Unknown

Unknown

Stáhnout Urdu titulky

Informace o verzi

Unknown 2011 Urdu
Komentář od kikywebsite

Tagy

other
Zveřejněno: 2019-05-17
Stažení: 29
Pro sluchově postižené: No

Náhled titulků v jazyce Urdu

Prvních 200 řádků.

Khawateen aur hazraat, humara jahaz Berlin Tegel mein utarnay laga hai.

Jahan ke muqami waqt ke mutabiq subah ke saarhay aath bajay hain.

Aur mausam ka darj-e-harart manfi chaar hai.

Subah bakhair.

Kya tum sowe thay?

Nahi. Main hotel par so jaunga.

Tum achha kaam karo gay.

Jaise humesha se kartay aye ho.

Aap ke doray ka kya maqsad hai?

Hum yahan biotechnology ke ijlas keliye aye hain.

Main aik presentation day raha hun.

Harris sahab, aap ko aur aap ki biwi ko Berlin mein khush amdeed.

Aap ka bohat shukriya.

Agli bari.

"Main aik presentation day raha hun?"

Han tou? Us nay pucha tha.

Berlin mein khush amdeed.

Taxi. Taxi.

Tum gari mein aakar betho aur ye kaam usko karnay do.

Uff.

Tumharay khayal mein ye kya baat kar raha hai?

Kuch samajh nahi araha.

Aray dekho Isabel Kronenberger yahan haftay walay din apna kam paish karegi.

Aray han.

Tumhein yaad hai jab hum nay usay Chicago mein dekha tha?

Han.

Kyun na main us roz tumsay wahan milun Professor Bressler ke sath khanay ke baad?

Han.

Agar tum waada karo tou.

Han main waada karta hun.

-Hotel Adlon Kempinski mein khush amdeed. -Shukriya.

Tum ja kar check-in karo. Main ye karleta hun.

Kya aap humaray paas pehlay bhi qayam kar chukay hain?

-Pehli dafa Berlin aya hun. -Achha pehli dafa Berlin aye hain.

Aur kuch jis mein aap meri rehnumai chahtay houn.

Kitnay paisay huwe?

Sahab, 37 huwe hain.

Adlon Kempinski Berlin mein khush amdeed. Main aap ki kaise madad kar sakta madam?

Eisenhower suite mein meray shohar Dr Harris nay booking karai hai.

Ji bilkul abhi dekhta hun.

-Ruko, ruko. -Sab kheriyat hai janab?

-Taxi se nikala gaya ye sara saaman hai? -Ji janab.

Mrs Harris, main maafi chahta hun lekin Eisenhower suite abhi dastyab nahi hai.

"Dastyab nahi" se kya muraad?

Hifazati iqdamat ki wajah se kamroun mein kuch tabdeeliyan ai hain.

Lekin hum nay dou haftay pehlay tasdeeq kari thi.

Kya main aap ki ijazat se phone ka jawab day sakta hun?

Main airport ja kar phir wapis aata hu, theek hai?

Uff khudaya.

Maaf kijiye ga, driver? Hum kisi aur raastay se ja saktay hain?

Chal bhi jao.

Sambhal kar!

Hello? Hello?

Kya aap mujhe soun saktay hain?

Dr Farge?

Dr Farge. Dr Farge.

Main German zuban nahi bolta.

Kya aap English hain?

American hun.

Aap ka aik haadsa hua tha.

Haadsa?

Kya aap mujhe apna naam bata saktay?

Aap ka naam.

Martin. Martin Harris.

Doctor... Doctor Martin Harris.

Meri biwi Liz kahan hai?

Kya usko koyi chot pohanchi hai?

-Woh kahan hai? -Dr Harris tasalli rakhiye.

Sab theek hai, Dr Harris. Aap akelay safar kar rahay thay.

Aap jis taxi mein sawaar thay woh nadi mein ja giri thi.

Aap ka dil kafi waqt keliye rook gaya tha.

Aj jumerat ka din aur November ki 24 tareekh hai.

Aap chaar din keliye coma mein thay.

Thanksgiving ka din...

Lekin meri biwi meray sath Berlin mein hai.

Kahan hai woh? Woh yahan maujood kyun nahi?

Humein aap ke sath koi shanakht nahi mil saki, Dr Harris.

Nahi, nahi.

Aap ko araam ki zarurat hai.

Hum aap ki biwi se kahan raabta karein?

Kya un kay paas phone hai?

Zahir si baat hai uskay paas phone hai. Woh...

Mujhe yaad nahi aaraha.

Kya aap bata saktay aap ko kya yaad hai, Martin?

Thora bohat yaad aaraha. Main airport par pohancha tha.

Liz ke sath taxi mein betha tha...

...aur mujhe nahi pata mein yahan kese pohancha.

Is kisam ke haadsay mein kafi paicheedgi hoti hai.

Yaad daasht par gehra asar parta hai.

Baad mein ziada tar yaad daasht ajati hai, lekin shayad mumkin na ho keh aap

apnay haadsaat ke ird gird honay walay waqiyat ko mukamal tor par yaad rakhein.

Us doraan hum dekhtay hain keh kisi nay report darj karayi ho

Martin Harris kay lapata honay ki, theek hai?

-Jee, jee. -Theek hai.

London se barah-e-raast Kevin Spencer aur Diana Bailey ke sath.

Shaam bakhair. BNI World News mein khush amdeed.

Aap ko batatay chalein aj ki eham khabarein.

Prime Mini...

Ye kapray aap keliye hain.

Kya koyi mujhe talaash kar raha hai? Meri biwi?

Meri biwi?

Idher ao tum.

Bohat khoobsurat hai. Bohat ziada khoobsurat.

Mujhe khushi hui keh tumhein ye pasand ai.

Us nay mujhe tohfay mein ye ghari di thi.

Paris mein jab hum apnay honeymoon par thay.

Shehzada Shada is saal ke Biotechnology ke bain-ul-aqwami ijlas

keliye aj Berlin pohanch gaye hain.

Shehzaday ka khood ijlas mein aana

is baat par ghour o fikar karwata hai keh ye ijlas apnay dasway saal mein

aik ahem scientific kamyabi kay elaan ko mushahida karega.

Duniya ke maroof mohqiqeen ko Markazi Berlin mein

aish o araam se barhay Hotel Adlon mein talab kara hai.

-Hotel Adlon. - Biotechnology ka shoba

zaraye ablaagh ki nishandahi mein agaya hai.

Main yahan ijlas keliye aya hun.

Nurse.

Aap ko khatray ka ehsas hona chahiye.

Doctor, main chaar dinoun se sab keliye ghayab hua wa hun.

Meri biwi aik aisay shehar mein hai jahan ka usay kuch nahi pata.

Woh khaufzadah ho jaye gi. Mujhe usay dhundna hai.

Aap ke dastakhat chahiye hongay.

Is se aap meri dekh bhaal se azaad hain.

Aur ye mera card rakh lijiye.

Agar chakar ayein, ya matli sa mehsoos ho ya baat karnay mein pareshani ho

tou fori tor par mujhse raabta karega.

-Samajh aya? -Shukriya.

Hotel Adlon Kempinski mein khush amdeed. Main aap ki kese madad karun?

Jee, hello. Main yahan hotel mein mehmaan hun.

Meray kamray ki chaabi gum gae hai aur mujhe aik nae chaabi chahiye hogi.

-Aap kis kamray mein thehray hain? -Eisenhower suite mein.

-Aur apna naam bataye ga? -Martin Harris. Dr Martin Harris.

Main aap ki ID dekh sakti hun, Harris sahab?

Aik haadsa paish agaya tha aur main nay apna passport kho dia hai.

Janab mujhe kisi tarah se aap ki shanakht karni hogi.

Agar aap kisi ko meray humrah meray kamray tak

le ja sakengay tou main saabit kar sakunga.

Bas mujhe aik lamha dijiyega.

Thehriye ga janab. Kya aap ke paas dawat naama hai?

Nahi. Mera matlab han. Mera naam Dr Martin Harris hai.

-Aap list mein dekh saktay hain. -Main zara dekhta hun.

Meray khayal se main nay apni biwi ko andar jatay dekha hai.

Main usay dhoondnay ki koshish kar raha hun.

Herr Strauss?

-Dr Martin Harris? -Jee.

Han aap ka list mein naam andraj hai.

Mera naam Herr Strauss hai aur main Hotel Security ka sarbarah hun.

Kya aap ke paas koyi shanakhti dastaweezat hain jesay Passport ya phir license?

Meray paas nahi hai lekin...

-Aap jantay hongay, woh waheen hai. -Professor Bressler!

Professor Bressler!

-Janab, tehr kar. -Woh mujhe jaantay hain.

Woh meri tasdeeq kar saktay hain.

-Janab aap thora sabar kar saktay hain. -Main bohat sabar kar raha hun.

Shukar khuda ka keh woh wahan hai.

Wahan khanay ki table ke paas meri biwi khari hai.

Main chaar din se lapata tha aur usko zara bhi khabar nahi keh mujhe kya hua hai.

Tou main chahta hun keh aap mujhe foran uskay paas le chalein.

-Jee theek hai. -Shukriya.

-Woh khatoon jo kaalay kaproun mein hain. -Theek hai.

Maaf kijiyega mohtarma.

Aap ke shohar aye hain.

Liz.

Uff khudaya.

Maaf kijiye ga. Kya main aap ko jaanti hun?

Kya hua Liz?

Mujhe maaf karna.

Meray sath haadsa paish agaya tha aur main coma mein tha.

Woh meri shanakht nahi kar paye thay.

Main maafi maangta hun.

Aray tum nay mujhe koyi aur samjha hoga.

Liz.

Main Martin hun.

Tumhara shohar.

Ye ghalat fehmi hai. Main is aadmi ko nahi jaanti.

-Acha theek hai. -Martin.

Ye meray shohar hain.

Kya tum Dr Martin Harris ho?

Han aakhri dafa jab khood ko dekha tha.

Han, ab tak bhi main hi hun.

Yahan kya chal raha hai? Ye kis kisam ka mazaq hai?

Kis baray mein mazaq?

Kyunke ye bilkul bhi mazahiya nahi.

-Kya tum is aadmi ko jaanti ho? -Nahi.

Tum ho kaun?

Tum kaun ho?

Main is ka shohar hun.

Achha ab bas.

Aap ko aiteraz na ho tou kya aap is shakhs ko hum say duur kar saktay hain?

-Liz. Liz, ab bas bhi karo. -Aray.

-Hazraat, hosla rakhiye. -Apna hath mujh se dur rakho.

-Bas peechhay hato. -Liz, kya chal raha hai?

-Chalo batao mujhe. -Peechhay hato!

-Ye sab kis baray mein hai? -Janab, yahan se chalay kyun nahi jatay?

Hazraat, pur sukun rahiye.

-Aray mujhe hath mat lagao. -Chalo, chalo!

-Bas. -Ye kya hai?

Agar aap abhi nahi jayengay tou mujhe police bulani paregi.

Bulao police ko! Bhalay foj ko bula lo! Woh ziada behtar tareeqa hai!

Meri jan ye kya ho raha hai? Tum mujhe sharminda kar rahi ho.

Komentáře

No comments yet. Be the first to leave one.

Keep it about this subtitle — sync, quality, typos.500 characters left