Prvních 200 řádků.
Jab main chota tha, aur main khud ko tanha mehsoos karta tha
tou main taaron ko dekhta tha.
Sochta tha kia wahan koi rehta bhi hai.
Phir pata chala ke main galat simt mein dekh raha tha
Jab khalai maklooq humari dunya mein daakhil hui tou woh Pacific ocean se hui
Aik daraar do arziyaati parton kay beech.
Do dunyaaon kay beech ka darwaza.
Woh raasta.
Main pandra saal ka tha jab pehle Kaiju ne San Francisco mein qadam rakha.
Jab tak tankon, jahazon aur missailon ne usay roka
chhay din aur 35 meel baad
teen shehar barbaad ho chuke thay.
Lakhon jaanein gaien.
Hum ne marne walon matam manaya, us haadsay ko yaad kiya aur agay barh gaye.
Aur phir, sirf chhay mahinay baad, dosra hamla Manila par hoa.
Kaiju kay khoon ka taizaabi ansar
aik zehreela ma'dda banata hai jo Kaiju Blue kehlata hai.
Aur phir teesra hamla Cabo par hoa.
Aur phir chhauta.
Aur phir hum samajh gaye ke yeh kabhi nahi rukne wala.
Yeh to bus shurwaat thi.
Humein aik naya hathyaar chahye tha.
Poori dunya apne zaraaye mil kar aik hogai
aur aik achay kaam kay liye saari purani dushmaniyaan bhula dien.
Haiwaanon se larne kay liye hum ne apne haiwaan takhleeq kiye.
Jaeger program ijaad hoa.
Shuru mein rukawtein thien.
Dimaghi bojh ka Jaeger se talluq
aik pilot kay liye boht ziada tha.
Phir do cheezon par mustamil nizaam naafiz kiya gaya.
Sir kay baayein taraf ka hissa, daayein taraf ka hissa aur pilot ka ikhtiyaar.
Hum jeetna shuru hogaye.
Jaegers ne Kaijus ko rokna shuru kar diya.
Par Jaeger utne he achay thay jitne unke pilot thay.
Tou Jaeger kay pilots kafi mashoor hogaye.
Khatra propaganda mein badal gaya.
aur Kaijus khilonon mein.
Hum is mein boht achay hogaye.
Aur jeette gaye.
Phir.
Phir sab badal gaya.
Gipsy Danger Bay 08 mein aayein, level A-42.
Kaiju ka codename: Knifehead. 3 kay zamray mein. 8700 metric tons.
Oye, Yancy, utho! Rastay mein koi harkat hui hai.
Suno, chalo utho! Humein tayinaat kiya ja raha hai.
Zabardast.
- Subah bakhair. - Subah bakhair.
Kaiju 3 kay zamray mein hai, ab tak ka sab se bara hai.
Codename: Knifehead.
- Kitne baj rahe hain? - 2.
Raat kay?
Haan.
Kia kehte ho? paanchwien kaamyaabi?
Chalo, Beckets. Chalne ki tayari karo.
- Suno, beta. - Haan?
Ghamandi mat hojana.
Saalon pehle, tum ne mujhe aur mere bhai ko hero kay liye nahi chuna hota.
Sawaal he paida nahi hota.
Theek hai, chalo tayaar ho kay sab ko peettay hain!
Hum kabhi bhi achay khilaadi nahi thay.
Kabhi bhi jamaat mein agay nahi rahe.
par hum apni jung lar sakte hain.
Aur pata chala hum mein aik anokhi silahiyat hai
Hum donon sath hawa kay sath beh sakte thay
Helmet par data aa gaya.
Data relay gel pooray suit mein phel raha hai.
Subah bakhair, Becket kay larkon!
Tendo, kia ho raha hai, mere dost?
Alison kay sath kal raat mulaqaat kesi rahi, Mr Choi?
Usay main boht pasand aya. Uske boyfriend ko? Ziada nahi.
Apki pitaai lagne wali hai.
Jo aik banday ko karna hota woh kar kay he rehta hai, mere bhai.
Inhein giranay ki tayari karo, Mr Choi.
Kar raha hoon, sir.
Marshal Pentecost balaai arsahay par hain.
Conn Pod ki hifazat karte hoay.
Giranay ki tayari kay sath.
Conn Pod ka darwazay ko hifazati taala lag diya.
- Girnay kay liye chor dein. - Gipsy Danger tayar hai girnay kay liye.
-Here we go. -Yeah!
Aur yeh chalay hum!
Aik sath janay ki tasdeeq, sir.
- Pilot se pilot ka protocol dekho. - Abhi dekhta hoon.
Pilot se pilot kay raabtay ki tartteeb.
Gipsy launch, Bay 6.
Gipsy Danger - qataar mein tayaar hoon, sir.
Rangers, main Marshal Stacker Pentecost bol raha hoon.
Dimaghi musaafay kay liye tayari karo.
15 second mein shuru ho raha hai.
14, 13, 12, 11, 10
Mujh mein ghusne kay liye tayar ho, beta?
Please, tumhare baad. Umer pehle khubsoorti baad mein, buddhay.
Pilot se pilot kay raabtay ki tarteeb.
Dimaghi musaafa shuru hogaya hai.
Hawa mein chalna.
Jaeger tech.
Jo ke DAPRA fighter jahaz kay neural system par mubni hai.
2 pilot, aik dosre kay khayalaat se guzar rahe hain
aik bari machine kay jism kay sath.
Jitna gehra raabta hoga utni achi larai hogi.
Dimaghi musaafah taqatwar aur jura hoa hai.
Daayaan hissa naap raha hai.
Aur bayaan hissa bhi.
Jaancha liya aur muntaqil ho raha hai.
Hazraat, tum log ko Anchorage se woh road door rakhni hai. Copy?
Sun liya, sir.
Sir, aik shehriyon ki kashti abhi bhi Guld mein hai.
Tum 20 laakh logon ko bacha rahe ho.
Tum 10 logon ki zindagi kay liye un sab ki zindagi dao par nahi laga sakte.
- Agai samajh? - Ji, sir.
Yaar, yeh tou kafi talkh tha.
Tum jantay ho main kia soch raha hoon.
Main tumhare dimag mein hoon.
- Janta hoon. - Chalo phir machli pakarne chalte hain.
Chalo!
Chalo, bhae! Thori jaan lagao!
Apni fikar karo, bachay!
Kuch cheezon se ap nahi lar sakte, khuda kay kaamon se.
Ap toofaan ata dekhte ho tou apko raastay se hat jana chahye.
Par jab ap aik Jaeger mein hon, tou ap foran toofaan se lar sakte ho.
Ap jeet sakte ho.
Inhein baando aur neechay hojao! Abhi!
Kitni door hai zameen?
Anchorage se 7 meel door, sir.
Par hum wahan tak pohanch bhi nahi paengay.
Nahi pohanch paengay.
Us jazeeray ka kiya jo 3 meel door mashriq ki janib hai?
Nahi! 2 meel hai, sir.
Aik meel, sir!
Woh qareeb aa raha hai.
Yeh itna qareeb kese aa sakta hai?
Kaiju.
Seedhay hath ki taraf ghumao!
Isay ghumao!
Abhi!
-Oh, khuda! -Kia bakwas hai?
Pakray raho!
Kashti mehfooz hai.
- Torque ko sahi karo! - Kar raha hoon.
Torque band hogaya hai.
Pakro usay. Chalo.
- Maaro usay! - Maar raha hoon, maar raha hoon!
Discharge reading, sir.
Plasma cannon kum pani mein saahil se 7 meel door hain.
-Gipsy, yeh chal kia raha hai? -Kaam hogaya, sir.
Do dafa jalaya. Panchway shikaar par kamyaab hogaye.
Tum ne mere hukum ki nafarmani ki.
Nihayat adab se, sir, hum ne aik Kaiju ko roka aur us kashti mein sab ko bacha liya.
Apni jagah par wapis jao abhi!
Ji, sir.
Kaiju phir se uth raha hai!
Yeh to abhi tak zinda hai, sir.
Gipsy!
Humein abhi bhi isharay mil rahe hain
ke Kaiju abhi bhi zinda hai!
Woh kashti pakro aur yahan se niklo.
Suna tum ne?
Kashti pakro aur niklo yahan se!
Yeh lo, Raleigh!
Main karloon ga!
Loccent, hum takra gaye hain!
Ulta haath sun hogaya hai, sir.
Chhat se! Yeh tou andar agaya hai.
Raleigh, meri baat suno!
Tum chahye...
Nahi!
Nahi!
Loading.
Dosre discharge ne saray raabtay munqata
kardiye, sir. Mujhe koi signals nahi mil rahe.
Koi alamat nahi, sir.
Ab hum kia karein, sir?
Ab, main chahta hoon ke tum apni nazar is paimaaish kay aalay par rakho.
Pata hai main kia khojna pasand karoon ga?
Mujhe poori kashti mil jaye tou kitna acha hoga. Yeh dhoondna chahoon ga main.
Ruko, Ruko! Ruko, Ruko, Ruko, Ruko, Ruko! Ruko!
Yahan par, yahan par! Khodo!
Suno, kia hai yeh?
Aik purana khilona hai bus.
Humein kabhi kuch acha nahi milta.
Suno.
Oh, mere khuda.
Yahin raho!
Sahab?
Kia main apki madad kar sakta hoon?
Yancy.
Yancy.
Bhaago! Kisi ko le kar ao, jaldi!
Sab sahi hojaega.
Kaiju apna difaa karna seekh rahe hain.
Woh apna rahe hain. Nash o numa pa rahe hain.
Aur hum Jeagers banane se ziada kho rahe hain.
Lima.
Seattle.
Vladivostok.
Chhautay zamray kay Kaijus ab us rastay se aa rahe hain.
Mujhe lagta hai tum khud bhi dekh rahe ho, marshal,
ap koi hifazati hikmat e amli nahi rahi hai.
Hamlon ki tadaad barh gai hai.
Jaegers ab humara bachao ka qaabil e amal zariya nahi rahe hain.
No comments yet. Be the first to leave one.