Esimesed 200 rida.
PRICE RANCH Texarkana, Texas
Mujhe ye baat samajh lenay do.
Main nay jo tumhein raqam adaa ki thi, us se wafadari khareedi jaa sakti hai.
Uskay badlay mein, tum apnay dou badmaash doston kay sath mil kar
raat gaye meri malkiyat mein ghustay ho.
Aur woh malumat le kar faraar hojaatay ho jo humaray beech mein rehni chahiye thi.
Aisi maalumat jis se koyi jaahil ghalat matlab nikaal le.
Tumharay saathi bhaagnay mein kaamiyab huwe.
Jaatay jaatay meray chaar aadmiyon ko maar kar gaye hain.
Lekin tum tou yaa bohat aahista ho ya bohat bewaquf ho, jo yahan phans gaye
aur teen logon ki pittaai ko akailay seh rahay ho.
Tum paagal khaaton ho.
Tumhari ye majaal!
Tum ghalat Junoobi aurat se panga le rahay ho.
Main tumharay aadmiyon kay baaray mein aakhri dafa puchungi.
Woh mera samaan le kar kahan bhaagay hain?
Kya tum is munh se apnay ghoron ko choomti ho?
Main nay tumharay ghar par kuch banday bhijwaye thay
tumhari beti Kathleen ko is maamlay mein ghaseet kar shaamil karnay keliye.
Uska koyi naam o nishaan nahi mila.
Lekin tasawwur karo mujhe kitni khushi huwi hogi ye pata laga kar
ke tum qaabil-e-fakhar maalik ho
aik answering machine kay jo shayad duniya ki aakhri salamat answering machine hai.
Tex, main Kara baat kar rahi hun.
Mujhe nahi maalum tum kahan ho ya kya tumhein mera paighaam milega
lekin St Louis mein koyi garbar hai aur mujhe tumhari madad chaahiye hai.
Agar tumhein mera paigham mil jaye tou kal sarhad par waqeh gas station aajana
jo ke Jonesboro, Arkansas, ki hudood se baahar hai.
Aur 2:00 bajay aana.
Isko yahan se le jao.
Mujhe surmai suit ziada behtar lagta hai.
Agar bator sadar meray ikhtiyaarat mein sirf apni marzi kay kapron ki baat hai
tou main boorhay rung ka suit pehnunga.
Aaj dopahar ki taqreer par nazar daalnay ka moqa mila tha?
Haan, main parh chuka hun.
Ye darasal qomi satah par apni barbaadi karnay ka hukam hai.
Meri meeraas mein kya likha jaayega?
Woh raat o raat bana sadar jis nay America tabah kar diya?
Waba ki wajah se America tabah huwa hai, Howard.
Jo bacha hai, tum uski hifazat kar rahay ho.
-Kya aap theek hain, Miss Shaw? -Haan, koyi baat nahi hai.
Aaj ki taqreer ko lafz ba lafz parho
aur main yaqeen dilaati hun ke nayi duniya mein tumharay liye aik jagah hogi.
Aur naye muashi nizaam mein tou tumharay liye aur bhi behtar jagah hogi.
Aur agar main aisa naa karun?
Surmai rung ka suit pehan kar aana, Howard.
EAST CHINA SEA
Meray aadmiyon nay China kay kam az kam aik jahaaz
ko Honshu ki taraf barhtay dekha tha.
Mujhe lagta hai ke unka iraada Tokyo tak pohanchnay ka hai.
Wahan kis kisam ki mazaahmat milegi?
-Wahaan ki aabaadi... -Usko mitta diya gaya tha.
Lekin Peng ko logon mein dilchaspi nahi hai.
Uska hadaf ye muqaam hai.
Japanese National Archives. Jahan dastaweezaat, saboot hain.
Woh taareekhi saaz-o-samaan hai jo meri qom keliye eham hai.
Uskay liye Japan ki qom ka qatal karna kaafi nahi tha.
Woh meri saqaafat ko mitta dena chaahta hai.
Hum apna safar EMCON kiye jaari rakhengay aur roshni halki rakhni hogi
-aur jahaaz ko khamoshi se chalaana hoga. -Haan.
Uskay paas dou jahaaz rehtay hain aur main chaahta hun unkay dekhnay se pehlay,
hum unhein dhoond nikaalein. Aaj uski fauj tabah hogi.
Phir se koshish karo.
SHUMAALI ARKANSAS
Is baat par zor diya jaa raha hai ke ye mehaz aik...
Is doraan rihaishiyon par aala hukaam zor de rahay hain
ke woh razakarana tor par jagah badlein
- takeh ziada aabaadi wali jagah... -Kya tum sun rahi ho?
...ko shehar ka markazi hisa banaaya jaaye
jis se awaam mulk kay asaason se mutmaen rahegi.
Jin mein se kuch awaam khaanay ki kami kay maslay ka saamna kar rahi hain.
Saddar Oliver aaj mulk se mukhaatib ho kar aik taqreer dengay
jis mein tamaam Americans ko safaai pesh ki jaayegi...
Tumhara hooliya behtar karna parega. Tumhein nashariyaat pesh karni hogi.
Kya?
Main kuch nashar nahi kar sakta hun.
Saddar kay taqreer denay se sab ghair mustehkam hota jaa raha hai.
Woh ilaaqai rehnumaon keliye jagah bana raha hai.
Humein us paighaam kay badlay jawaab dena hoga.
Aur sirf tum hi ye kaam kar saktay ho.
Unho nay mujhe bewaquf banaaya.
Price, Castillo, un sab kay sab nay.
Main jis doraan Michener par tanqeed kar raha tha,
us doran woh uskay qatal ki saazish kar rahay thay.
Tumhein is baaray mein pata nahi chal sakta tha.
Tumhein pata tha.
Abhi bhi waqt hai, Jacob.
Hum sab theek kar dengay.
Tumhara jo ye dost hai, woh puray waqt ghayab raha hai.
-Kya woh qaabil-e-aitemaad hai? -Woh gas station par maujood hoga.
Aur in haalaat mein hum sirf us par bharosa kar saktay hain.
Chalo, Jesus kay shehri.
Khaanay ka waqt aagaya hai.
Woh bhaag gaya! Ghaayab hogaya! Usnay Doug kay khanjar se usko maara,
uski chaabiyaan aur bandookh le gaya aik truck samayt!
Woh ab Mexicali kay bhi aadhay raastay par hoga.
Itmenaan rakho, Renfro.
Humein poori tarah maalum hai ke woh kahan jaa raha hai.
JAPANESE NATIONAL ARCHIVES Tokyo
Bishamonten,
mujaahidon ko devta,
Dharma ka rakhwaala,
dolat aur khazaanay ka haakim.
Aur Japan kay qismat kay saath devtaon mein se aik hai.
Aaj qismat iska sath nahi degi.
Sirf sab se qeemti ashiya le jao.
Baaqi ashiya ko,
aag laga kar mashal bana do.
Main puri duniya mein isko nashar karna chaahta hun.
CNS HENAN Chinese Guided Missile Destroyer
Soorat-e-haal maamul kay muttabiq hai.
Nigraani jaari rakhi hai, sir.
Bohat khoob.
Apni aankhein phaar kar dekhtay rehna.
CNO on the bridge!
Sir, humein pehla Chinese jahaz ghair mutaharik radar par dikha hai.
Woh humaray daayeray nazar se zara si aagay hai.
Iski simt ka ikhtitam Tokyo Bay par hota hai aur jahaz-raani kay radar
par dikhai denay bartao kay muttabiq lag raha hai ke ye gasht par nikli hai.
Aur Peng ka dousra jahaaz kahan hai?
-Uski koyi khabar nahi hai, sir. -Shayad EMCON kiye huwe hai.
Ya humein talaash kar raha ho.
Pehlay jahaz ka rawaiya bilkul aala difaayi andaaz kay bartao jaisa hai.
Is baat se saabit hota hai.
Agar woh kuch difaah kar rahay hain tou iska matlab Peng wahan khud maujood hai.
-Woh jahaz uski hifazat keliye hai. -Peng ki khaslat kay muttabiq
woh apni aankhon kay saamnay kisi fun ko jalta dekhega.
Agar aik kashti Archives kay baahar wali jagah gasht kar rahi hai
aur hum zameen par Peng kay peechay fauji dasta bhejain...
Uskay aadmi humein dekh lengay aur jahaaz humaray daston par humla karega.
Agar hum uskay pehlay jahaaz par humla karein jaanay baghair
ke uska dousra jahaaz kahan hai tou humara pata lag jaayega.
Aur phir dousra jahaaz humein tabah kar dega.
Hum us par humla karnay ka faisla nahi le saktay.
Peng nay bohat hoshiyaari se kaam liya hai.
Humara hadaf Japanese Archives hain jis par is waqt Henan nigraani kiye hai
jo ke saahil se teen kilometer ki duri par gasht kar raha hai.
Peng ko giraftar karna dou marhalon ka mansooba hai.
Cobra Team ko Chinese jahaz Henan par jaa kar hifazati center naakaara banana hoga
jiskay baad Vulture Team CNO ki rehnumai mein
Peng par National Archives kay andar dhaawa mol legi.
Humein andaaza hai ke Henan kay hathiyaar
Archives se 80 mile se zaayed kay faaslay par humla kar saktay hain.
Bahar haal, unka dehaan aur humla karnay ka markaz
Archives ki imaarat kay ird gird hoga.
Hum isay Hot Zone ka naam dengay.
Agar Vulture Team, Hot Zone mein Archives ki taraf barhtay huwe dekh li jaati hai
aur us waqt tak agar Henan kay hathiyaar naakaara nahi kiye hongay
tou woh jahaz Vulture Team par humla karega.
Humari nigraani se pata chala hai ke Henan aur Peng kay zameeni dastay
aapas mein har 15 minute baad soorat-e-haal ka jaaiza letay hain.
Cobra Team tairaaki kartay huwe Henan mein us waqt jaayengay
jab woh saahil kinaaray apni gasht ko rokay huwe hongay.
Jahaz ka bahaao humari taraf hoga tou humein kam tairna parega.
-Master Chief ab tum batao? -Henan aik Luyang III darjay ka jahaz hai
jo aatay missile ko tabah karta hai jaisay ke humari...
Usko nuqsaan pohancha hai.
Jisay humaray Arleigh Burke nay nuqsaan pohanchaaya tha.
Har koyi uskay naqshay ka jaaiza le ga.
Humein us jahaz kay har khufiya raastay ka ilm hona chahiye.
Pilot kay kamray par humlay se
aur unkay hathiyaaron ko nakaara karnay se humein us jahaz par qaabu mil jayega.
Agar ye mansoobay kay tehat huwa tou unkay baaqi amlay ko
humari maujoodgi ki khabar bhi nahi hogi.
Koyi ghalti mat karna.
Hum aisay dushman par humla kar rahay hain jisay humaray aanay ka andaaza hai.
Aur unkay paas dousra jahaz bhi hai jo hum dhoond nahi saktay.
Is mansoobay ka aik marhala bhi naakaam huwa tou pura mansooba naakaam hojayega.
Bas yehi sab baat thi.
Sir, is mansoobay mein aik baat hai jo main apnay amlay ko nahi samjha sakunga.
Main khara ho kar kyun kuch nahi kar raha
jabke tum sab apni jaan ko khatray mein daal rahay ho.
Main kisi bhi kaam mein madad karnay ko taiyaar hun.
Tum yahan neechay rehnumai karo gay jis doraan Commander Garnett
balaai manzil par jahaz chaalu kiye rakhega.
Shukriya, Sir.
Hum kahan maujood hain?
Kya Gene Hackman is jagah ka Sheriff hai?
Yahan 100 mile mein sirf yehi aik ruknay ki jagah hai.
Aik tarah ki nishaani hai.
Ye lo.
Itna ghabraaye huwe dikhnay nahi chaahiye ho.
BORDER GAS STATION
Mrs Green?
Mujhe Tex nay bheja hai.
Tumhein aur sahaafi ko lenay aaya hun.
Sath chalo. Tum log wahan mehfuz raho gay.
Main nay kisi sahaafi ka tou nahi bataya tha.
Daftar kay kaamoun nay tumhein mulaayem kardiya hai.
Tumhein dair lag gai aur tum mein se ghoray ki badboo aarahi hai.
Tumhein dekh kar khushi huwi meri jaan.
Main hun Tex Nolan.
Kya haal chaal hain tumharay?
-Shukriya, beti. -Aray, abbu! Woh mera hai.
Itnay waqt tum yehi kaam kar rahay thay?
Roberta Price kay sath kaam kar rahay thay?
Kher, main isay Price kay sath "kaam karna" nahi kahunga.
Main aur kuch log ujrat kay badlay uski madad kar rahay thay.
Usko apnay ilaaqay mein koyi masaail thay.
-Hungamay horahay thay. -Theek hai.
No comments yet. Be the first to leave one.