Gotham

Gotham

Laadige alla Urdu subtiiter

Väljalaske info

Gotham 2016 Season 03 Episode 11-20 Urdu
Kommenteerib kikywebsite

Sildid

other
Avaldatud: 2019-05-14
Allalaadimised: 20
Kuulmispuudega: No

Urdu subtiitrite eelvaade

Esimesed 200 rida.

Ab tak, "Gotham" main...

Mera naam Volk hai. Mera bhai, Jacob. Hamein Whisper Gang bulaatay hain.

Woh aadmi iss chaabi keliye qatal karnay ko tayyaar hain.

-Par yeh kisay kholti hai? -Aik tijori ko.

Uss main aik device hai, jo hamaaray khayaal say, unhein tabaah kar sakti hai.

Woh khud ko Court of Owls bulaatay hain.

Isabella ka qatal hogaya.

Uss ki brake line kaat di gayi thi. Aur main jaanta hoon yeh kis nay kiya hai.

Tum blade ko chalnay say rok sakti ho.

Agar tum yeh button dabaaogi, Butch ko aik qaatilaana jhatka lagega.

-Suno, Butch, tum pyaara ho. -Nahin!

-Tum nay sach main usay nahin maara? -Nahin!

Qusoorwaar!

Jo lab Alice Tetch ke khoon ki tehqeeqaat kar rahi hai...

-unhon nay aik test banaaya hai. -Sach main?

Don Falcone, please. Hum tumhaari gaari lay aayeingay.

Carmine shikaar nahin hai. Tum ho. Jhuko!

-Tum meray peechhay kyun aarahay ho? -Tum jaantay ho kyun.

Tum meray baitay ko kyun maarnay ki koshish kar rahi ho?

Hum tumhaari madad ki tawaqqo kareingay, jab maangi jaaye.

Tab tak, tumhaara baita mehfooz hai. Kam az kam hum say.

Aisa kyun lagta hai ke hum alvida kehtay rehtay hain?

Shaayed hamaaray paas yehi reh gaya hai.

Ya shaayed hum nay ab tak yeh sahi say nahin kiya.

Khuda haafiz, James Gordon.

-Woh uss say pyaar karti hai. -Tum ghum hogaye ho?

Woh mujh say pyaar karti hai!

Hello.

-Kal meri shaadi hai. -Mubaarak ho.

Pata hai, log hamesha pehli nazar main pyaar hojaanay ki baat kartay hain.

Mujhay kabhi uss main yaqeen nahin aaya.

Par jaisay hi main nay usay daikha tha, main jaanta tha.

Haan.

Tou tum kya kartay ho?

Main aik hematologist hoon. Gotham Bio-Lab main.

Tum uss khoon waalay virus par tou kaam nahin kar rahay na?

Woh...kya naam hai uss ka? Tetch. Alice Tetch.

Meri mangetar, police ke saath kaam karti hai.

-Woh iss case ki medical examiner hai. -Aray, haan.

Uss nay kaha ke tum nay virus keliye aik test banaaya hai.

Main sach main iss baaray main baat nahin kar sakta.

Uss nay taqreeban kisi aur say shaadi karli thi.

Meray khayaal say uss ke ex ko abhi bhi umeed hai ke woh waapis aajaayegi.

Aisa nahin honay waala.

Woh uss say pyaar karti hai. Woh uss say pyaar karti hai.

Tum sun rahay ho mujhay, Jim? Main tumhein usay lainay nahin doonga!

Volk mar gaya hai?

Hamein uss ki aur Dmitry ki laash aaj subha mili.

Unhein Talon nay maara tha, Court ke qaatil.

Meray khayaal say iss say sab kuch thora badal jaata hai, nahin?

Kaisay? Tumhaaray paas chaabi hai. Chaabi tijori ko kholti hai.

Tijori main aisi cheez hai, jo Court of Owls ko tabaah kar sakti hai.

Kuch bhi nahin badla.

Agar iss qaatil nay hamein Volk ke saath daikh hoga.

Iss ka matlab hai ke Court ko pehlay say pata hai

ke tum nay apna waada nahin rakha, Master Bruce.

Kaash hamein pakka maaloom hota.

Haan. Kaash hamein pakka maaloom hota ke uss tijori main kya hai,

aur hum iss Whisper Gang ke idaaray par kis hadh tak bharosa kar saktay hain.

Ab, khud say yeh poochho,

kya Court ko tabaah karnay keliye yeh khatra mol laina sahi hoga?

Court of Owls nay meri company leli hai,

meray apnon ko khatray main daala hai,

aur shaayed meray waaldein ki maut keliye zimedaar hain.

Hamaara agla qadam kya hai?

-Main yeh Alvarez ko deraha hoon. -Nahin.

-Main ne tumsay aaj chhutti lenay ko kaha. -Jaanta hoon.

Tum jaantay ho ke ab acting captain main hoon, hai na?

Haan.

Jim, kal aik aur laash hogi.

Sach main. Chhutti lo. Maahi gairi par jaao. Sharaab peeyo.

Harvey, yeh mera kaam hai. Lee ki shaadi say kuch nahin badalta.

Iss aadmi ke sar ko daikho.

Uff. Yeh iss ke kaan say kya nikal raha hai?

Iss ki khopri kuchli gayi hai. Jaisay kisi nay dono taraf say dabaaya ho.

Soch bhi saktay ho, iss keliye kitni taaqat chaahiye hogi?

-Mujhay batana hoga. Mera pehla khayaal... -Aray, nahin.

-Barnes. -Bas karo!

Barnes main virus tha. Woh Arkham main hai.

Woh kahaani khatam hochuki hai. Mujhay isi ka dar tha.

Batwa yahaan hai, par qaatil nay is ke galay say badge ya kuch nikaala hai.

Tumhaaray jazbaat saaray milay huay hain,

tum unn cheezon ko daikh rahay ho jo asal main hain nahin.

Yeh sirf aik ghalat waqt main ghalat jagaah honay waala case hai.

Aik aadmi doosray aadmi ki haddiyaan apnay haath say lekar kuchal daita hai.

Main yeh har waqt daikhta rehta hoon.

Raseed, Gotham Bio-Lab ke cafeteria ki.

Jahaan Alice Tetch ka khoon test horaha hai.

-Abay yaar. -Main daikh kar aata hoon.

-Yahaan par sab daikh lo, theek hai? -Zaroor, Jim! Jo hukum.

Buray logon keliye koi aaraam nahin.

Sukoon rakho. Main yahaan tum say badla lainay nahin aayi,

Tabby ka panja kaat dainay keliye.

Halaankay mujhay hairat hai ke tum waapis kaam par aagaye ho

aur usay dhoond nahin rahay jis nay asal main tumhari jaaneman ki jaan li hai.

Woh isliye kyunkay tum poori tasweer nahin daikh rahi.

Mayor ke dushman hain. Yeh dushman samajhtay hain,

ke main iss operation ka aik zaroori hissa hoon.

Woh mujhay kamzor kareingay, tou woh usay kamzor kareingay.

Isabella ko maarna ka maqsad saaf yeh hi tha.

Aur, pooray sheher main, meray jaasoos phailay huay hain.

Jald, jis nay bhi Isabella ko maara hai,

woh saamnay aajaayega, aur main nishaana lagaaonga.

Bechaaray andhay bacchay.

Hamesha woh daikhna mushkil hota hai jo, bilkul hamaari nazron ke saamnay hota hai.

Penguin!

Kya tum nay "Penguin" bol kar nakli khaansi khaayi?

Kehna bhi zaroori nahin, yeh kayi paimaanon par paagalon waali baat hai.

Sach main?

Aik jurm ko sirf, wasaael, maqsad aur mauqay ki zaroorat hoti hai.

Aur tumhaaray chhotay dost ke paas wasaael aur mauqay tou hain hi.

Par koi maqsad nahin.

Aray, main kahoongi ke uss ke paas dunya ka sab say puraana maqsad tha.

"Ameeron ko chahiye, aqalmand jantay hain, saaray ghareebon ko zaroorat hai..."

Pyaar. Uss ka iss say kya laina...?

Aur aqalmand ko ishaara kaafi tha.

Tum yeh keh rahi ho...

ke Oswald mujh say pyaar karta hai?

Yeh bakwaas hai.

Jaanti hoon, mera matlab hai, mujhay tum thoray kharoos lagtay ho.

Par Ozzie nay daikha ke tumhein koi uss say duur kar raha hai,

woh kitaabi keerhay waali lomrri.

Ya Khuda!

Nahin. Balkay,

main soch raha hoon ke iss sab main tumhaara kya maqsad hai.

Woh baad main.

Abhi. Main sirf insaaf chaahti hoon...

uss bechaari, pyaari larki keliye.

Ms Kean, main chaahta hoon ke aap do cheezein samajh lein.

Pehli, Oswald nay Isabella ko nahin maara.

Aur doosra, woh mujh say pyaar nahin karta.

Pakka?

Kya tumhaara itna farz nahin ke tum uss keliye yeh pakka karo?

Mujhay bataana sab kaisa gaya.

Court of Owls ke haath main Gotham ki kayi imaartein hain.

Iss main mushkil say koi hota hai. Par hamesha security bohot hoti hai.

Aur do alarm hain. Pehla, daakhli par hai.

Picchlay haftay, hum nay aik khirki ka alarm band kar diya tha.

Aik dafa andar pohnch gaye, saamnay ka darwaaza

aik code say khul sakta hai, jo hamaaray paas hai.

Doosra alarm basement main hai, tijori waala kamra.

Farsh mai infrared sensor lagay huay hain. Tumhein rassi say usay paar karna hoga.

Main nay yeh sab seekha hua hai.

Tum mujhay chabi dena jo tumhein mili hai, aur main woh cheez lay aaonga.

Par tumhein abhi bhi nahin pata ke woh cheez kya hai, hai na?

Sirf itna ke Court usay mehfooz rakhta hai uss say darta hai.

Aur Talon hamaaray peechhay hai, tou hamaaray paas waqt bilkul nahin.

Sahi, tou... Sab kuch dobaara daikhtay hain.

Tum nay kya faisla kiya?

Hum aaj andar jaayeingay. Aur intizaar nahin kar saktay.

-Tum theek ho? -Haan. Sirf bhook lagi hai.

GCPD.

Ryan Pfeffer naam ka aadmi yahaan kaam karta hai?

Haan.

Woh sub-level teen hai. Kya, woh maslay main hai?

Uss ka kal raat qatal hogaya.

Mujhay uss ke saath kaam karnay waalon say baat karni hai.

Tum log key card ke istimaal ka waqt rakhtay ho?

-Haan. -Sahi.

Agar koi uss ka card istimaal karay, mujhay call karna.

Zaroor. Par uss ka card bees minute pehlay istimaal hua tha.

Uss nay logout nahin kiya.

Police ko call karo. Foran.

Jim, Jim. Tum waqt say pehlay aagaye. Hamaaray raastay abhi nahin milnay thay.

Par main abhi tumhaara qatal nahin karoonga.

Main nay aisa kiya, tou tum shaheed kehlaaogay,

aur woh tumhein hamesha apnay dil main rakhegi.

Nahin. Tumhein maarnay say pehlay, usay tum say nafrat karni hogi.

Aur woh aisa karegi.

Mujhay dhoondo, Jim.

Tou tum nay iss aadmi ka chehra nahin daikha?

Aur woh camera par bhi nahin hai.

Hamein print say kuch milta, par...

Mushkil hi, agar woh camera say bach gaya. Main theek hoon.

Usay Alice Tetch ke khoon ki research main dilchaspi hai.

Pfeffer ke daftar main tor phor hui thi. Aur unn ki file ghaayeb thi.

Tou kisi aur ko bhi yeh virus laga hai? Zabardast.

Woh tum tou nahin na? Kyunkay yeh yaqeenan cheezein aasaan bana dega.

Nahin. Woh main nahin. Yeh tumhaaray haath par kya hai?

"Arkham." Yeh main nay nahin likha.

Daikho. Sab sukoon rakhtay hain.

Tou virus waalay qaatil nay tumhaaray haath par likha.

Woh chaahta hai ke tum Arkham jaao. Barnes, Arkham main hai.

Nahin. Yeh Barnes ke baaray main nahin.

-Jim, tum theek ho? -Haan, main theek hoon.

Hello, Jervis.

James, achaanak say aaye, khushi hui.

Koi aur tumhaari behen ke khoon say infect hua hai.

Acha!

Aur main soch raha tha ke mumkin hai ke uss nay usay ghalti say infect kardiya ho.

Haan, mumkin hai. Mumkin hai.

Par tumharay bartao say pata chal raha hai ke tum jaantay thay.

Tou, tum nay usay infect kiya, apni behen ka khoon churaanay ke baad

lekin tum khaamosh rahay, intizaar main ke woh asar dikhaaye.

Yeh tou meri bohot chaalbaazi hoti, hai na?

Mujhay naam chaahiye.

Tumhein naam chaahiye.

Tou, main itnay waqt tak iss baaray main khaamosh raha,

aur ab, main tumhaari madad karoonga, kyunkay hum itnay achay dost hain?

Kyunkay main tumhaari zindagi yahaan bohot buri bana sakta hoon.

More Urdu subtitles for Gotham

Kommentaarid

No comments yet. Be the first to leave one.

Keep it about this subtitle — sync, quality, typos.500 characters left