Las primeras 200 líneas.
Misr 85 million ki abaadi
US army ka tola CDC ki Team
Misri fizaayi hudood mein aanay ki ijazat maang rahi hai.
Ijazat mil gayi hai.
Dr. Scott, seedhay haath par, dekhiye.
Us tak pohancha ja sakta hai.
Saaf dikhayi de raha hai, teen minute kay
andar hum apnay hadaf tak pohanch jayengay.
Samajh gaye. 2-2-0.
Theek hai, mujhe dikh raha hai.
Status haraa hai.
Dr. Scott, utarnay kay liye tayyar ho jaye.
LP kay aur nazdeeq utar rahe hain.
Bees feet.
Das feet.
Aur hum neechay utar gaye.
Doctor, aap kay pass paanch minute hai.
Is taraf.
Yahaan par 6,000 camps hain. Jin ko alag kiya huwa hai.
Aur yahaan par 387 log mar chukay hain.
Ab mere staff mein sirf chay log reh gaye hain.
Mujhe laga aap apnay saath aur doctors laa rahi hain.
Aur yeh abhi abhi aye hain woh log jinhein virus lagaa hai.
Jaisay hi spot ayega, yeh log dou din mein mar jayengay.
Maaf kijiye ga.
U.S NAVAL STATION NORFOLK, VIRGINIA
Yeh dehaan rakhna kay yeh snowmobiles starboard Hangar F mein jaayen!
Chief Spurling, Chief Lewis, hum log 1300 tak nikal jayengay.
Chalor raftaar barhatay hain, okay?
Haan mujhe Naval Mountain Warfare Unit kay baaray mein sab pata hai,
magar main nay kabhi nahi suna kay kisi kuttay nay destroyer par qadam rakkha ho.
Yeh kutta nahi hai sirf, yeh Admiral Halsey hai.
Aur yeh bohat acha jahaaz chalata hai.
Haan tou Captain bhi.
Tum yeh wahaan rakh saktay ho.
Dehaan rakhna yeh thora qeemti samaan hai.
Aap meri nayi mehmaan hai yahaan par.
Main Commander Chandler hun, ship ka Captain.
Rachel Scott.
Maaf kijiye ga mujhe app kay helicopter bay ki jagha leni pari,
magar sirf wohi jagha itni bari thi jahaan hamaari lab banayi ja sakti thi.
Mere pass yahaan 217 aadmi aur khawateen hain is jahaaz par.
Tou kya mujhe kisi baaray mein fikarmand hona chahiye?
Oh, yeh?
Yeh tou is liye hai kyun kay hamaray kisi kaam ki wajha say kisi ko nuqsaan na ho.
Baqi aur koi matlab nahi hai.
Aap wahaan kya kaam karnay waali ho?
Parindon kay baaray mein mushahida karna hai.
Parinday?
Hum log virologists hain...
un cheezon ko daikhtay hain jinhein samajhna bohat mushkil hota hai.
Bohat hi boring kaam hai asal mein.
Aap kay tawwun ka shukriya, Captain Chandler.
Hum yahaan par aap ki khidmat kay liye hi aaye hain.
Khush amdeed, Doctor.
Chaar Maheenay Baad Top Secret Delta Mission
EMCON ALPHA ONE RADIO SILENCE
Samajh gaya. Laal Deck.
Bird bandhi huwi hai, goudaam ki taraf ja rahi hai.
Yaar bohat sardi ho rahi hai, mujhe tou apna chehra bhi mehsoos nahi ho raha.
Lieutenant Granderson, mujhe batao kya mera chehra sahi salaamat hai?
Haan, sir, magar shayad aap ko...
lip balm laganay ki zaroorat hai.
Miami mein woh desk job hi kar laita.
Yahaan bohat thand hai.
Captain pull par hai.
XO Slattery,
Chalo tum logon ko waapis Norfolk lay kar chaltay hain.
-TAO, pull. -Pull, TAO.
Hamaaray Helo nay abhi nishanay ko chora hai apnay aakhri missile test kay liye.
Nishanaa paanch feet lamba, aur dou feet chora hai
aur barfeelay paani mein bhi koi garmi ka temperature nahi dikh raha.
Chalo usay dhoondtay hain aur usay maartay hain.
Nishaanay ko scan kiya ja raha hai.
Scanning zone.
Kill track 5205.
-Nishanay ko haasil kar liya. -Nishanay ko haasil kar liya. Torh dou.
Kill track 0845, aye.
MSS, kill track 0845.
Missile tayyar hai fire karnay kay liye.
-Missile clear. -2-2-0, 30.
Thirty thousand.
-Boom. -Nishanay ko maar diya gaya.
Sham bakhair, Nathan James. Main Captain baat kar raha hun.
Duniya kay sab say uppar chaar maheenay guzaarnay kay baad
hum nay apna aakhri test pass kar liya hai.
Aur mujhe yeh kehtay huway fakhar ho raha hai kay bohat achay numbers say.
Main Pentagon say poochta hun kay kyun na hum khamoshi torh dain
aur calls aur e-mails karain.
Bravo Zulu tum sab ko.
Apni kamyaabi kay mazay lou kyun kay hum log ghar ja rahay hain.
Pachaas say neechay aatay hain aur un ko barf say duur rakhtay hain.
Aye, sir.
Dr. Scott, andar aajain.
Dr. Scott, kya aap wahaan moujuud hain?
Please jawaab dain.
Dr. Scott, andar aayen.
Yeh such nahi ho sakta.
Hum bohat qareeb aagaye hain hamein yeh dehaan rakhna hoga
kay yeh alehadgi muzir e sehat na ho.
Koi baat nahi Rachel, hum kal bhi aasaktay hain.
Ma'am, hum aap tak pohanchnay ki kooshish kar rahay thay.
CO chahtay hain kay aap jahaaz par dobara aajayen.
Aap Captain ko bol dou kay main jab tayyar hongi jab hi aa sakti hun.
Yeh darkhuwaast nahi thi, ma'am.
Abhi chalna hoga, captain ka hukum hai.
Sab kuch daikh liya hai, hum tayyar hain.
Bees feet.
Das feet.
Pahiyye khul gaye hain.
Agar hum nay abhi yeh kiya tou Series kay liye waapis ja saktay hain.
Tumhein nahi lagta kay cubs is kay andar hain.
Yeh sab say kamzoor division hai baseball mein.
Hum log jab chor kay gaye thay, tab chay games thay.
Haan woh, June ki baat hai, aur yeh log Cubs hain.
Captain Chandler, aap ko koi ikhteyaar nahi mujhe kaam par say hataanay ka.
Main ja kar...
Haan.
Yeh log yahaan mujhe saharaa dainay aye hain.
Aap inhein mujhe lainay ke liye nahi bhej saktay.
Yeh log US bahria mein hai... aur mere maa tehat hain.
Jab main tayyar hungi tab bata dungi aap logo ko, mera kaam bohat...
ahm hai aur mujhe aakhir kaar...
-woh mil gaya jis ki talaash thi. -Doctor.
Sab say pehlay tou shukriya aanay ka.
Shayad aisa pehli dafa huwa hai kay aap nay teen lafzon say zyaada bolay hain
jab say hum nay Norfolk chora hai.
Maaf kijiye ga kay main nay aap ko chaaye par nahi bulaya.
Tumhaara rawwaiyya thora bohat acha tha
June mein Virginia mein, magar yahaan itni sardi mein,
jab kay hum mein say kisi nay bhi apni family
say pichlay chaar maheenon say baat nahi ki hai
itna acha rawwiyaa nahi hai.
Haan kheir yeh aadat meri hamesha say...
Abhi bhi baat kar raha hoon.
Aur ab mujhe lag raha hai kay main bohat hi zyaada acha maizbaan reh chuka
hun aap ko jazeeron par lay kar gayaa aur wahaan aap ka intezaar kiya.
Takay aap apni battakhon ka peecha kar sakain.
Arctic terns hain woh.
Aap ko ab jaanay ki tayari kar laini chahiye.
Hamaara kaam khatam ho gaya aur ab hum waapis jayengay.
Main chaaye baad mein piyounga.
Benzo, thoray phal khao.
Oh!
Kya yaar, Mr. Chung. Yeh hamaari North Pole mein aakhri raat hai.
Mujhe pata hai kay tumhaaray baray baray mansoobay hain,
magar kya tum kabhi is kitaab say baahir sir bhi nikaaltay ho?
Nahi.
Okay.
-Lieutenant. -Lieutenant.
Danny, whoa.
Aisa mat karo.
Kaisa?
Tumhein pata hai na is muskurahat say mere uppar kya guzarti hai.
Muhabbat aur jung mein sab jaiz hai.
Haan.
Kara...
Hum jald hi ghar pohanch jayengay.
Hello. Kya koi baat kar sakta hai?
Baat suno meri.
Nahi, main intezaar nahi kar sakti.
Main Dr. Rachel Scott baat kar rahi hun.
Mujhe National Security Adviser say abhi baat karni hai.
Aap nahi samajh rahay mujhe apnay maqsad mein pura nahi utarnay diya ja raha.
Mujhe thora aur waqt chahiye namoonay jama karnay kay liye.
Yahaan bohat shor ho raha hai, main dobaraa keh raha hun.
Mission kay nataaij haasil ho gaye hain, hum log aanay kay liye tayyar hain.
Aisa nahi ho sakta, Commander.
Mission ko thora aur barha diya gaya hai.
Aagay barha diya gaya hai? Kyun?
Khamoshi barqaraar rakkhain aur apni jagha par moujuud rahain
jab tak aap ko aur hidayaat nahi di jati.
Transmission khatam hogayi, sir.
Mission Aagay Barh Gaya. Dosra Din
Woh aurat kya kar rahi hai?
Quincy...
Shayad hamein mil gayi.
Maaf karna dost, kya main nay tumhein utha diya?
Doc nay mujhe kahaa tha kay thora faasla rakkhun.
Admiral parindon ko dara raha hai.
Kya woh such mein kutta hi tha kaheen tum nay saans tou nahi li thi?
Jo bhi ho.
Yaar hamein yahaan say kafi dinon pehlay hi chalay jana chahiye tha.
Yeh kya...
Jahaaz apni jagha par araha hai
saat chay decimal teen paanch shumaal,
zero paanch nau decimal paanch aath mashriq...
Captain, mere paas teen hain... isay paanch banao aisa jahaaz jis ka pata na ho
araha hai aur is ki range 24 nautical miles hai, aur taqreeban 80 knots hain.
Yeh hamaaray nahi hain, yaar.
Yeh Russian hai.
-Ao yaar! -Quincy!
Hamein namoonay bachana hongay.
-Meri madad karo! -Dabba yaheen choro aur chalo!
Rachel, dabba chor dou.
Chalo foran!
Chalo foran!
Quincy!
Chor dou!
-General Quarters ko set karo. -General Quarters, General Quarters.
No comments yet. Be the first to leave one.