Transformers: Age of Extinction

Transformers: Age of Extinction

Download Urdu Untertitel

Release Info

Transformers Age of Extinction 2014 Urdu
Ein Kommentar von kikywebsite

Tags

other
Veröffentlicht am: 2019-05-17
Downloads: 57
Hörgeschädigt: No

Urdu Untertitel-Vorschau

Die ersten 200 Zeilen.

Aray yar, Darcy tumhein yahan nahi ana chahiye tha.

Dikhao mujhay.

Corporate apnay faislay pe qaim thi. Hum phir bhi kaam kartay rahay.

Kuch bhi hojaye operation band nahi hona chahiye.

Nahi, nahi. Tumhein us ke beech say guzarna hoga. Bina camera ke.

Usko jaan say marnay ke ahkamaat milay huway hain.

Mujhay nahi lagta bain al aqwami qawaneen yahan lagoo hotay hain.

Hum log Geologist pehlay hain.

Ager is cheez ka tareekh say koi bhi taluq hai,

tou ye band karna hoga, main band karwaongi.

Acha, tou ye mujhay goli maray ga? Maar do!

Oye, suno. Usko mat maro.

Kafi sangeen mamla hai.

Bohat sangeen.

Phir, kya khayaal hai?

Meray khayaal say tarekh badalnay wali hai.

Daikho tou sahi aaj kis nay kaam pe anay ki zehmat ki hai.

Kya hua tum South Padre ke samander kinaray nahi gaye?

Wahan ki lehrain pur sukoon hain aur meray paas petrol bhi nahi hai.

Tum tou ye jantay ho, Cade.

Yar, ye kya jahalat hai?

In do haseenaon ko tou daikho. Kya baat hai!

Suno, tum is dafa ke tou paisay dogay na?

Please ab na mat kehna.

Jantay ho Locas, kafi log sirf nokri milnay par bhi shukar kartay hain.

Haan, shayad.

- Tumharay paas kuch paisay hain kya? - Haan.

Bas theek hai.

Hello, Lucas Flannery.

Ye jaga humaray khandaan ke paas 1928 say hai.

Meray dada nay saari umer isko chalaya hai. Hain na dada jaan?

Bohat jald wo ye sab meray naam kar dein gay.

Aaj kal ki filmon nay ye sab barbad kar diya hai.

Aik film ka sequel baar baar bana kar uska maza kirkira kar rahay hain.

Mujhay ye wali bohat pasand hai.

Ye kafi zaeef aur behray hain.

Main nay ye sun liya hai.

Ab inko bas thori safai ki zarorat hai.

Meray khayaal say ye digital hain, mumkina tor pe IMAX.

Haan, ye digital nahi hain.

Janab, ab ager aap humein thora waqt dein tou

- hum yahan ka moaina karlein, theek hai? - Jantay ho, yahan kuch log meelon dur say

sirf yahan par khubsurat aur haseen larkiyon ko daikhnay atay thay.

Ya, meray khuda.

Mera bas nahi chal raha ke main bas is budhay ko zeher de dun.

Tum theek keh rahay ho, dost.

Ager yahan anay say dil khush hota hai

tou apnay potay se kaho ke wo tumhein yahan roz le kar aye.

Saat dollar mein dogay ya main mazeed kuch bolun?

Ye tumhara hua.

Ye jaga yaad hai humaray bachpan mein kaisi hua karti thi?

Tum school ke dino mein kitni larkiyon ko yahan laye thay?

Main sirf aik ko laya tha.

Oye, ye pakro!

Isi waja say tumhein kisi team mein muntakhib nahi kiya gaya tha.

Bas theek hai. Ye pakro.

Janay do.

Mortar shells?

Inkay sath kya hua tha?

Oye, langoor. Us truck ke kitnay logay?

Truck?

Sirf do aur haftay, larkiyon. Phir kabhi koi class nahi hogi.

Bas humaray peenay pilanay aur mazay ka waqt ziada dur nahi!

Please, please.

Koi maali imdaad bhi nahi. Bohat khoob.

Haan, main ghar agayi hun. Shukriya.

Ajnabi ghar mein ghus raha hai! Ghar ke dairay se wapis chali jao!

- Meri awaz pehchano. Ye main hun. - Main police bula raha hun.

Haan, haan, bula lo. Mujhay koi parwah nahi.

Main phir bhi police bula raha hun.

Jang-e-Chicago aik aisa waqiya tha jis nay humari dunya ko

mukamal tor pe badal diya tha.

Taqreebun 1300 log maray gaye.

Adhay say ziada shaher tabah ho chuka hai.

Homeland Security ka kehna hai ke

jahan bhi mashkooq alien sargarmi dikhay tou forun un say rabta karein.

Congress ki fouri karwai nay tamam joint operations ko khatam kar diya hai

jo ke Autobots aur fouj mushtarqa tor pe anjaam detay thay,

jis say ab ittehad khatam hochuka hai.

Jaisa ke ye committee janti hai,

Chicago ki jang paanch saaal pehlay humari

qoum ke liay aik intehai afsoosnaak din tha.

Us din lakhon ko ahsaas hua ke

hum dobara kabhi bhi aliens ko apni jang larnay nahi de saktay hain.

Kuch Autobots ko panah di gayi thi.

Jab un ke mushtarqa kaam karnay ka muhaida khatam hua tha.

Darjan say bhi kam Decepticons abhi bhi mojood hain,

humaray CIA unit ki waja say, jis ka naam,

Cemetery Wind hai.

Jaldi karo. Isko meray ghar le chalo.

Jahan tak alien technology ka sawal hai,

humara maqsad ye hai ke wo Amreeki hukam ke hath mein hi rahay.

Hello. Mera naam Timothy hai. Ye mera group hai.

Hum nay ye alien ball turret Chicago mein dhoonda hai.

Humein ye us dhair say mila hai aur ye kam kar raha hai...

Sunnay mein aya hai ke Japan, India,

Israel nay bhi in ke aik do ships par qabza kar liya hai.

Bazahiri tor pe, Roosi boli un par laganay walay hain.

Hum is ke 5000 dollar mang rahay hain.

Is mein 36 bandooqein bhi hain, wo bhi khalaai.

Aik naye dour ki shuruwat ho chuki hai.

Transformers ka dour... ikhtidaam pazeer ho chuka hai.

Hello.

Hello, main kab say tumhara intezar kar raha tha.

Tum aaj lajawaab lag rahi ho.

Acha? Tum apni shirt kyun nahi utaar detay?

Tum chahti ho ke main abhi apni shirt utaar dun?

Tumharay abbu ko is ke baray mein kaisa lagay ga?

- Ye kya mazaq hai? - Oye, tum kahan jaa rahi ho?

Mujhay un par yaqeen nahi aa raha. Mujhay yaqeen nahi aa raha.

Ye kya bakwas hai?

Haan, bas anay do.

Aik truck?

Abbu, ye mat kehna ke aap nay humara paisa is par kharach kiya hai.

Aray nahi, fikar na karo. Is nay apna nahi mera paisa kharach kiya hai.

Wo bhi 150 dollar.

Ye tumhari tankhuwa mein say advance samjho.

- Konsi tankhua? - Jo tumhein zaroor milay gi.

- Kab? - Kabhi bhi nahi. Hum kanglay hain.

- Main janta tha. - Beta,

kya tum aik ajir aur mulazim ki guftago ke darmiyaan madakhalat karna band karo gi?

Aik minute. Main tou samjha hum tou partners thay.

Meray pas paisay kum thay, theek hai? Mujhay iska prom dress lena tha.

Tum chahtay ho main iska prom dress khareednay say inkaar kar dun?

Kar tou saktay ho. Tum nay iski prom date par bhi tou inkaar kar diya tha.

Nahi, mainay isay aur us banday ke sath janay ka kaha tha.

Koi bhi dance par apnay abbu ke sath nahi jana chahta hai. Ajeeb lagta hai.

Ye koi maslay ki baat nahi hai.

Haan, tou ye aik masla hona chahiye.

Yar, tum dono mujh pay tanqeed karna band karo gay?

Tumhein pata hai is ke engine ki kya qeemat hai?

Main is ke purzay purzay kar sakta hun.

Aur beta, tumharay kapray roz ba roz chotay kyun hotay jaa rahay hain?

Tumhein thand lag jayegi, please.

Meray khayal say wo kafi haseen lag rahi thi.

- Kya kaha tum nay? - Matlab aik haseen nou umar bachi.

Haan, ab jaakar kuch acha lag raha hai ye jumla. Shukriya.

Mera wo matlab nahi tha.

Ye circuit board say chalta hai.

Ye Zeiss lenses wahan rakho.

Abbu, aap is kabaar mein paisay lagatay rahtay hain,

takay aap usko mazeed kabaar bana sakein.

Hum is jaga par kabaar ka lafz istemaal nahi kartay hain.

Wo aik Super Simplex theater projector hai. Ye bohat nayab hai.

Aur is SmilePilot ka kya?

Ya ye Exer-Mower jo mainay dunya say pehlay ijaad kar diya tha.

Haan, ye bilkul us mashqooq chokidari kuttay ki tarhaan hai.

Tum iska dil dukha rahay ho.

Aray, Cade! Cade!

- Kya ye abhi bhi kaam karti hai? - Nahi!

Haan, aur bohat khoobi say.

Bas wahan jaa kar lait jao aur aik thandi botal ka intezaar karo.

Yaar, samaan torna band karo.

Akhiri notice, late notice, tareekh nikalnay ka notice.

Ao. Chalo, ao.

Chalo jaam lay kar ao. Shabash.

Matlab, ye kya kabaar hai jo log aapko bhej rahay hotay hain?

Wo aik diskman hai aur wo aik 8-track tape hai.

- Moseeki ka hai. - Mainay kabhi inka naam nahi suna hai.

Daikho, ager main wo theek karta hun tou 100 dollar mileinge.

Isko theek kar kay 250 dollar.

Ager main usay tumharay mazeed tornay say pehlay jor deta,

tou us say bhi 20 dollar mil jatay.

Isi saman ki waja say tou tumhein mein collage bhej sakunga

jab tak tumhein koi aik scholarship mil jaye tou.

Ye waisay kitnay ghantaon mein ata hai? Andazan?

Aik minute ruko. Ye bottle tumharay qareeb lata hai?

Bas ye hi karta hai?

- Is mein bas aik do maslay hain, yaar. - Acha?

Abbu, aap ko nahi lagta ke kuch cheezon ko ijaad nahi hona chahiye tha?

Nahi, mujhay aisa nahi lagta. Ye aik pasmaanda soch hai.

Ye aik technology ka mandir hai. Tum log aik pakeza jaga par kharay ho.

Tumhein kya lagta hai? Is sab ke baray mein kya khayal hai?

Ye sab aap logon ka ho sakta hai. Is zameen ke baray mein kya khayal hai?

Ye moti phir agayi hai aur kafi khush bhi lag rahi hai.

Ye bohat khubsorat hai na?

- Mujhay maloom tha aap ko pasand ayega. - Oye, tum!

Oye.

Ye mera ghar hai! Ye farokht ke liye nahi hai!

Chay mahinay say paisay adaa nahi kiye hain, Yeager Sahib.

Aur mujhay maloom hai ke tum pole say bijli bhi chura rahay ho.

Wo tumhara mamla nahi hai.

- Janab, kya aap ghar dekhna chahtay hain? - Bilkul.

Mujhay is ghar ko dikhanay mein bohat khush hogi. Main wo jaga bhi dikha dunga,

jahan mein nay pechlay teen khareedaar dafan kiye hain,

phir main tumhara sar aik anday ki tarhan tor dunga.

peechay hato! Ye pagal hai!

Mainay tumhein yahan anay say mana kiya hai na.

Main apnay bhai ko yahan bhej kar tumhari pitai karwaongi!

Meray sath panga nahi lo.

Aur main ab apnay sath police bhi le kar aongi.

- Mera bhai bohat pohncha hua shakhs hai. - Kon, Jerry?

Tum usko yahan lay kar ao gi,

uski gari say utarnay say pehlay hi halat kharab hojaye gi!

Tum mere garden say hato warna tum bohat musibat mein par jao gi!

Tum Jerry ko bolna wo mujh say milnay aye. Main usko maza chakhaonga.

Oye!

Us nay humara fence toor diya?

Cade, hosla rakho. Tumhein aortic infarction ho jaeyga.

Wo kya hota hai?

More Urdu subtitles for Transformers: Age of Extinction

Kommentare

No comments yet. Be the first to leave one.

Keep it about this subtitle — sync, quality, typos.500 characters left