Esimesed 200 rida.
Main hun Mrs Diaz, theek hai..
Mrs Diaz ke liye sirf sab se behtareen cheez.
Kachray ke thailay, dastaanay... waisay hi jaisay...
Jaanti hun tumhari pasand.
Gummy bears.
-Jacob. -Hello, Dad.
-Nikal jao! Nikal jao yahan se! -Main apnay baitay ko le kar rahunga.
Mr Barron shayad iss soorat e haal mein aik behtar waalid saabit hongay.
Pareshan mat ho. Custody zyadatar humesha maa ko bilti hai.
Tab nahin jab maa mere jaisi ho aur baap aik hoshiyaar nafseeyati ho.
Main tumhare saath hun.
Mujhay tumhara sahara nahin chahiye. Hum ab alag ho gaye hain.
Rhonda Lashever.
Tumhare puranay parole afsar ne bataya ke tum, Ms Raines,
shayad humari madad kar sakti ho iss aadmi ko dhundhnay mein.
Woh iss baat ki zamanat dengay ke tumhein Jacob ki custody milay.
Tumhein bas itna karna hai ke humein uska pata batana hai.
Tum alvida nahin keh rahay.
Main yahi keh raha hun.
Woh khidmat-e-khalq ke naam se jaana jata hai.
Kiya tum wohi falahi kaam karne walay ho
Zyada zor se mat bolna.
Oh, maaf kar dou.
Sharminda mat ho. Bas aisa mat karma.
Nahin karunga.
-Tum ne kiya. -Aray haan.
Mera matlub main dubara nahin karunga.
Mujhay lagta hai yeh woh sari cheezian hain jo tumhein chahiye thi.
Yeh tum mujhay aisay bar ke neechay se kyun de rahay ho?
Pata nahin. Mujhay laga ke...
Yeh aik lifafa hai.
Aik lifafa dene mein koi burayi nahin hai.
Koi tumhein aik lifafa dene ki waja se giraftar nahin karega.
Koi mujhay aik lifafa pakarnay ke liye giraftar nahin karega.
Police ko shakk nahin hoga ke main ne yeh kiya?
Haan bilkul shakk hoga.
Main yeh nahin chahta.
Toh phir apni biwi ko marwao mat.
Jaisay hi main uss darwazay se bahir jaunga, tum peechay nahin hatt saktay.
Woh kal tak mar jayegi.
Theek hai.
Um... main yehi chahta hun.
Kiya tumhein yaqeen hai tum uss ke baghair zyada khush raho gay?
Mujhay yaqeen hai.
Main tumhare liye aur maslay nahin kar na chahta.
Tum anday jala rahay ho
Kiya?
Aap anday jala rahi hain.
Kiya?
Shukriya. Maaf karna.
Main bas kuch soch rahi thi.
Main bhi.
Kiya aap ko bura lagega agar judge kahay ke
mujhay apnay abbu ke saath rehna chahiye?
Matlub... main khush nahin hongi.
Kiya aap bhi Myrtle Beach mein rehnay aayengi?
-Nahin. -Agar judge kahay main aap ke sath jaun,
toh hum kahan rahen gay?
Mujhay nahin pata abhi.
-Aik gaari mein? -Nahin.
Phir kahan?
Aik gaari mein nahin rahengay. Hum kisi achi aur mehfooz jaga jayengay.
Hum jab wahan jayengay toh kiya karengay?
Sab kuch.
Iss taraf aa jayen, please.
Idhar zara ruk jayen. Baazuon ko khol dain.
Kiya aap apna belt utaarengi, please, mohtarma?
Waqai? Hum jantay hain yeh belt hai toh...
Haan, aap theek hai.
-Aap ka din acha guzray. -Aap ka bhi.
Main poori koshish karunga Jacob tumhein har haftay phone karay.
Kiya baat hai. Bari nawazish. Pur aitemad ho.
Jis tarha mamlaat pichlay haftay kharab huay. Toh haan main pur aitemaad hun.
Achi baat hai. Hona bhi chahiye.
Lagta hai woh tumhein hi milega.
Lekin agar woh mujhay mila,
Main bhi khayal rakhungi ke woh tumhein har haftay phone karay.
Sach mein?
Jab tak tum waada karo ke tum phone uthao gay.
-Hello. -Hello.
-Acha mehsoos kar rahi ho? -Nahin.
-Phir kaisa mehsoos kar rahi ho? -Munasib.
Acha.
Taubah.
Mera kaam tamam hojayega.
Kiya? Kyun?
Sab kharay hon.
Acha. Hum sab record par hain 16CV1164 ke liye,
Barron vs Raines ke liye. Sab baith saktay hain.
Ms Raines. Phir se khush amdeed.
Toh aap juvie aur khandani court ko sambhaltay hain?
Yeh Danville hai. Main saaray courts sambhalta hun.
Kitna waqt ho gaya hai? Kum se kum 5 saal.
Kum se kum 15 saal.
-Khair aap achi lag rahi hain -Aap bhi.
Acha, mujhay court ke muqarar karda saalis se tamam sifarishaat mil chuki hain.
Main samajhta hun Mr Barron ki aik achi naukri hai aur
chahtay hain ke apnay baitay ki poori custody rakhain.
-Ji. -Ji, Your Honor.
Aur yaqeen hai aap jantay hain, ke mere client
ko yeh bhi nahin maloom tha ke unka koi...
...beta bhi hai chand haftay pehlay tak.
Aur unhein kyun nahin bataya gaya tha?
Kyun ke Ms Raines ne unhein nahin bataya tha,
naa hi unki ami, Estelle Raines ne, jin ke paas Jacob ki custody thi kaafi saalon se.
jab inn ko duur rehnay ka order mila
taakay woh iss baat ka khayal rakh sakain ke unki
beti uss se 1,000 qadam tak ka faasla barqar rakhay.
Aap ne iss ke abbu se ye sach kyun chupaya?
Sean Barron ka maazi hai nashay istemaal, sauda, aur unn se wabasta fasaad karne ka.
Ms Raines abhi aur hamesha se bachay ki behtari ke liye pareshan rehti hain.
Ms Raines ka maazi bhi khud kaafi dilchasp reh chuka hai.
-Aur unhon ne kaafi islahat ki hain. -Aur Mr Barron ne bhi.
Theek hai.
Main poori custody ki manzoori deta hun Jacob Michael Raines ki
uski ami, Leticia Raines ko, woh bhi fori taor par.
Yeh kiya mazak hai?
Main daat deta hun aap ki behtari aur apne
betay ki taraf zimmedari ke liye, Mr Barron.
Aap ke paas har garma ke maheenon mein milnay ki ijazat hogi
aur iss ke ilawa har qoumi chutti ke din jab tak Jacob 18 saal ka nahin ho jata.
Bas itna hi.
Main nahin janta main ne kiya sahi kiya, lekin main koi sawaal nahin karunga.
Nahin. Main yeh tumhare baghair nahin kar sakti thi.
-Shukriya. -Mujhay jana hai, lekin phir se mubarak ho
Letty... good luck.
Hello.
Main itni paresha hun main aik cake mix bana rahi hun.
Kiya kaam ho gaya?
Haan hogaya.
Kya hua?
Woh mera hai.
Kiya?
Woh mujhay mil gaya.
Kiya baat hai.
Haina.
Main ne uss bachay par bohat mehnat ki hai.
Janti hun.
Main bhi mehnat karungi.
Bohat achi baat hai.
Um... toh, kiya main usay school se lene chali jaun?
Uss ki chutti kab hoti hai?
Main usay lene chali jaungi.
Theek hai, Shukriya.
Main aap se baad mein milti hun.
Maaf kijiyega. Aap ka matluba number band hai.
Kahan ho?
Aakhir yeh sab hua kaisay?
Maaf karna?
-Haan, maafi mangni chahiye. -Judge ne mujhay custody di hai.
-Kyun? -Nahin pata. Ja kar puch lo.
Nahin. Kuch toh garbar hai.
Yahan par humesha hi kuch na kuch garbar hoti rehti hai.
Main ne woh sab kiya jo mujhay karna chahiye tha.
Jo tum aur mere jaisay logon ko karna chahiye
-Main badal gaya hun. -Waqai?
Kyun ke tumhari aankhon mein wahi sab hai
jo mujhay pehlay maartay waqt dikhta tha.
Tum mujhe maarna chahtay ho? Toh maar saktay ho.
Kahan ho tum?
Maazrat karain. Yeh number band hai...
-Maazrat. Yeh number band... -Hadd ho gayi hai.
Letty. Main bohat pareshan... ho gaya hun.
Mujhay Jacob mil gaya.
Aray shukar hai
Lekin mujhay tumhari madad chahiye.
Acha. Sahi waqt pe ayi ho. Kiya hua?
Kiya unhon ne Javier se abhi tak raabta kiya hai?
-Kon? -FBI.
-Main nahin janta. -Kahan hai woh aurat?
-Woh Lashever churail. -Main nahin janta kahan.
Lekin matlub, woh Asheville mein hoti hai, haina?
Haan.
Tumhein puranay daftar mein giraftar kiya tha.
Haan.
-Kiya tum Asheville mein ho abhi? -Haan.
Mujhay nahin pata kitna waqt lagega, lekin mujhe nahin lagta ke main aaj raat aungi.
Kiya meri baat karaogi Jacob se?
Kiya tum mazaak kar rahi ho?
Kiya aap usay phone dengi?
Tumhari maa ka phone hai.
-Hello. -Hello, meri jaan.
Sab khatam ho gaya.
Jaanta hun. Toh, aap kahan hain?
Main wahan nahin hun. Main jaanti hun aur main sharminda hun,
lekin mujhay Javier se baat karni hai.
Toh, woh kahan hai?
Pata nahin, lekin main kal tak wapas aa jaungi.
Aap ko kaisay pata ke aap kal tak wapas ajayengi agar unka kuch pata hi nahin hai?
Yeh baat bhi theek kahi.
Lekin mujhay lagta hai ke tum aur main...
Mujhay lagta hai ke behtar hoga agar woh humare sath ho tou.
Main bhi maanta hun.
Aap ko usay dhundhna chahiye. Yeh rahi Nana.
-Yeh achi tarqeeb nahin hai. -Hum yeh nahin jantay abhi tak.
Please, Javier ko phir se phone karo.
Main ne tumhein 100 baar bataya ke main ne usay 100 baar phone kiya.
Uss ne bazahir apna phone phaink diya hai.
Woh aisa karta rehta hai.
Nahin, tumhein bas uss ka dhiyan batanay ke liye
No comments yet. Be the first to leave one.