Mr. Robot

Mr. Robot

Descargar subtítulo en Urdu

Temporada 4

Información de lanzamiento

Mr Robot (2019) Season 04 Episode 01-10 Urdu
Comentario por kikywebsite

Etiquetas

other
Publicado el: 2019-12-21
Descargas: 98
Para personas con discapacidad auditiva: No

Vista previa de los subtítulos en Urdu

Las primeras 200 líneas.

Ab tak MR ROBOT mein

Kya waaqayi bas yehi hai?

Iss lamhe, yeh sab sach mein khatam hosakta hai,

jo kuch hum ne kiya hai usko palat sakta hai,

aakhir kaar Five-Nine ko khatam kar sakta hai?

Jamhooriyat aisi hoti hai!

Main ne New York facility ko bachaanay keliye itni mehnat ki...

...ke main aagay ka kuch dekh hee nahin saka.

Report ke mutabiq 71 buildings phat gayi ya unn par aag lag gayi.

Aap ko E Corp ka CTO banaya gaya hai.

CTO title iss se barh kar kuch nahin.

Iss rutbay ki koi ehmiyat nahin. Tum ne sun liya.

Hum usay istemaal kar saktay hain.

Yaqeenan koi ghissa pita bahana hoga

ke kyun aik maheena kaafi nahin hai mere project ko Congo pohonchaane keliye!

Ab main chaahta hoon ke tum apni maa, Trudy ko tasawwur karo.

Kya meri baat samajh aarahi hai?

Tum ab Dark Army keliye kaam karti ho.

Tum thay jis ne chaabiyan di.

Tum aise kar saktay thay jaise Five-Nine kabhi hua hee nahin.

Iske baad jo kuch bhi ho, main chaahta hoon ke hum baat kartay rahein.

Main chaahta hoon ke hum aik team ban jaayein.

Mere associates ko tumhara paaltu mil gaya.

Main tumhara baap hoon.

Angela Moss ko ijaazat thi apna muqadma jaari rakhne ki,

jiski wajah se mere plan kharaab hogaya.

Tum abhi ghabra rahi ho.

Jaise hee tum ismein se jazbaat nikaal dogi sab kuch theek hojaayega.

Tumhein Angela se baat karni hogi.

Woh theek nahin hai.

Aakhri baar jab main ne usay dekha tha, tou woh poori tarah toot rahi thi.

Woh cyber bombing, woh meri ghalti thi.

Uss ne mujhe uske liye istemaal kiya.

Mujhe yeh maanna hoga ke iska koi maqsad tha.

Ghatiyapan.

Woh mujh se badla lene keliye tha.

Bas itni si baat hai, afsos ke saath.

Nahin, abhi khatam nahin hua.

Abhi khatam nahin hua. Ho hee nahin sakta.

Woh meri mom ko waapis laane wali thi.

Hum waapis milne waale thay.

Tum uske saath kya karogay?

Tum kya poochh rahi ho?

Badla.

Mujhe chaahiye.

Afsos ke saath, tumhare paas bas yehi chaal bachi hai

ke tum maan lo ke tumhein bewaqoof bana liya gaya hai.

Jo tum ne kiya hai uske saath jeenay ki koshish karo.

Nahin.

Tum uske project ke baaray mein ghalat ho.

Main jaanti hoon yeh mumkin hai.

Main ne dekha hai.

Aur main jaanti hoon uss se kaise lena hai.

Tum samajhtay nahin ho?

Jo kuch hum jaantay hain uske saath humein yeh karna hoga.

Chup hojaao.

Hum uska parda faash kar saktay hain.

Hum sab ko bata saktay hain uss ne mujhe kya dikhaaya tha.

Chup hojaao!

Chup hojaao!

Nahin, main nahin hoongi.

Aur agar tum meri madad nahin karogay tou main khud karlungi.

Aur aisa kuch nahin hai jo tum kaho ya karo jis se main ruk jaaun.

Kaash tum ne yeh nahin kaha hota.

Tumhein samajhna hoga.

Main usay tumhein nuqsaan pohonchaane se rokne ki koshish kar raha hoon.

Isliye main tumhein yahan laaya tha.

Lekin tum aise baatein karti ho aur main tumhein nahin bacha sakta.

Tumhein naram hona hoga.

Aik raasta hai, agar tum bheek maango tou.

Aik yehi tareeqa hai iss se nikalne ka, please, please, please.

Tum abhi ghabra rahe ho.

Jaise hee tum ismein se jazbaat nikaal dogay sab kuch theek hojaayega.

Tum tou ismein hee ache hona?

Main bhaagungi nahin.

Tou tumhein chale jaana chaahiye.

Uss ne apna faisla kar liya.

Faisla?

Jab baat tumhari hoti hai tou aapko faisla lene ki kahan ijaazat hoti hai.

Nahin, nahin, tum...

Tum ne kiya hai yeh uske saath.

Tum ne usay bharti kiya aur...

Tum ne maar diya...

Aur tum ne yeh honay diya, haina?

Tumhari bahadurana koshish ke baghair nahin hua lekin,

jo tum usay samjhaanay ki koshish kar rahe thay.

Tumhari ghalti nahin hai ke woh sunti nahin thi.

Tum ne mujhe zyada waqt nahin diya.

Woh...

Woh...

woh maan jaati.

Main ne uss se jo kuch kaha sach kaha.

Tum nafsiyaati ho.

Aaj tou tum tol kar nahin bol rahe ho bilkul.

Yeh sab paagalpan hai.

Phillip, agar tumhein lagta hai ke tumhein iska ghussa mujh par nikaalna chaahiye,

tou main uska bojh bardaasht karne keliye tayyar hoon.

Itne saalon mein main ismein bohot achi hogayi hoon, haina?

Woh meri beti thi.

Mujhe afsos hai.

Humari team ke paas nayi kkhabar hai shipment hack

ke baaray mein jo hum ne Mr Alderson se liya tha.

Lagta hai ke uss se humein woh clearance mil

jaayegi jiski zaroorat hai, saal ke aakhir tak.

Abhi October hai, tou humein dou aur maheenay intezaar karna hoga.

Chhuttiyon ke ain waqt.

Kya hua?

Mr Alderson kisi kaam ke nahin hain aur unn par bharosa nahin kiya jaa sakta.

Oh, Wang Shu, tumhein fikar karne ki zaroorat nahin.

Aik baar humaara project ship hojaaye,

tou uska kaam khatam hojaayega aur phir usay khatam kiya jaa sakta hai.

Iss dauraan,

uss par lagaam lagaani hogi aur apne maalik

ko na kaatay yeh taakeed karni hogi.

Theek hai phir.

Usay yaad dilaao ke kya daao par laga hai, agar koi madaakhlat hui tou.

Umeed hai tum apni aakhri Christmas se maza uthaaogay, pyaare Elliot.

MR ROBOT

Aur phir woh mujh se kehti hai,

"Mujhe nahin lagta yeh North Pole hai."

Freddy, tumhare liye package hai.

Aur mere paas tumhare liye package hai.

Hansi nahin aayi.

Kya hum kam az kam Secret Santa kar saktay hain?

8:00 tou baj chukay hain.

Fred?

Chalo, humein yeh jaldi jaldi karna hoga.

Mera babysitter kab se mujhe message kar raha hai.

Aik second.

Oh, zabardast.

Phir se keh sakti ho?

Kya?

Kya tum mujhe keh sakti ho tum mujhe pasand karti ho?

Main tumhein pasand karti hoon.

Kaho ke tum mujh se pyaar karti ho.

Main tum se pyaar karti hoon.

Acha.

Acha, khari ho aur murro, aur phir se kaho.

Aap chaahtay hain ke main khari hojaaun?

Haan.

Kaise ho, Freddy?

Ache nahin ho? Koi baat nahin. Main samajhta hoon.

Kam umar larkiyon ko dekh kar gandi harkatein

karna live video chats par, aik baat hai.

Lekin jab dobara chalaayi jaati hai tou woh jaadu khatam hojaata hai.

Kaun hai?

Apna email dekho.

Tumhein meri taraf se aik message milna chaahiye tha.

Email kholo aur link par click karo.

Tum ne mujhe package bhaija tha?

Suno, please yeh mat karo.

Dekho, main paise de sakta hoon.

Email kholo aur link par click karo, Freddy.

Acha, dekho, agar yeh koi ransomware ya kuch hai ya...

tum mujh se paise nikalwaana chaah rahe ho, tou suno...

Zaahir hai tum mujhe jaantay nahin ho,

kyunke agar jaantay hotay, tou tumhein pata

hota ke mujhe paison se koi faraq nahin parta.

Jo main keh raha hoon woh karo warna main FBI ko video bhaij raha hoon.

Oh, ruko, ruko, ruko.

Nahin.

Fred, mujhe jaana hoga.

Main bas yahan kaam khatam kar raha hoon.

Phir tumhien Trish se kehna hoga Secret Santa karne keliye,

kyunke mujhe ghar pohonchna hai.

Acha, acha, theek hai.

Acha, theek hai.

Freddy, dhiyaan dou.

Tum wahan kya kar rahe ho?

Tum phone par ho?

Merry Christmas, aur main tum se 2016 mein milunga!

Email kholo aur link par click karo.

Pata hai, humaare IT wale bandon se yeh bach nahin sakega.

Mujhe uss hee ki umeed hai.

Acha, main ne click kar diya.

Hogaya?

Lifaafay mein se USB nikaalo.

Main ne hidaayaat likhi hain apne inbox ko archive kaise karna hai uski.

.pst file ko copy karo thumb drive mein.

Inbox?

Main aik wakeel hoon, pal.

Woh inbox client ki hassaas maaloomaat se bhara hua hai.

Sun rahe ho?

Hello?

Main bas aik lamhe keliye soch raha tha ke mujhe koi farak parta hai ke nahin.

Nahin parta.

Oh, jingle bells, jingle bells...

Acha, tou...

Tumhein mere emails mil jaayeinge tou tum unke saath kya karogay?

Jab tumhara kaam khatam hojaaye, tou apna saara

zaati samaan apne office mein chhor dena,

apna phone, apna Fitbit, apni smartwatch,

jis bhi cheez mein aik on-off switch ho, phir USB drive ko Grand Central lekar aana.

Pata hai iss se sirf main barbaad nahin honga,

iss se woh sab barbaad hojaayeinge jo mere liye kaam kartay hain,

meri firm, unki families, sab log.

Yeh phone apne saath rakho.

Jab wahan pohonchogay tou aik aur phone aayega.

Aakhir hai kaun?

Main hoon Mr Robot.

More Urdu subtitles for Mr. Robot

Comentarios

No comments yet. Be the first to leave one.

Keep it about this subtitle — sync, quality, typos.500 characters left