Arrow

Arrow

Descargar subtítulo en Urdu

Información de lanzamiento

Arrow 2017 Season 06 Episode 11-20 Urdu
Comentario por kikywebsite

Etiquetas

other
Publicado el: 2019-05-17
Descargas: 21
Para personas con discapacidad auditiva: No

Vista previa de los subtítulos en Urdu

Las primeras 200 líneas.

Mera naam Oliver Queen hai.

Jahanum mein paanch saal kay baad,

main sirf eik maqsad se wapis aya hoon, apna ghar bachanay.

Aaj, main dou laraiyan larta hoon.

Din mein, main Star City ka mayor hota hoon.

Lekin raat mein, main koi aur hota hoon.

Main kuch aur hota hoon.

Main Green Arrow hoon.

Arrow mein ab takk.

Tumhari wajah se mainay apna kuch bohot ehem kho diya. Mera beta.

-Humnay apnay rastay janay ka faisla kiya. -Kismat tumhara saath de.

Yeh humara naya bil hai. Helix yahan se operate karta tha

lekin woh ab yeh istamal nahi kartay.

Tou humnay unko apas mein lara diya, bajaye humsay larnay kay.

Vincent bhi unkay saath kaam kar raha hai.

Oliver ne usko James aur baki sab kay saath dekha.

Tum samajh nahi rahi.

Tum eik jhootay ho.

Tum meray walid kay liye Green Arrow kay saath thay.

Haan, William.

Mazrat tumhein beech mein ana para. Mazrat tumhary betay se mujhay jhoot bolna para.

Mainay uss say jhoot nahi bolna, lekin fil waqt bol sakta hoon.

Mainay shayad iss chip ka masla hal kar liya hai.

Kaam kargaya?

Shayad hum utnay bhi gaye guzray nahi, jitna humnay socha tha.

Haan.

Main city councilman hoon. Mujhay izat milni chahiye.

Chund dinon tak baadal rahayeingay.

Hey, tumhari shift chhay bajay khatam nahi hui thi, Doc?

Main bhi apnay aap se yehi poochti rehti hoon, Gilbert.

Hey, yaar.

Chay.

Joey aur main aaj raat khel dekhaingay,

agar tum ana chaho, Frank.

Nahi, kaash asakta hota. Aaj ka din lamba hoga.

Acha, koi ghabraye nahi.

Yeh kya tha? Yeh kya ho raha hai?

Deewaron se hat jao.

Deewaron se hat jao.

Nahi, nahi. Humein yahan se bahar nikalna hoga.

Nahi, nahi.

Wah!

Waqayi, chotay.

-Dobara koshish karo, please. -Acha.

Yeh!

Tum phir jeet gaye!

Jab tak Green Arrow thay tab tak practice hoti rehti thi.

Haan yeh ho sakta hai.

-Apni field trip kay liye tayar ho na? -Haan.

-Coastal Biology center, haina? -Haan.

Trip kay liye eik prep sheet hai aur maine extra credits ki koshish ki.

Ruko.

-Dekhna pasand kareingay? -Haan.

Mera matlab Felicity.

Zaroor. Haan.

Mazrat. Math ka sawal hai, hyperbolic geometry ka,

coral ki tarha marine organisms ka.

Mujhay pata hai coral kya hota hai. Kher hai.

Yeh eik high dimensional math ka sawal hai jo zyadatar logon ko samajh nahi ata

jab tak woh 12 grade AP na hon.

Aur yeh bilkul sahi hai.

Mubarak ho! Apna Flash backpack uthao aur apni bus na chor dena, acha?

-Acha. -Jao ab. Seekho kuch.

Mujhay pata hai coral kya hota hai.

-Subha bakher. -Subha bakher.

Meray khayal se hum mukamal gharelo ho chukay hein.

Ya Khuda. Mera nahi khayal.

-Kya hua? -Council Grovner mar gaya.

-Kya? -Chay log hospital mein bhi,

aur panch elevator se elelctocuted ho kar mar gaye.

-Elevator mein? -Elevator se.

Kya?

Samajh nahi araha.

-Haan, Quentin. -Eik masla hai.

-Eik elevator... -Se panch log electrocute hogaye.

-Haan, kesay pata? -Bas pata hai.

Dekho, Thea ko pakro, main tumhein SCPD mein milta hoon, acha?

Oliver, eik shikar, Frank Pike bhi hai.

Jald mulaqat karta hoon.

Frank Pike mar gaya.

Kya tum bunker mein ja sakti ho?

Kya tum pata laga sakti ho kay kya ho raha hai? Shukira.

Hey, yeh chip waqayi kaam kar rahi hai.

Haan, itna acha mehsoos kabhi nahi hua.

-Bohat khoob. -Ya taqatwar.

-Sab theek hai? -Bilkul nahi.

Shehr mein kisi kism ka electronic hamla hua hai.

-Cayden James? -Pata lagana hoga.

Matlab, gariyan, cranes, life support systems,

aur ab elevator bhi ab logon ko maar rahay hein.

Haan, electronics ko hack karna mujhay humesha bekar lagta tha

jab thermobaric bomb aur amplifier maujood ho.

Aur port ka control.

-Haan. -Oliver hai.

-Hey. Main John kay saath hoon. -Kya pata chala?

Hack-cidents shehr bhar mein ho rahe hein. Iss hamlay ki nawiyat

se lag raha hai kay yeh Cayden James hai, magar kis hadd tak.

Tou kya mujhay William ko ghar le ana chahiye ya mujhay khush hona chahiye

kay woh sheher se bahar ja raha hai?

Oh, dosri baat.

Ab Dinah, Curtis aur Rene ko saath milanay ka sochtay hein.

Shayad rastay aleda hon, magar maqsad eik he hai.

Karo. Humein zyada se zyada madad ki zaroorat hai.

Mr. Mayor.

Quentin, main...

Frank ka sun ker afsoos hua. Woh eik acha police wala tha aur usay bhi acha insaan.

Haan, tha tou.

Lekin woh nahi chahta hoga kay hum kharay ho ker afsos karein.

Suno, 911 per zyada load par gaya hai. Aur ab yahan koi maujood nahi.

Haan, hai.

Aur mujhay lag raha tha kay main akela hoon.

Kya tum mujhay status ka bata saktay ho?

Haan, status badalta rehta hai, magar jo pata hai woh bata sakta hoon.

Eik haftay kay hisab se kaam tou bura nahi hai.

Main bharosaymand team, technology se zyada pasand karoongi.

Bilkul.

-Felicity hai. -Yeh humein dobara bugg nahi kar rahi na?

Nahi. Dekhta hoon.

-Hey. -Hey.

Cayden sheher per tarteeb se hacks kay zariye hamla kar raha hai.

Usnay abhi eik plane crash kardiya.

Haan, pata hai. Woh kuch bhi hack kar sakta hai jo Internet se connected ho,

jo aaj kal kay daur mein har eik cheez hai.

Tou main soch rahi thi kay humari teams,

humari dou mukhtalif teams, maloomat ka tabadla karein.

Haan, yeh acha idea hai.

Hum har kism ki maloomat deingay jisay madad ho.

Acha, shukira, Curtis. Main tumhein bhejti hoon jo mere pass hai.

Umeed hai kay koi masla nahi hai. Mujhay pata hai hum eik dosray ko dekhtay hein,

lekin hum kuch tehreer mein nahi laye thay.

Oh, hum mutafiq thay, Curtis.

-Frank Pike mar gaya. -Kya?

Woh Cayden James kay eik hacks se maara gaya.

Kya yeh Felicity kar rahi hai?

Ruko. Woh...

Yeh nahi ho sakta.

Pata hai kya? Akhri bar jab mainay yeh hotay dekha tha,

tab yeh Vigilante kay visor ko track kar raha tha.

Haan, magar usnay apne electronics modify kiye humaray signals block karnay keliye.

Yeh asal hai.

Yeh usnay lock kardiya.

Kyun kay tumhara saman malfunction nahi karta?

Waqayi? Iss waqt nahi.

Acha, magar mera matlab...

Kya usnay garbar kardi? Kya woh bhool gaya kay hum uska pata laga saktay hein?

Nahi, woh bohat hoshyar hai.

Meray khayal se woh kamina hum ko rastay se hatana chahta hai.

Phasana chah raha hai.

Main kehta hoon kay hum usko phasa letay hein.

Tum sab raazi ho?

Eik, dou, teen. Tayar hojao!

Haan, mera nahi khayal hum ko "tayar hojao" eik sath kehna chahiye.

Lekin maza aye agar eik saath bolein.

Mera nahi khayal kay yeh acha lagega.

Mera matlab, OTA se thora sa mukhtalif ho jatay hein.

NTA ki tarha bantay hein aur saath mein kehtay hein.

Lekin hum NTA he hein, aur bagher "tayar hojao" bolay zyada cool hein.

Suno, yeh Oliver ki tarha...

-Main sirf keh raha hoon... -Eik koshish kar saktay hein.

Mazrat, mujhay dair hogayi. State Street per eik hawai jahaz crash hogaya.

Bura haal hai. Kya yehi woh Cayden James hai jiski tum baat kar rahay thay?

Shayad. Dekho, Quentin tumhein sab bata sakta hai.

Mainay usko tumhari madad kay sath cheezon ka pata laganay ka kaha hai.

-Zaroor. -Haan.

Suno, hum SCPD kay systems ko offline kar rahay hein.

Hum communication trees laga rahay hein, takay officers apas mein baat kar payein.

Acha, bohat khoob. Puranay waqton ki tarha.

Main itna purana nahi hoon.

Dekho, meray khayal se yeh eik behtareen idea hai.

Humein city government kay andar har cheez ko analog per lelena chahiye,

aur uss tarha, hum James ki pohanch se bahar hongay.

Aur iss dauran, hum woh sab kuch karein jisay hulchul kum ho jaye.

Hum libraries, gym aur civic centre kyun nahi laga letay,

SCPD protection kay saath?

Hum unhein bilkul off grid kardein. Log ayein, aur mehfooz mehsoos karein.

Safe zones eik acha khayal hai.

Ab mujhay wapis City Hall jana hai.

Councilman Grovner ki maut kay sath...

-Nahi, jao. -Jao, jao.

Hum sambhal leingay.

-Acha. -Kismat tumhara sath de.

Alleyway khaali hai.

Parking garage bhi.

Idher bhi kuch nahi. Wapis base per ayein?

Yeh kya tha? Tumhari awaz katt rahi hai.

Haan, mujhay bhi thora khalal sunayi de rahi hai.

Tum log mujhay sun saktay ho?

Nahi, nahi sun saktay.

Tum signals jam kar rahay ho.

Main mukhtasir baat karoonga.

Main tumhari taraf hoon.

Mera bhi nishana Cayden James hai.

Main uski organization kay liye undercover hoon.

Tumhein meray mathay per 'bewaqoof' likha nazar araha hai?

Tum mera matlab tou samajh gaye hogay.

Mainay pichlay haftay Dinah ko batanay ki koshish ki lekin usnay mauqa nahi diya.

Iss waqt, James darjanon logon ko qatal kar raha hai.

Aur raat tak, yeh tadaad kayi sau ho jayegi.

Mujhay tumhari madad chahiye.

Main tum per kyun bharosa karoon?

More Urdu subtitles for Arrow

Comentarios

No comments yet. Be the first to leave one.

Keep it about this subtitle — sync, quality, typos.500 characters left