi ki khabri ke bataur muqarar kiya tha
Damian Darhk. Damian League ke tareeqon ko barqarar rakhay huay hai,
lekin apnay idaray ke zariye jis mein agent ka groh bharti kiya hua hai.
John?
Kuch garbar hai.
Pehlay main tumhain iss baat ki yaqeen dehani kardeta hoon
ke Lyla par koi aanch nahin aayegi.
Tum ne sirf meri dosti hi nahin khoyi
mera aitemaad aur apnay liye izzat bhi kho di hai.
Yeh sirf isliye kiya gaya takay tum donon mehfooz reh sako.
Mujhay mehdood groh rakhna parha.
Tum ne meray dil mein aisay jagah banayi ke
...jiska mujhay khud andaza nahin tha.
Aur main tum se mohabbat karti hoon.
Kya main kuch ajeeb baat bataoun?
Main khush hoon.
Subah bakhair!
Kaisay hain?
Hey.
Oh. Acha.
Garam hai.
Garam.
Felicity Smoak...
tum iss omelet bananay mein nakaam hogayi ho.
Sach?
Haan.
Pata hai yeh nainsaafi hai ke tum araam se khana bana letay ho.
Khair main hamesha se apnay liye naye mawaqay dhoondta rehta hoon...
...jazeeray mein nayi cheezain karnay ke ilawa,
jis mein...
...paka hua aur kacha dono hota tha.
How was your jog?
Acha tha.
Main aadat daa lraha hoon bhaagnay ki bina kisi ka peechay kartay huay.
Thora sa paseena aa raha hai.
Jaanti hoon. Yeh bohat acha hai.
Haan.
Tum ne yeh hata diya?
Mujhay iski zaroorat nahin thi.
Tou tum ne baaqi ke din ke liye kya socha hua hai?
Palmer Tech board ke saath aik business conference hai,
jinko abhi bhi shuba hai ke main Ray ki miraas ko aagay barha sakta hoon.
Hey, tumhain company waapis milna kaisa lagega...
...bataur qabal Christmas tohfah?
Tum mujh se behtar usay achay se saranjaam de rahi ho.
Woh diwaliye se kaafi manoos hogayi hai.
Exactly. This is flirting.
Mujhay jaana hoga.
Tum abhi kahan jaa rahay ho?
Mujhay Farmers Market se kuch samaan lena hai...
kal ke khanay ke liye.
Sahi. Hoffmans anay walay hain kal main bhool gayi.
Main shayad mansooba banatay huay nahin thaknay wala...
...jin mein aisay log mulawwiz hain jo meri jaan ke dushman hain.
Kitna mazah aa raha hai na!
Tumharay mazay ke matlab par thori mehnat darkaar hai.
Idhar aao.
Yeh bohat hi barhya hai!
Speedy, tumharay peechay!
Main ne kaha bhi tha ke mujhay Red Arrow bolana.
Red Arrow ka matlab hi yahi ka ulta pao nahin murna.
Jo bhi. Main aik yarghamal huay truck mein maujood hoon.
Canary, tumhari baari hai.
Hud hai! Unkay paas koi backup hoga.
Kisi ne churaai huay cargo par nazar daali?
Woh equipment containers ki tarha dekhtay hain.
Equipment nahin aslaah.
Dosri cheezon ke saath, Kord Industries...
...duniya ki sab se barha aslaa manufacture sanat hai.
Aur woh bohat hi kamaal ke mobile bhi banatay hain.
Haan lekin zyada tar aslaha.
Kaafi zyada.
Yeh ghost, agar hum inhain yahi naam se pukaar rahay hain,
hamlay ki taiyaariyan kar rahay hain.
Escalating. People are so scared,
woh apnay ghar bhi nahin chornay ke liye raazi.
Agarchay unhain beech raat mein boriya bistar baand kar
shehar chorna paray.
Tou tum kya chahti ho ke hum football utha kar ghar chhor kar bhaag jayein.
Nahin.
Hum madad talab kartay hain.
Oliver tou bhaag gaya.
Yeh in logon ki shehar par qabza karnay se pehlay ki baat hai...
...jiske sabab yeh aik jangi muqaam bangaya hai.
Hum mushkilaat se dou chaar hain.
Aur Oliver ka maanna tha ke hum yeh sambhal laingay, Laurel.
Aur woh sahi tha.
Meri kal raat Walter Steele se baat hui. Uss ne inkaar kardiya.
Khair tumhain is baat se taajjub hua?
In teen saalon mein hamaray 3 naazim rahay hain aur aik naazim ka umeedwaar...
jo sab maut ke ghaat utar chukay hain. Koi bhi insaan jo aqal o shaoor rakhta ho
apni jaan jokham mein nahin daalega.
Kya hum aisi maamlat nahin aagay jaari rakh saktay
jis se comittee city hall ki nigedaash karsakay bajaye naazim ke.
Shayad hamein chahiye ke tumhara dheyaan ghost ko dhoondne par lagayein.
Yeh tou media unhain naam de kar bolati hai.
kyunkeh woh bhoot ki tarha ghayab hojatay hain.
Yeah, I didn't say it wasn't cute.
Haqeeqat yeh hai ke unhain pakarna bohat mushkil hai.
Woh koi aam roz marra ke mujrim nahin.
Aam roz marra ke mujrimon ke paas cyanide capsules nahin hotien...
jo danton se chaba kar maut ke galay laga letay hain tafshish se bachnay ke liye.
Main yahan apni bharpur koshish kar raha hoon.
Hum chahtay hain ke tum iss se behtar karo.
Yeh shehar pehle se tabahi par tha in
makhauton walon ki nuqsaanat pohanchanay ke.
Dekho hum in logon ko aakhirkaar pakar laingay aur cheezain badal jaingi.
Matlab dekho, hum ne shehar ko aik nayi shaqal di hai
hamaray paas naya tourism program hai,
aur nayi taiz raftaar rail line hai Central City ke jaanib.
Umeed hai ke Central City se bhi aagay.
Khair shaayad hamaray paas bhi Flash day ho unki tarha.
Mudday ki baat yeh hai ke hamain logon ki aamad o raft chahiye,
jiska matlab hoga paison ki aamad o raft.
Oh, nahin. Apni tashreef rakhiye.
Maaf karna, yeh aik private meeting hai.
Oh, zabardast.
Mujhay mudaakhlat napasand hai.
Tum kaun ho?
Main? Wohi aadmi jiski tumhain talaash hai.
Main woh hoon jo qaboo mein kiye huay hoon...kya boltay ho tum unhain?
The ghosts?
Tou tum sab shehar ki tabaahi par pareshan ho.
Main yahan aik idaaray ke jaanib se aya hoon...
jo chahta hai ke usay zawaal pazeer honay dou.
Dekho ikhtetaam aik bohat khubsurat cheez hai.
Hum sab ko zawaal hoga, hum matti mein jaa kar miltay hain,
hamaray baaqiyat ugg kar phool banjatay hain.
Yeh tou uss muddat ke dauran jab hum martay hai ke koi cheez ubharti hai.
Bas bohat hua. Niklo...
Shehar kutton ke maanind hotay hain.
Tum unhain sarkon par dard se tarapta hua dekhogay
tou tum un se chutkara haasil kar letay ho. Unhain tarapnay nahin detay.
Main security ko bola rahi hoon.
Susanna, pursukoon hojao. Aao baitho.
Yeh tou bohat badtameezi hai.
Tum mein se koi bhi qablay pasand nahin
lekin agar tumhara koi dost hai
...ya tumhara koi azeez,
mera mashwara hai ke unhain alvida kehdo.
Meray log un se rabtay mein hongay.
Oh, Oliver,
yeh andaa tou lajawaab hai.
Yeh mut kehna ke tum ne banaya hai.
Slow cooker ke andar. Wohi jo tum hamaray liye layi thi haan.
Mujhay pata tha pata tha mujhay.
Log hamesha usay istemaal karnay mein jhijaktay hain
lekin slow cookers tou kamaal ke takhleeq hai.
Pata nahin par abhi tak yeh bumper sticker par kyun nahin likha gaya.
Pata hai.
Kyunkeh hum zindagi badal denay walay mauzo par baat kar rahay hain,
tum logon ko yahan school ke maamlaat mein shaamil hojana chahiye.
Hum tumharay liye recommendation letter likh saktay
hain school ki waiting list mein anay ke liye.
lekin...uss sab ke liye hamain bachon ka
hona ya bachay ka pehlay hona zaroori nahin?
Oh saalon lag jatay hain uss fehrist par naam anay mein.
Aur mujhay yaqeen hai ke tum log bachon ke hawalay se zyada waqt nahin lagaogay.
Haan hum ne iss baray mein baat nahin ki hai bahi tak.
Kisko mimosas chahiye?
Mujhay dekhna hai isay. Kya tumharay paas hai?
-Jaan yeh... -Khamosh jaan.
Tumharay paas hai hai na? Hai na maujood?
Haan.
Oh, yeh tou kamaal ka hai.
Yeh meri waalidah ka hai.
Tou phir tum kab...
...shaadi ke liye poochnay walay ho?
Aaj raat.
Tum log kya baat kar rahay ho?
Yaar!
Umdaah phurti!
Hat jao paagal.
Chhay log mar chukay hain...
...uss crank se jo tum dhakail rahay thay.
Un mein se chaar bachay thay!
Tum ne yaqeenan aik bohat hi ajeeb masroofiyat chun li hai Ms. Queen.
Us ne kaha tha ke woh hum sab ko maar dalega.
Kya kamaal ki press conference thi.
In logon ko achi yaad dehani ki zaroorat thi...
ke shehar dehshatgaron ke aagay nahin jhukta.
Susanna?
Mujhay laga ke iska ajeeb zaaiqa hoga.
911 ko phone karo!
Susanna? Kya baat hai?
John, aik nayi pareshani ka saamna hai.
Shehar ki qayaadat nishana bani hui hai.
Unhon ne district attorney ko zehar de diya.
Main apnay abbu ke paas ja rahi hoon.
No comments yet. Be the first to leave one.