نخستین 200 خط.
Mera naam Oliver Queen hai.
Paanch saal ki aziyat ke baad,
ghar aya aik hee maqsad le kar.
Apnay sheher ki baqa.
Ab aur bhi log meri is mohim mein shamil hogaye hain.
Unkay liye main Oliver Queen houn.
Aur baaqi tamam Starling City ke liye, main koi aur houn.
Kuch...aur houn.
"Arrow" mein ab tak...
Main tumhein yeh karne se rok tou nahi sakti.
Par main tumhari madad bhi nahi karoungi.
Tum ho kon?
Main woh qanoon ki rakhwali houn jis se tum bhaag nahi sakte.
Danny Brickwell. Brick kehlaya jaata hai.
Tum sab ab meray liye kaam karte ho.
Saath mil kar Glades par humara raaj hoga.
Oliver.
Mainay usay bulaya...
taakay tumhein aik nayi zindagi de sakay.
Yeh aik khatarnak muqabla hai...
Oliver,
dunya ke sabse ziada
khatarnak logon ke saath.
Main jeet sakta houn
tabhi kar raha houn.
Mujhay is baat ka darr nahi ke tum usay hara nahi sakte.
Mujhay dar hai ke tum usay jaan se nahi maarogay.
Tum ab waisay nahi rahay.
Mujhay darr hai ke Ra's tumharay khilaf
tumhari hee insaniyat ko istemal karega.
Theek keh rahi ho tum.
-Main nahi jaonga. -Waqai?
-Pakka? -Main sirf aik cheez jaanta houn.
Main tumse pyar karta houn.
Yeh piyo.
Mazeed jarri bootiyan?
Penicillin. Infection roknay ke liye.
-Tumnay meri jaan bachayi. -Baraf aur thand ne bhi apna kaam kiya.
Aur tumharay quwat e bardasht.
Tum marr sakte thay.
Kya tum jaanti thi Maseo mujhay yahan layega?
Us hee ne mujhay yahan bheja tumharay paas.
Nahi jaanta tha ke... tum dono
ab bhi raabtay mein ho.
Nahi hain.
-Maseo... -Abhi kharay honay ke qabil nahi ho.
Tou meri madad karo.
Acha hua tum rukk gaye.
Tumhein phir sunn kar afsos hoga.
Toofan ke chhat te hi,
Nanga Parbat rawana ho raha houn.
Maseo...
Ra's ko agar khabar hui ke tumnay meri jaan bachayi...
aur usay dhoka diya...
Woh tumhein jaan se maar dalega.
Tum meri fikar nahi karo.
Fikar karo tou apnay ghar ki,
aur uska kya hashar hua hai tumhari ghair maujudgi mein.
Lagta hai tum ghalat gali mein chali aayi,
yahan se rasta nikalta hai Carlisle ko. Iskay barabar waali se tum
Reimer Avenue ja sakti thi, jahan pe tum mehfuz thi.
Tou batao araam se aati ho...
Ya mujhay zabardasti karni paregi?
Hey!
Tum bhaago.
Afwa sunni thi ke yahan larkyon ko bachanay aik naqab posh ghoom raha hai.
Shayad tum woh nahi.
Yeh Brick ka sheher hai ab.
Humein baat karni chahye.
Thora sa dard hoga..
Bus aik aur. Sorry,
Bola tha ke dard hoga.
Tumnay kaha tha ke thora.
Haan khair. Dig ne sikhaya tha.
Felicity ka haath ziada saaf hogaya mujhse pehle.
-Felicity hai kahan, waisey? -Pehle tum yeh batao...
tum wahan kya soch ke woh sab kar rahi thi?
Jo tum karte ho.
Mainay Oliver se training lee hai
aur saalon ka tajurba hai.
Tumharay paas aik law degree hai.
Dekho...
Main samajh sakta houn.
Magar yeh?
Is tarah apnay gham nahi bhulatay, Laurel.
Is tarah apnay aap ko halaqat mein daal kar.
Laurel, yeh kya mazaq hai?
Main theek houn.
Tum pagal ho agar tumhein lagta hai ke tum
apni behen ki tarah yeh sab kar sakti ho.
Haan, haan. Jaanti houn.
Magar Oliver, jo Arrow hai...
Woh ab nahi hai.
Tumhay samajh aye ya nahi Canary ka bhi yehi maqsad tha.
-Woh khauf khatay hain us se. -Nahi, Laurel.
-Woh tumhari behen se dartay hain. -Haan.
Par woh ab nahi hai.
Hey.
Tum kya kar rahay ho yahan itni subha?
Meeting mein abhi 3 ghantay hain.
Meri Mayor Castle se baat hui
ke behtar hoga agar jaldi hojaye.
Aik qatil sheher mein dandanata phir raha hai.
Yeh police ka kaam hai.
Woh city leaders se baat karna chahti thi.
Aur main madad karounga jo main kar sakta houn.
Madad se murad, paisa aur naseehat,
aik suit nahi...
Dwarf star alloy se bana jo laser maarta hai logon par?
Woh lasers thori hain. Yeh tou buhat ajeeb baat hai.
Woh hain compressed hard light beams.
Aur woh chalti bhi nahi, kyun ke main
kisi ko, yaani ke tumhein,
abhi tak qail nahi kar saka Nanite chip sahi karne par.
Main pehle bhi bata chuki houn, Ray, mujhay koi dilchaspi nahi
tumhari madad karne mein woh bhi is halaqat ke mission ke liye.
Main apna irada nahi badloungi tum jo karlo.
Tayar ho chalnay ke liye?
Hey. Tum yahan kya kar rahay ho?
Oh, woh Brick ghoomta phir raha hai Glades mein,
Mainay socha apna samaan utha loun is se pehle uskay haath lag jaye.
Tum kya kar rahi ho?
Yeh mahola itna mefuz nahi
ghoomnay ke liye, aaj kal.
Main ghoom nahi rahi, apnay kaam se aayi houn.
Tou humaray beech tou sab sahi hai na? Aisa lag raha hai
jaisay tum mujhse nazaray chura rahi ho,
jab se humaray beech woh hua.
Woh hua? Tumhein buhat fakhar hai apni silahyat par.
Aur jis tarah tumnay mera saath diya,
lagta hai tumhay bhi maza aya.
Ya tou mujhay wapis yaad dilana parayga.
Abhi nahi.
Um, baad mein milte hain?
-Tum kya kar rahay ho yahan? -Tumharay flat gaya tha
dekhnay ke tumhari kitni packing hogayi,
par wahan pe tou kuch bhi nahi hua hai.
Main abhi nahi ja sakti.
Yeh jaanay baghair ke Oliver kis haal mein hai.
Mujhay laga ke main waazay taur par bata chuka
tha ke tumhare paas aur koi rasta nahi hai.
Nahi, tumnay kuch nahi bataya tha..
Tumnay bus hukum chalaya ke yahan se chalti banoun
aur koi khaas wajha bhi nahi di.
Sirf yeh jaanna kaafi hai ke humari jaan ko khatra hai.
aur jitnay din Starling mein hain,
khatra barh raha hai. Ab foran gaari mein betho, Thea.
Nahi.
Jab tak tum mujhay sab sach sach nahi batatay.
Tum abhi tayar nahi ho.
Phir main Starling City chhornay ke liye bhi tayar nahi houn.
Haan, jaanta houn. Theek hai, karta houn.
-Hi. -Hey.
-Dair se aanay ke liye maazarat. -Dair se nahi aayi ho.
Castle apnay logon se baat kar rahi hai.
Um, tumhari behen se baat hui?
Nahi. Kyun?
Khair, shayad woh wapis agayi hai.
Aik larki aayi thi police station kuch ghanton pehle.
Bola ke aik sunhairay baalon aur leather jacket wali ne uski jaan bachayi.
Buhat shukriya aap sab ke aanay ka. Apni jagahon par beth jaye.
Jaisa ke aap sab jaantay hain aik haftay se,
aik criminal organization Danny Brickwell jis ka sarbarah hai
dharalay se jurm karte phir rahay hain, Al Capone ki tarah.
Tou aik sawal uthta hai ke ab tak woh giriftar kyun nahi hua?
Humnay aik ESU team is hee kaam se bheji hai.
Aur unmay se kayi log hospital pohonch gaye hain.
Humein is waqt koi andaza nahi woh kahan chhupa betha hai.
Shayad agar aur banday hotay, lekin uska matlab hoga ziada paisa.
Ah, meray paas paray hain kuch paisay.
Maaf keejiyega, magar Palmer Technology ne
SCPD ko aik bhaari hadiya diya hai,
par woh saara samaan kaam aanay mein abhi waqt darkar hai.
National Guard se madad talab karni chahye.
Hamesha se mayor se milna chahta tha.
Saath le chalo usay aur aldermen ko.
Baaqiyon ko maar dou.
Laurel!
Dekha tumnay? Isliye mujhay technosuit chahye tha.
Mayor Castle khair se hai?
Haan.
Aldermen ka kya?
Brick apnay saath le gaya.
Tumhari penicillin chai ka zaiqa bilkul penicillin jaisa hai.
Usay dobara League mein nahi jaanay de sakte.
Yeh humara faisla nahi.
Maseo ko shayad qail kar letay,
par uska nahi.
Sarab ka nahi.
Ra's al Ghul usay Sarab ke naam se sirf pukarta hai.
Woh ab bhi tumhara shauhar hai.
Shukriya.
Maseo apnay aap ko kusoorwar thayrata hai.
-Uski ghalti nahi thi. -Gham aur pachhtaway kay beech farq
bohot thora hota hai.
Kabhi kabhar aziyat ki zindagi se maut hee behtar hai.
HONGKONG 5 saal pehle
Tracker andar hai.
VIP area lag raha hai.
Shayad wahin Tatsu ko rakha ho.
No comments yet. Be the first to leave one.