Esimesed 200 rida.
Trevor!
Max.
Halankay Wegener ko tanqeed ka samna karna para sayinsi firqay se...
...Baad mein pata chala ke woh bilkuol durust tha...
...jo uske nazariye pe mushtamil aik wasi bar-e-aazam naam Pangaea mein mila.
Acha. Theek hai.
Mere paas aao
Hello, Leonard.
Hello dost.
-Dost tumhein khushi nahin hogi -Kyun?
-Andar Kitzens hai -Acha ji
-Hello. -Trevor, woh raha mera manpasand saathi
-Kese ho tum, Alan? -Mein theek hun
Tumhari Con Drift wali class kese ja rahi hai?
Theek.
Kiya wahan kum asatiza hone ki waja se awaaz goojti hai?
Toh, tumhein aj kiya kaam tha? Mein aj yahan kaafi masroof hun
Nahin, nahin, dikh raha hai tum kitnay masroof ho
Toh mein jaldi hi bata deta hun
University apna haath kheench rahi hai Tumhare bhai ki lab se
Haath kheench rahi hai?
Haan, Aakhir khar humein samaan rakhnay ki kaafi jaga mil jayegi
Aik cheez samajh lo tum
Yeh jagah Maxwell Anderson ki nootfay ki tehqeeq ke naam waqf hai....
Jo peshan goyi karegi koh-e-atish fishan ke darz ki zameen ke teh ke andar...
Jo kabhi bhi saabit nahin kiya gaya
Matlab,tumhare bhai ke kitnay hisyati auzaar abhi tak sargram hain?
-Aik, do...? -Teen.
Pehlay woh 29 thay
Yeh sab abhi band karwa dena behad ghalat hai
Bolivia mein zalzalay ki harkat mehsoos ho rahi hain
Aur 13 millimeter badlao mehsus hua Mongolia mein
Alan,tum humara kam nahin band kar saktay. Lab ko khula rakho
-Yeh Max ki aakhri nishani hai mere pas - Max ko gaye huay 10 saal hogaye, Trevor.
Mujhay bohat afsos hai iss baat ka. Mujhay waqai afsos hai
Trevor, kiya tum sun rahe ho? Elizabeth
baat kar rahi hun. Phone uthao, jaldi.
Acha. Kher, hum 95 par hain, Aur hum tumhari taraf aa rahe hain
Apnay Uncle Trevor ko hello kaho gay Sean?
Nahin
Bas boldo hello -Nahin
Mujhay nahin bolna
Aray, nahin
Hello, tumhari bhabhi baat kar rahi hun
Bas janna chahti hun ke tum ghar kab tak aao gay...
...Kyunke hum wahan 6 baje tak pohanch jayen gay
Acha. Wese, Mere phone pe rabta rakhna -Aray, bhai.
Sean tumsay milnay ko baitab hai
Haina, Sean? -Ji nahin
Mujhay laga shayad tumnay signal na hone ki waja se jawab nahin diya
Mujhay phone zarur karna
Mein ghar pe nahn hun. Pegham chor do
Trevor, hum bas aagaye tumhare ghar ke pas
Trevor, tum ho yahan abhi?
Hello
Hello
-Kesi ho, Elizabeth? -Aray tum ghar pe ho.
-Tumhein dekh kar khushi hui -Tumhein bhi
Kesi ho tum? Mujhay abhi milay tumhare pegham
-Tum bhool gaye thay, haina? -Mein nahin bhula tha
-Mein kese bhul jaunga? -Tum nahin bhoolay thay?
Mein...
Mein bhul gaya
Iska matlab hargiz nahin ke mein milne ke liye betaab...
...nahin hun bhateejay ke sath
-Matlab, 9 saal tha tabse nahin dekha? -saat.
Waah.
-Toh woh yahan kitnay din rahega? -das din ke liye
Kiya humnay yahi irada kiya tha?
Hey, Sean. kese ho tum?
Achay lag rahay ho
-Kiya woh Game Boy wali cheez hai? -Yeh aik PSP hai.
Zabardast.
Sean, utho, apnay uncle ko hello bolo
Uncle ko hello bolo
Jantay ho, pichli baar jab dekha tha, tum itnay lambay thay
Waah, kiya baat hai
Pakad lia?
Acha, tumhare pas mere saray number hain
Tumhari ticket aur passport tumhare baastay mein hain
Mein Ottawa ke airport pe aungi tumhein lene ke liye
Aur tab tak humein ghar bhi mil jayega...
...Aur hum aik nayi shuruwat ka aaghaz karengay
-Maza ayega haina ? -Haan, theek hai.
Hum Canadians ban jayen gay. Hairat angaiz.
Khudi andar chalay jao
-Uskay liye acha hoga, tumhare sath rehna -Haan.
Kiya pata? Shayad yeh tumhare liye bhi behtar hoga.
Yeh tumhare liye hai
-Kiya...? Yeh Sean ka hai? -Nahin, Max ka tha.
-Max ka? -Han.
Toh dost Yeh bohat mazaydar hoga, pata hai?
Do larkay bas masti kartay huay paach din, shayad aik hafta.
Haina, larkon wali tafreeh karengay, jo larkay kartay hain
Tumhein baseball pasand hai?
Aray, jantay ho humein kiya karna chahiye? We should go get in a batting cage.
Han, acha, sunein. Mujhay bhi aapki tarhan yeh sab acha nahin lag raha
Toh jab tak aap fridge bhar ker rakhengay Mountain Dew se...
...Aur TiVo pe "Family Guy," chalega toh hum theek rahengay
-Sahi. -Aray waah
Yeh toh zabardast coin jama kiye hain.
Kher, mera chota sa mansooba hai bas
Haan, acha kaam kiya hai yeh
Shukriya.
Bhook lagi hai? hum kuch mangwa bhi saktay hain, theek hai
Shayad pizza, ya Chinese, Thai khao gay?
Sandwich? ya kuch aur?
-Waah -Yeh kiya hai?
Bas,yeh aik azeem admi ki kuch cheezein hain
Tumharay abbu
Uska purana dastana.
Ami unkay baray mein zyada baat nhain karti
Kher, tum meri baat pe yaqeen kar saktay ho
Woh unhi kuch khaas logon mein se tha...
...jo har cheez ko achay tareeqay se anjam dete thay
Tum yeh dekh rahay ho?
Yeh tumhare abu ka PSP tha
-Aik yo-yo? -Aray yo-yo ko thukrao mat
Yeh sab tibiyati ka kamal hai Is say markaz ghuzeer quwat
Markazi khichao, aur saath mein mumkina quwwat
Aur qadeem zamanay mein, tum jantay ho...
...ke isay shikar ka hathiyar bana ke istemaal kartay thay?
Dekho.
-Zara, idhar,mujhay bhi karna hai -Han,tum hi kar ke dekhlo
Mujhay nahin pata yeh kiya hai
Hello.
Yeh uski pasandeeda kitab thi
"Jules Verne ki A Journey to the Center of the Earth."
Pata hai, yeh meri kitabein parhnay wali firhist mein bhi thi
-Mein ne abhi tak parhi nahin -Yeh toh ghalat hai, bohat achi kitab hai
Uske liye, yeh sirf aik scienci kahani nahin thi, woh bohat asar andaaz hua
Woh mujhay yeh kahani parh ke sunata tha jab mein bohat chota hota tha
Hello. Yeh kiya likha hua hai?
"Magma ki darjae hararat 1150 per pohanch gayi Mongolia mein"?
"Bolivia."
"Hawaii."
Zara sambhal ke!
Aray, Sean,chalo meri lab chaltay hain
Toh yeh kal takk nahin ho sakta tha?
Tumhare abu kehtay thay,
"Tectonophysics abhi ki scienci tehkeek hai, Kal ki nahin."
Yeh zilzilay ke waqiyat taizi se ubharna shuru hojate hain
Yeh, dekhlo
Yahan pe Hawaii, Bolivia, Mongolia.
Aur inki surate haal bilkulwese hai jesi July san '97 mein thi
Itni bari baat kiya hai July '97 ke baray mein?
Sean, woh wahi saal tha jab tumhare abu ghayab hogaye thay
Ab, dekho, yeh numberon ki farhist dekh rahay ho?
Agar yeh 753, idhar hai, woh 752 toh, toh phir yeh...
...bilkul barabar hota
Yeh chotay nuqton ka kiya matlab hai?
Kisi cheez ko haath mat lagao.Yeh chotay nuqtay hi meri zindagi ka kaam hain
Yeh chaar dhabay apki zindagi bhar ka kaam hain?
Teen. Teen chotay dhabay
Aik, do, teen, chaar.
Iceland.
Ab sab samajh aa raha hai
Max ne yeh jaanch karli thi das saal pehlay, aur woh tehkeek karne nikal para
Ab, agar aaj bhi woh number wese hi hain jese pehlay thay toh...
...yeh aik akhri mauqa hoga pata lagane ka ke tab kiya hua tha
-Mujhay tumhara passport chahiye -Magar kyun?
Maaf karna, mujhay tumhein Canada apne iraday se pehlay bhejna parega
Aap kiya bol rahay hain?
Iskay baray mein bol raha hun Aik safar zameen ke beech mein.
Yeh sab Iceland mein hai, jahan woh gaya tha
Yeh sab kaam mere abu ka hai?
Dekho...
...Max aur mein...
Tumhare abu aur mein iss imkan mein thay ke
aatish fishan ki naliyan wajud mein hain...
...Jo lavay ke neechay se mein se guzarti hui, zameen ke beech tak jaati ho
Aur shayad tumhare abu issi talash mein nikal paray thay
Maaf karna,magar mujhay tumhein subah ko pehli parwaz pe Ottawa bhejna hoga
-Aur mein bata raha hun Icelandair ko. -Nahin, nahin, sunein.
-Aray. -Mein abhi toh yahan pohancha hun, acha?
Aap mujhay yahan chor kar nahin jayen gay
Wese bhi woh mein tha jisnay apka aham kaam dhundha...
...choti baat woh choti si urti hui cheez bhi thi
Yeh mere bhai ke kaam ke baray mein hai
Aur woh mere baap thay
Ab,mujhay das din ke liye Ottawa nahin jana. Mein aapke sath jaunga
Tumhein pata hai Reykjavik aakhri waqt pe
jaanay ke liye kitnay paisay lagtay hain?
Mujhay lag ta hai aap sambhaal lengay
"Utarjao dilair musafir jokul ke Sneffels ki shigaaf mein ,"
"Jiska saya Scartaris ko chuta hai July ka maheena shuru honay se pehlay..."
"...aur phir tum haasil kar loge zameen ka markaz."
Maaf karden.
P-B... P-B, aur...
Ap kiya kar rahay hain?
Tumhare abu ne kitaab mein jo nishaan choray hain unka tarjuma kar raha hun
Mujhay lagta hai ke inn juray huay alfazon mein ki koi alaamat hai
Mujhay lagta hai iska wasta periodic table se hai
Jese ke, mujhay mila S-A, I-S, G-G.
Mujhay yaqeen hai ke P-B periodic table mein hain aur yeh koi loha hai.
-Plumbum ka matlab loha hai. -"Sigurbjorn Asgeirsson" kiya hai?
Kiya?
Kher, yeh yahan hai. Neechay tak parho. Sigurbjorn Asgeirsson.
Sigurbjorn Asgeirsson, yeh...
Yeh aik surag hai. Shayad koi jaga hai.
No comments yet. Be the first to leave one.