Journey 2: The Mysterious Island

Journey 2: The Mysterious Island

Download Urdu undertekster

Udgivelsesinfo

Journey 2 The Mysterious Island 2012 Urdu
En kommentar af kikywebsite

Tags

other
Udgivet den: 2019-05-18
Downloads: 46
Hørehæmmede: No

Forhåndsvisning af Urdu undertekster

De første 200 linjer.

Uneesween sadi main...

Jules Verne nay kuch bohat zabardast kahaniyaan likhein thein.

Novel jaisay ke "Twenty Thousand Leagues Under the Sea,"

"Journey to the Center of the Earth,"

aur "The Mysterious Island."

Kaafi log iss sab ko science fiction kahtay hain.

Vernians ko kuch aur hi jaantay hain.

Abay yar.

Whoa!

Shabaash!

Waqaey?

Theek. Tou ye main chala.

Shaam bakhari, officers. Raat ko tairnay ka mood ho raha hai?

Hello, dost. Iss haftay ke poker ke khail par nahi daikha tumhein.

Phone karnay ka shukriya, Jim. Kya chal raha hai?

Hum nahi chahtay ke ye sab radio par chalay.

Aik satellite facility main larka ghuss aya tha.

Aur phir uss nay apni gandi bike McGillicutty ke pool main gira di thi.

Main nay unn say charges na laganay ki baat kar li hai.

Anderson!

Tumhara sotela baap tumhein lenay aagaya hai.

Nahi. Qaanoni muhafiz.

Agar main nahi hota tou tum aglay 6 mahinay juvie main guzaartay.

Main jail main ziyaada bahter hota.

Kya tum mujhay batana chahogay ke tum aik

satellite facility main kyun ghuss rahay thay

Jo ke bilkul weeranay main hai?

Fikar mat karein, ammi. Kuch khaas baat nahi hai.

Aadhi raat ko police ka phone karna tumharay liay kuch nahi hai?

Sean?

Wo wahaan kya kar raha tha? Wo kya dhoond raha tha?

Main nahi jaanta meri jaan. Hum sirf uss say poch hi saktay hain.

Suno. Sean, humein iss sab ke baray main baat karni hai.

Mujhay samajh nahi aa rahi. Iss ko bolnay ki ijazat di kis nay hai?

Oye.

Main agar bolta nahi tou abhi tum jail main hotay.

Main abhi bhi jail main hi hun.

Iss baat ka kya matlab hai?

Sean?

Daikhein.

Main nay nahi kaha tha ke mujhay meray school aur doston say alag karein,

Aur phir ghaseet kar Dayton le ao.

-Koi masla nahi hai, Liz. -Nahi, masla hai.

Sean!

Sean!

Uss ke liay bhi mushkil hai kyun ke usska baap chala gaya hai.

Uss baat say iss ke aisay raveyay ke javab nahi milta.

Sahi.

Ab jo main nay tumhein hasil kar liya hai, ab

mujhay bas tumhara matlab maloom karna hai.

Main yahaan nahi hun.

Sunno, main hun. Tum masroof ho?

Haan.

Suno, main tum say baat karna chah raha tha. Matlab...

Aik zimaydaar mard aur na samajh bachay ke beech.

Iss sab main, main kon hun?

Hello, dost.

-Ye sab kya hai? -Kuch nahi.

Ye tou cryptogram, hai na?

Ye tou Morse code lag raha hai.

Mm-hm.

Haan, ye daikho.

Aik syllable lafz, dots. Doo syllable alfaaz, dashes.

Main nay ye Navy main seekha tha

Tou theek hai..

-Iss main kya likha hai? -Ye hai kis liay?

Kaafi khufiya hai.

Aur ye code bhi.

Theek hai. Tou baat ye hai.

Kuch raatein pahlay,

Aik radio signal kahein say bheja gaya tha.

Kahein say bhi ho sakta hai. Bas 3 alfaaz baar baar chal rahay thay.

"Pip, Zorn, Strux."

Ye saray Jules Verne ki kitaab main likhi log hain.

Tou wazeh hai ke ye kisi Vernian nay bheja hai.

Aur meray auzaar itnay taqatwar nahi thay ke sara paighaam hasil karay, tou...

Tou tum nay satellite facility main ghuss kar apnay signals teez kiay.

Daikho kisi nay ye paigham bheja hai aur main iss ko hull kar ke rahunga.

Ye meray liay bohat zaroori hai.

Suno, jaantay ho kya?

Kyun na hum ye donon saath hull karein?

-Sahi hai. -Theek hai.

Paighaam ka pahla hissay main likha hai, "Wo..."

I-S-L. "Jazeera."

"Hai."

R-E. "Asli. Wo jazeera asli hai."

Kya tum sach kah rahay ho?

Tum meray saath mazaq tou nahi kar rahay na?

Nahi. Iss main yehi likha hai. "Wo jazeera asli hai."

Mujhay yaqeen nahi aa raha.

Mujhay yaqeen nahi aa raha ke kisi nay waqaey wo jazeera dhoonda hai.

Konsa jazeera?

The Mysterious Island.

Vernians iss ko saalon say dhoond rahay hain.

Baaqi ke code main kya likha hai?

"Steve ki aulad, paidaish 1883."

"Paidaish 1883."

Steve ki aulad. Steve ki aulad.

Shayad "Steve ka baita?"

Steven ka baita. Stevenson.

-Robert Louis Stevenson. -Wo musanif.

Haan, wo tou 1883 say bohat pahlay paida hua tha. Koi aur hoga.

Shayad wo aur koi nahin hai.

Shayad wo koi cheez hai.

Hum kis cheez ko dhoond rahay hain?

Chalo.

Aha!

Robert Louis Stevenson nay 1883 main Treasure Island naami kitaab likhi.

-Aur kya likha hai paheli main? -Sahi.

"Uss ka aakhiri naam teez jaa raha hai"

"Uski kahaani Lemuel ki kahaani say milti jhulti hai."

Sahi, tou uss ka akhiri naam teez hai. Kya wo runner hai?

Kya pata uss ka aakhiri naam ho hi teez.

Jaisay Fleet or Quick. Swift.

Swift. Jonathan Swift.

Aik aur musanif.

Jis nay aik aur jazeeray ke baray main kitaab likhi.

Tou "Lemuel" ho sakta hai ke.

Bohat khoob. Lemuel Gulliver.

Humaray paas teen mukhtalif kitaabein hain.

Jin ke teen mukhtalif musanif hain.

Jinhon nay teen mukhtalif jazeeron ke baray main likha hai.

Shayad.

Shayad ye teen kitaabein aik hi jazeeray ke baray main hain.

Shayad isi liay koi aur wo Pursurar Jazeera dhoond nahi sakay

Kyun ke unhon nay ye dosri kitaabein parhi nahi hongi.

-Treasure Island main aik naqsha hai. -Haan, Swift ki kitaab main bhi hai.

Lekin ye tou Verne ki kitaab ke naqshay se mukhtalif hain. Mujhay samajh nahi aa raha.

Ye tum kya kar rahay ho?

Jaantay ho main Navy main kya karta tha, Sean?

Nahi.

Main nay bohat izzat ke saath...

...Rochefort Award jeeta tha...

...Lagataar 3 saal...

Code-breaking ke muqablay main.

Ye tou kamaal hogaya.

Meray khayaal say hum nay tumhara Mysterious Island dhoond liya hai.

Ye kya hain?

Coordinates. Longitude and latitude.

Aur ye bilkul...

Yahaan hai.

Ye Palau ke samandar ke kinaray say 100 mile, South Pacific ke beech main hai.

Ye tum kya kar rahay ho?

-Mujhay jaana hoga. -Kahaan jana hoga?

To Mysterious Island.

Acha theek hai. Kya tum meray liay chaand say Slurpee le aogay?

Jitna mazaaq urana hai ura lo.

Urraonga aur tum yahaan ye sab sunnay ke liay hogay.

Tum Palau nahi jaa rahay, Sean.

Kyun nahi?

Daikho, aik tou ke tum ghar say nikal nahi

sakay. Dosra ye ke tumhein school bhi jana hai.

Main aik qaabil larka hun. Main doo chaar ki chutti tou le sakta hun..

-Aur waisay bhi ye Mysterious Island hai. -Thanday hojao. Theek hai?

Tumhein lagta hai ke tum dunya ke dosray par jaa kar

Aur kisi pagal say milo jo tafri karnay ke liay radio say khail raha tha?

Wo koi pagal nahi hai.

Wo Alexander Anderson hain, meray dada.

Tumhein kaisay pata ye ussi nay bheja hai?

Daikho ye sab maenay rakhta hai.

Vernian family main wohi aik original hai,

Unhoon nay apni aadhi zindagi Mysterious Island ko dhoondnay main nikal di hai.

Aur koi nahi jaanta ke wo 2 saal say kahaan ghayab hain.

Meray khayaal say wo mushkil main hain aur main unhein dhoond ke rahunga.

Sean, bas karo. Sean.

Bas karo!

Main tumhein akela kisi bachanay ki mohem par janay nahi dunga

Aur tumhein acha lagay ya nahi, dost. Tum abhi bhi aik bachay hi ho.

Daikho main tumhari surat e haal samjh sakta hun, theek hai?

Tum meri ammi ko khush karna chahtay ho aur mujhay acha lagta hai.

Waqaey main.

Lekin tumhein filhaal khud ki construction company par dhiyaan dena hoga

Aur iss ghar ka kiraya dein aur unn say pochein ke unn ka din kaisa tha...

Kyun ke main theek hun.

Aur acha lagay ya nahi, ye aap ki soch say kayi gunah bara hai.

Uss ka kahna hai ke wo paighaam uss ke dada nay bheja hai.

Sean kah raha tha ke wo pechlay kuch saalon say lapata hain.

Khair, gum hona mushkil hai

Jab aap pahlay say hi lapata ho.

Main Alexander Anderson ke kahay aik lafz par bhi bharosa nahi karungi.

Sean tou unn say bohat mutasir hai.

Alexander ki tou hur baat mutasir karnay ke liay hoti hai.

Sahi. Tou Sean ke demagh main Alexander uss ka azeem mohem joi hai.

Jab ke haqiqat main tou aisa aadmi tha jo kabhi bhi

apni family ke liay nahi tha jab uss ki zarorat thi.

Issi liay tou humein Sean ko iss trip par janay dena hoga.

Kyun?

Kyun ke Sean ko apni zindagi main aik aadmi chaheyay.

Koi aisa jo hur waqt uss ke liay ho aur saath day.

Aur jab hum wo code hull kartay huay pahli dafa aisa hua

Ke hum donon nay aik hi baat par 5 minute say ziyaada itefaaq kiya.

Tou phir kisi mashoor say jazeeray par jaa ke baat cheet karo, jaisay Hawaii.

Hawaii. Jahaan humara honeymoon hoga.

Aloha oe

-Aloha oe -Haan, lekin main sanjeeda hun.

Main bhi tou sanjeeda hun.

Suno, hum Palau tak jaein gay.

Jab Sean ko maloom hojaeyga ke wo jazeera asli nahi hai,

Uss ka dada wahaan nahi hai, tou main uss ka humdard ban jaonga,

Aur jo hona hai hojaeyga.

Kommentarer

No comments yet. Be the first to leave one.

Keep it about this subtitle — sync, quality, typos.500 characters left