Las primeras 200 líneas.
Pichli dafa The 100 mein...
ALIE ke code ka aik hissa abhi bhi meray dimagh mein hai.
Dimagh ka ziada kaam karna, wehem, yeh sab aapas mein jurray huay hain.
-Raven. -Becca?
Koi galti nahi karna, agar tum rukay tou tum maaray jao gey.
Acha, phir. Humaaray paas khonay ke liye kuch nahi hai.
Sirf aik cheez jo atal hai woh Praimfaya hai.
6 din ke ander ander jo iss bunker mein na hua woh maara jaye ga.
Jung larr ke yeh faisla karna ke kon zinda bachay ga galat tareeqa hai.
Nijji ijtema.
Aik qabeelay sey aik champion, aur jo jeeta bunker uska.
Tume 12 sipaahiyon ko maarnay ki zaroorat nahi.
Mujhe sirf aakhri waalay ko maarna hai.
Octavia kom Skaikru ki jeet hui.
Skaikru akelay ka bunker nahi hoga. Hum
sab baantein gey. Hum aik qabeela hain.
Kya kiya tumne?
Agar aik he qabeela zinda bach raha hai tou woh humaara hona chahiye.
Clarke, tum iss per raazi hogayi?
Jo karna tha woh karlia hum ne.
Skaikru ne hum sab ko dhoka dia.
Tum loug yeh kaise kar saktay ho? Sirf 4 sipaahi he bachay thay.
Octavia un mein sey aik thi. Woh jeet sakti thi.
Aur haar bhi sakti thi.
Bellamy, Tum sahi ho. Uss ke paas moqa tha.
Lekin aakhri chaar mein Luna bhi thi.
Jiss ka matlab hai ke shayad koi bhi iss bunker mein na aasakay,
koi bhi insaaniyat ke khaatmay tak zinda na rahay.
-Tum yeh samajh saktay ho? -Haan, mein samajh sakta hoon.
Tumne woh kiya jo tumhe sahi laga, hamesha ki tarah.
Lekin tum...
Lekin tum mujhse yeh umeed nahi rakh sakti ke mein
apni behen ke baaray mein jaanay bagair sab chor doon.
Hum woh darwaaza nahi khol rahay, betay.
Pata hai, jiss election mein aap wapis chancellor
ban gaye, woh election mujhsey reh gaya hoga.
Mein mareez khaana tayyar kar rahi thi aur maine lougon ki awaazein suni.
Hogaya? Kya hum jeetay?
Humein nahi pata.
Marcus kahan hai?
Woh tower mein tha.
Hum ne usski, Bellamy, aur Octavia ki talaash ke liye loug bhejay hain.
Sirf Bellamy humein sahi waqt per mil gaya.
Maaf karna.
Mujhe apna radio doe. Marcus ke paas uska hai.
Yeh yahan kisi kaam ke nahi hain.
-Clarke. -Mein inhay alvida kehnay dey rahi hoon.
Mein tumhaari kaifiyat samajh sakta hoon.
Lekin yeh mein daaway sey keh sakta hoon ke radio ke uss taraf,
dard ke ilawa kuch nahi hai.
Taabkaari ki sataah naazuk hai,
tou bahir loug uss ke asraat mehsoos kar saktay hain.
Unko jaise he pata chalay ga ke bunker hum ne ley lia, hangaama mach jaye ga.
Aur agar hum ne woh darwaaza khola, hum hangaama ander ley aaeingey.
Mein samajh sakti hoon.
Ab mera raasta choro.
Yeh walkies 21. 5 megahertz per hain.
Koi mujhe...koi mujhe sun sakta hai? Over.
Mein Octavia hoon. Koi mujhe sun sakta hai, laanat?
O, mein hoon.
Tum sahi ho?
Zinda hoon.
Mein jeet gayi.
Bell, tumne kya kiya?
Yeh maine nahi kiya lekin mein sahi kardoongi.
Humaaray paas ziada waqt nahi hai.
Meri baat suno. Jab mein jeeti,
Maine faisla kiya tha ke mein bunker sab ke
saath baantungi, hurr qabeelay sey 100 loug.
Kane unki madad kar raha hai loug muntakhib mein .
Aur Gaia ne kisi tarah nigraano ko mandir band karnay pe mana lia.
Lekin agar kisi ko bhi khabbar hui ke Skaikru ne
bunker churaaya hai tou hum sab maaray jaaeinge.
Acha. Mein raastay mein hoon.
Radio band karo.
Thelonious, hum unhay bacha saktay hain.
O, mujhe thora waqt lag jaye ga.
Kya?
Bellamy, waqt nahi...
Bellamy?
Uski baat sunni?
Grounders abhi sun saktay hain lekin kuch dair baad nahi sun sakeingey.
Mein woh darwaaza khol raha hoon.
Maazrat, lekin abhi humaaray loug mehfooz hain.
Hum yeh daao per nahi laga saktay.
Mujhe roknay ke liye, mujhe maarna hoga.
Chalo bhi, Bellamy. Yeh aisa hona zaroori nahi hai.
Yeh kis ka ghatiya khayaal tha ke IVA suit ko EVA suit mein tabdeel kiya jaye?
Tumhaara.
Apnay aapko tou qasoorwaar nahi theraao gi tum.
Kya hua?
Kuch nahi.
IVA suits aik khaas darj e haraarat ke liye hotay hain,
Khaas maahol, khaas dabaao.
Pata hai kahan yeh sab nahi hota?
Khula mein.
Sahi.
Khalla mein ziada nahi chalna hoga,
agar meray paas shamsi taabkaari sey bachaao ke liye kuch nahi hai.
Socho, Raven. Kya istemaal kar sakti ho? Yeh sciency mushkil hai.
Aakhri jo tumhe hall karna hogi.
Iss ke baad koi dard nahi hoga, koi nuksaan nahi.
Tumhaaray dost bunker mein phassay hongey.
Tum tair rahi hogi, sitaaron mein lipti.
Tumhe chaand per jaana hai? Woh bhi kar saktay hain.
Iski baat nahi suno.
Raven, dhiyaan doe.
Maazrat.
Haan. Dhiyaan dey rahi hoon.
Acha, mein yeh kar sakti hoon.
Yeh taar PTFE sey mosil hai.
Teflon ki coating.
Haan. Zabardast.
Mein isseh pighla ke jor ko chipkaanay ke liye istemaal kar sakti hoon.
Pliable aur radiation-proof.
Yeh maine kyun nahi socha?
Phir sey nahi.
Yeh aaj teesri dafa hua hai.
Doray ka samaan laao.
Jasper.
Masquerade ball? Wah.
Tumhe yeh mazaak lag raha hai? Taabkaari ka nishaan laal hogaya hai.
Tumhe kya lagta hai sab bemaar kyun ho rahay hain?
Aur manshiyaat nahi.
Harper, sahi ho?
Theek hoon.
Nahi ho theek. Koi bhi nahi hai.
Humein bunker ke liye aaj he nikalna hoga warna hum marr jaaeinge.
Mein sirf 3 suits bana saka lekin Rover mein 7 ley k ja sata hoon.
Koi hai? Madad karo!
-Ab kya? -Riley.
-Riley? -Riley?
-Riley? -Isko saans nahi aarahi.
Riley.
Kaali baarish phir parri.
Taabkaari sey jalnay ke nishaan nahi hain.
Kaali baarish nahi thi.
Yeh tumhaari jobi chai ki waja sey ho raha hai.
Choro ussay, Monty.
Chalo! chalo hatto, Riley.
Chalo. Harper, Rover sey tibbi dabba nikaalo.
Dekho isseh. Iska chehra dekho.
Yeh sukoon mein hai.
Tumhaara masla kya hai?
Harper, issliye humne isseh bachaaya tha?
Yeh nahi ho sakta.
Yeh yehi chaahta tha.
Yeh behtar hoga agar yeh ander sey pighal haye jab mout ki leher aye gi?
Mout ki leher 2 din mein ajaye gi. Tum sab kal marr jao gey.
Mein aaj raat nikal raha hoon.
Koi dard nahi.
Kuch sehna nahi.
Agar hum sahi sey lein,
tou hum sab aise marr saktay hain.
Kab?
Jab tak hum karnay ke qaabil hain.
Aaj raat.
Aaj raat.
Aaj raat.
Hum ne sahi kiya, Clarke.
Kal hum sahi thay.
Aaj humein galat ke saath rehna parr raha hai.
Hum waapis wohi kar rahay hain.
Apnay loug maar rahay hain,
taakay hum zinda reh sakein.
Unhay band kar rahay hain.
Bellamy ki behen hai.
Woh kuch bhi karlega woh darwaaza kholnay ke liye.
Tumhe lagta hai humein yeh khatra lena chahiye?
Nahi, lekin
mujhe uss ke liye apnay aap sey nafrat hai.
Humaara apnay baaray mein kya khayaal
hai, uss sey koi farq nahi parta, Abby.
Hum sab ne ajeeb o gaeeb cheezein ki hain apnay lougon ko bachaanay ke liye.
Hum ne apnay lougon ko tarjee di hai.
Iss he tarah hum zinda hain.
Tumhaari maa taaqatwar hai.
Tum uss sey bhi ziada taaqatwar ho.
Yeh hamesha aisa nahi rahay ga, Clarke.
Tum dekho gi.
Bellamy azaad hojaye ga jaise he yeh maut ki leher khatam hogi, sahi hai?
Acha.
Shaabaash.
Uss waqt tak, Bellamy ke bohot dost chawkidaar hain.
Humein kisi ko uss ke darwaazay per kharra rakhna hoga
jo zinda rehna chaahta ho, pasand kiye jaanay ke bajaye.
Shayad mein kisi aisey ko jaanti hoon.
Woh usseh 5 saal tak band rakheinge?
Hurr giz nahi.
Clarke, hum uski behen ke baaray mein baat kar rahay hain.
Hum dono jaantay hain woh itni asaani sey chonay waala nahi hai.
Dekho, mein chaahti hoon...
Fikar nahi karo. Mein tumhaaray saath hoon.
Koi woh darwaaza nahi khol raha jab tak mein Emori ke saath hoon.
Kabhi kamina chahiye ho, mujhe bule lena.
Nahi!
Kaisa hai yeh?
Mujhe nikaalo yahan sey!
Tumhe kya lagta hai kaisa hai yeh?
Hum dekh leinge ab.
No comments yet. Be the first to leave one.