Las primeras 200 líneas.
Jo bataanay waala hoon woh samajhnay kay liye
pehlay kuch karna paray ga.
Naamumkin pe yaqeen karna paray ga.
Kar saktay ho? Barhya.
Woh laal saaya dekh rahay ho?
Woh main hoon.
Woh bhi.
Aur phir se main.
Mera naam Barry Allen hai.
Main duniya ka taiz raftaar tareen insaan hoon.
Meri kahaani bilkul seedhi hai.
Apni poori zindagi, main bhaagta raha hoon.
Amooman badkhwaahon, badmaashon se.
Kabhi nikal liya.
Aur kabhi nahin.
Bataao mujhe kya hua.
Woh log bachchon ko sataa rahay thay
kyunke unhein laga bachchay unkay liye dhang kay nahin hain.
- Yeh theek nahin tha. - Main jaanti hoon.
- Shaayad main utna taiz nahin tha. - Nahin.
Tumhaaray paas aik acha dil hai, Barry.
Aur acha dil hona, taiz taangain honay se behtar hai.
Hello. Main ghar aa gaya.
- Barry ki laraayi ho gayi. - Oh, acha?
Aur woh jeet gaya.
Ah, shaabaash, pehalwaan.
Oh, aur uh, ab koi laraayi waraayi nahin.
Magar uss raat kay baad,
main uss se zyaada daraaoni cheez se bhaag raha tha.
- Kuch aisa jo main samjha nahin saka. - Henry! Henry!
Kuch... naamumkin.
Madad!
- Maa! Maa! - Barry, nahin!
- Maa! - Usay chhoonay na dena!
Maa!
Maa!
- Nora! - Peechhay raho!
Nora, ruko!
Bhaago, Barry, bhaago!
Maa?
Baba?
Muaaf karna.
Iss haftay ki doosri dakaiti.
Teller ne goli chalaanay waalay ko Clyde Mardon ko shanaakht kiya hai.
Kya?
Oh, Khudaaya, Mardon braadraan waapis aa gaye?
Kya pata hai humein?
Mujrim bank mein ghusay, cameray ura diye,
aur security guard ko goli maar di.
Police dhara dhar talaashi le rahi hai
Mardon braadraan ke saathiyon ki.
CSI ne dekh liya?
Uh, nahin.
Allen kahaan hai?
Muaaf karna, muaaf karna.
Tum usay har waqt nahin bacha saktay.
- CSI, CSI raasta do. - Agar woh abhi yahaan nahin aya,
tou mujhe yeh tafteesh uskay baghair jaari rakhni hogi.
Muaaf karna mujhe dair ho gayi, Captain Singh.
Iss baar kya hua, Mr. Allen?
Alarm lagaana bhool gaye?
Jawaab dene se pehle yaad kara doon
pichhli baar tum ne gaari ki kharaabi ka bahaana banaya tha.
Pata hai woh itna naaqaabil-e-faraamosh kyun tha?
Mere paas gaari nahin.
Main ne kaam se bheja tha.
Barry, jo main ne kaha tha woh le aaye?
Jee, haan. Le aaya.
Mere paas hai...
Yeh.
Thora sa khaa liya tha main ne.
Faraar kay liye gaari mustang shelby gt500 thi.
Pichhla zyaada chaurra tire
khaas uss model kay liye.
12 inch aur uss par aarhay tirchay naqoosh.
Aur kuch aur bhi hai.
Shukriya.
Fuzla.
Haiwaani, mere khayaal mein.
Mere waalid ne yeh pen diya tha...
marnay se pehlay.
Mujhe afsos hai.
Theek hai, main iss top cheez ko chaltay huay dekhna chaahti hoon.
Aik waardaat hui aaj.
Tumhaare abbu kuch kaam karwaana chaahtay hain,
jis ka matlab yeh hai ke main nahin jaanta
ke hum S.T.A.R. Labs pohanch sakein ge ya nahin
Magar isay kaam kartay dekhna tumhaara khwaab hai.
Tumhaara bechara, ilmoon khwaab.
Waise bhi, aik date cancel ki main ne iskay liye.
Meray chips se duur raho.
Naaqaabil-e-yaqeen.
Main apni thesis ki pareshaani mein khaa rahi hoon.
Hum ne Jitters pe cronut bechna shuru kiye
main ne aaj do khaaye. Agar main jaldi graduate nahin karti
tou aurat se cake bann jaaoon gi.
Zabardast lag rahi ho.
Aisa kya ehem hai iss particle accelerator mein?
Harrison Wells' ka quantum theory par kaam
Cern mein kiye jaanay waalay kaam se hazaaron noori saal aagay hai.
Tum phir woh kar rahay ho jab Angraizi mein baat karna chhor detay ho.
Sahih.
Zara socho
ke yeh nuqta
insaani ilm ka kul hai iss lamhay tak.
Behooda raqs shaamil hai iss mein?
Yeh sab kuch hai jo hum seekh saktay hain
particle accelerator se.
Physics ko nayi nazar se dekhnay ki wajah.
Yeh yaqeeni taur pe humaari soch har cheez kay baaray mein badal de ga.
Tumhein kisi larrki se dosti ki zaroorat hai.
Hey, chhoro usay. Kaam kar raha hai woh.
Salaam, abbu.
- Tumhaara kaam ho gaya. - Haan.
Meray khayaal mein Mardon braadraan kisi farm par chhupay hain.
Gali mein jo fuzla mila, woh gaaye ka gobar tha,
jis mein oxytetracycline ke asraat milay.
Yeh aik antibiotic hai.
Iss ilaaqay mein sirf chaar aisay farm hain
jo chaaray mein isay istemaal kartay hain.
Shart laga lo tumhein inn mein se kisi pe apni Shelby mil jaaye gi.
Abbu, yeh dekh kar ke Barry ne fuzlay ka masla hal kar diya
kya khayal hai isko S.T.A.R. Labs pe jaanay diya jaye?
- Theek hai, jaao. - Yeh baat!
Shukriya, Joe.
Tou Barry, tumhaara safar kaisa raha?
Kya tumhein naamumkin ka saboot mil gaya Starling City mein,
ya tum ne mere abbu ko fuzool mein naraaz kiya?
Darasl, jab main wahan tha,
main ne socha...
rishton kay baaray mein.
Aur khair main kisi kay saath nahin hoon.
Aur, tum bhi kisi kay saath nahin ho.
Aur tum meri behtareen dost ho, Iris.
Tum bhi mere behtareen dost ho.
Main yahan aur kis liye hongi?
Mera yeh matlab nahin tha. Main...
Mujhay pata hai tum kya kehne wale ho, Barry.
Mujhay nahin lagta tumhein pata hai.
Haalaanke hum baray huay hain
saath aik hee ghar mein,
aur hum behen bhaaiyon jaisay hain,
kyunke hum behen bhai nahin hain,
buhat ajeeb hojata hai
mujh se larkiyon kay baaray mein baat karna.
Lekin tum yeh jaan lo
ke yeh ajeeb nahin hona chaahiye.
Iss se zyada mujhay kuch nahin chahiye
ke tum uss shakhs se milo
jo tumhein buhat pyaar karay
uss behtareen shakhs kay liye, jo tum ho.
Mere munh ki baat chheen li.
Tumhein khushi nahin hui ke main tumhein itnay achay se jaanti hun?
Shukriya.
Mera naam hai Harrison Wells.
Aaj se sab kuch badal jayega.
Jo kaam main aur meri team yahan karein ge
woh hamaara physics ka nazariya badal dega.
Hum taraqqi laaein ge tawanaayi kay maidaan mein,
taraqqi daaktri mein,
aur yaqeen maano, woh mustaqbil
taiz hoga aapki soch se bhi zyaada.
Oh, hey, mera laptop! Uss mein meri thesis hai.
Muaaf karna.
Dekho bachay, tumhein yeh sab karne ki zaroorat nahin hai, theek?
Bas mujhay meri dost ka basta waapis kardo
aur hisaab baraabar.
Barry!
- Tum theek ho? - Haan.
Ruk jaao! Police!
Ya tumhein mushkil tareekay se pata lagaana hai
ke tum aik goli se zyaada taiz nahin ho?
Kaun hai woh banda, aur usko kis baat ka ghuroor hai?
Uss ne aik chor ko pakar liya, tou?
Keystone se transfer hua hai uska.
Kuch haftay pehle hi aaya hai. Eddie Thawne.
Oh, tou woh hai Detective khoobsoorat larka.
Mere abbu usko yeh kehtay hain.
Kehtay hain woh waaqayi hisaab rakhta hai giriftaariyon ka.
Yeh khoobsoorat tou hai.
Barry ki list se yeh aakhri farm hai.
Dekho mujhay pata hai bachcha taiz hai,
lekin tum ne khudi kaha tha.
Kabhi kabhaar woh surkhaab kay par dhoondne nikal parta hai.
Khair, phir bhi dekh lete hain.
Main hoon Linda park,
aur hum baraah-e-raast hain S.T.A.R. Labs kay baahir se
iss bigartay mausam kay baawujood,
jo mazeed bigarne waalaa hai.
Iss baarish ne bilkul mutaasir nahin kiya hai
particle accelerator ko,
jo tayyaar hai aur chal raha hai aaraam se
S.T.A.R. Labs kay CEO, Harrison Wells kay mutaabiq.
Mausam bhi...
- Whoa. - Mardon.
Mujhay flight pakarni hai!
Yeh kya bakwaas hai?
Chyre, sabar karo.
Rukein, ab humein building ko khaali karne ka kaha jaa raha hai.
Toofaan ki wajah se kharaabi hogayi hai
No comments yet. Be the first to leave one.