هماهنگ با نسخه‌های زیر

What's Wrong with Secretary Kim 2018 Episode 11-16 Urdu
ناشر kikywebsite

برچسب‌ها

other
تاریخ انتشار: 2019-05-25
تعداد دانلود: 32
مخصوص ناشنوایان: No

پیش‌نمایش زیرنویس Urdu

نخستین 200 خط.

What's Wrong With Secretary Kim?

Secretary Ki Dunya Ka Afsaana.

Bhai

Dost

What's Wrong

With Secretary Kim?

What's Wrong With Secretary Kim?

Tum yahaan kya kar rahay ho?

Main nay suna ke meri yaadein jhooti hain.

Kya tumhein bhi aisa hi lagta hai?

Kya yeh sach main itna mushkil sawaal hai,

ke tum mujhay jawaab tak nahin day paa rahi?

Ab main hamaaray khaas mehmaan ko meray saath stage par bulaana chaahoonga.

Main paish karta hoon, Kim Nayeon.

Kya iss ka matlab hai,

ke meri yaadein,

jhooti hain.

Main kabhi kabhi,

meray bachpan ki cheezon ke khwaab daikhta hoon,

jis ka mujhay koi andaaza nahin ke kya matlab hai.

Agar,

Agar,

Meray khwaabon main...

Tumhaaray abbu kaam par gaye hain.

Tum bakwaas kyun kiye jaa rahi ho?

Woh aurat ajeeb si hogayi hai.

Nahin, Miso. Woh aurat nahin. Makra hai.

Aik bara sa makra.

-Mujhay dar lag raha hai, Seonghyeon! -Miso!

Wahin ruko. Yahaan mat aana.

Nahin! Seonghyeon!

-Mujhay akaila mat chhoro! -Main nay kaha tum say yahaan mat aana!

Mujhay yaad aagaya.

Miso.

Miso.

Utho, Miso!

Kim Miso!

Utho, Secretary Kim!

Kim Miso!

Kim Miso!

Kist Number 11.

Ammi...

Ammi!

Ammi?

Ammi!

Tum meri maa nahin ho.

Chhoti bacchi.

Kya tum apni ammi ko dhoond rahi ho?

Haan.

Kya main tumhaari ammi ko lay aaon?

Sach main?

Lekin meri ammi haspataal main hain. Kya main sach main jaa sakti hoon?

Zaahir hai.

Main tumhein wahaan lekar jaa sakti hoon.

Chalo.

Khatra

Agar main yahaan aik raat keliye sogayi,

tou aap sach main mujhay meri maa ke paas lejaayeingi?

Sunein, mujhay bhi uss larkay ki tarha haath ka kara dein.

Seonghyeon.

Lee Seonghyeon.

Seongnyeon?

Main nay Seonghyeon kaha.

Seongnyeon. Seongnyeon.

Tum bohot pagli ho.

Main pagli nahin hoon.

Main 5 saal ki hoon aur apni behen, Malhui say behtar parh sakti hoon.

Kya tumhein marnay ka matlab pata hai?

Abbu nay kaha ke hosakta hai ammi mar jaayein kyunkay woh bimaar hain.

Ammi mar jaayeingi tou kya hoga?

Pata nahin.

Tum paagal ho?

Kya?

Meri behen Pilnam nay kaha ke agar ammi mar gayi

tou iss ka matlab ke hum unn say mil nahin sakeingay.

Tum 9 saal ke ho, phir bhi tumhein yeh nahin pata?

Tum paagal hogay.

Tum paagal kisay keh rahi ho?

Zaahir hai agar woh mar gaye tou tum unn say mil nahin sakogi.

Kya iss ka matlab hai ke main ab ammi say nahin mil sakoongi?

Nahin.

Ruko, aisa nahin hai.

Khaamosh. Main samajh gaya, tou khaamosh hojaao. Theek hai?

Tumhein khaamosh hona chaahiye, hai na?

Abbu kisi bhi waqt ghar aatay hongay.

Mujhay maaf kardein. Hum khaamosh raheingay.

Abbu?

Lekin abbu abhi haspataal main hain...

Main nay kaha tum say ke abbu kaam par gaye hain.

Woh jald waapis aajaayeingay.

Tum khaamoshi say ammi ke saath intizaar kyun nahin karti?

Ammi abhi haspataal main hain.

Khaamosh, Miso.

Tum bakwaas kyun kiye jaarahi ho?

Meray khayaal say yeh neend main hai, ammi.

Main isay samjha doonga, aap fikar mat karein.

Hum khaamosh raheingay.

Woh aurat ajeeb si hogayi.

Main ghar jaana chaahti hoon.

Miso, rona band karo.

Agar tum nay rona band kiya tou main tumhein kuch mazedaar doonga.

-Kuch mazedaar? -Haan.

Yeh lo. Caramel.

Mujh say waada karo ke yeh khaanay ke baad tum chup hojaaogi?

Kya yeh mazedaar hai?

Mazay say khaao.

Aunty.

Ammi.

Tumhaari chhoti behen so rahi hai.

Tumhein khaamosh hona chaahiye.

Jee ammi. Hum abbu ke waapis aanay tak khaamosh raheingay.

Nahin.

Abbu waapis nahin aarahay.

Kyunkay,

main tumhaari maa nahin hoon.

Main nay uss aadmi ko sab kuch diya.

Lekin lagta hai woh mera humsafar nahin hai.

Uss ki wajaah say, main nay apna baccha gira diya.

Ab tak,

woh kahin aaraam say soraha hoga, aik betay aur beti ke sath, tum dono ki tarha.

Main akaili kyun bughat rahi hoon? Kyun?

Mera waahid gunaah tha uss say pyaar karna!

Agar main mar gayi...

Kya tumhein lagta hai ke usay thora pachhtaawa hoga?

Chalo saath chalein.

Main akaili nahin jaana chaahti.

Tum dono ko meray saath chalna chaahiye.

Aap ko uss buzdil aadmi ko bhula daina chaahiye.

Aap ab aik nayi zindagi shuru kar sakti hain!

Aap yeh sab kuch abhi khatam kar sakti hain.

Please hamein jaanay dein.

Main waada karta hoon ke main aap ke baaray main kisi ko nahin bataaonga.

Please?

Ab bohot dair hochuki hai.

Main bohot aagay barh chuki hoon.

Mujhay dilaasa dainay keliye shukriya.

Nahin.

Nahin, aunty!

Please yeh mat karein!

Madad chaahiye!

-Nahin! -Mujhay maaf kardena.

Nahin!

Mujhay maaf kardena.

Please yeh mat karein!

Please meri taraf aakhri dafa daikho,

uss ki taraf say.

Koi hai!

Koi hamaari madad karo!

Koi please hamaari madad karo!

Madad karo koi!

Nahin!

Kyun?

Seonghyeon.

Tum wahaan kya kar rahay ho, Seonghyeon?

Miso, wahin raho.

Yahaan mat aana.

Woh kya hai?

Aunty?

Woh aunty ajeeb si hogayi hain.

Mujhay dar lag raha hai.

Miso ko yeh bhi nahin pata ke uss ki ammi mareingi tou kya hoga.

Main usay maut ke baaray main aisa nahin sochnay desakta.

Nahin, Miso.

Woh aunty nahin hain.

Woh...

aik makra hai.

Aik bohot bara makra.

Mujhay makron say dar lagta hai.

Koi baat nahin, Miso.

Woh makra yahaan nahin aayega, tou ro mat.

Theek hai.

Lekin meray paaon, Seonghyeon.

Meray paaon bohot dukh rahay hain.

Main baahir say kainchi lekar aata hoon, tumhaaray paaon kholnay keliye.

Yeh murda aurat bilkul meray oopar hai.

Miso.

Miso tum wahin ho, hai na?

Seonghyeon!

Tum ro kyun rahay ho?

Kya tumhein makray nay kaata?

Hum kya karein?

Main theek hoon.

Miso yahaan hai.

Main Miso ke saath hoon.

Miso, ghaur say suno.

Theek hai.

Africa main, insaan jitnay baray makray hotay hain.

Woh bohot hi khatarnaak hotay hain.

Agar tum unn ki aankhon main daikho, tou woh tumhein kaat leingay.

-Sach main? -Haan.

Meray khayaal say woh makra wahin hai.

Tum dhiyaan say apni aankhein band karna, aur usay bilkul mat daikhna.

-Samajh gayi? -Theek hai.

Chalo ab ghar chalein.

Mera haath pakro aur saath aao.

Theek hai, Seonghyeon.

Yeh hamaara ghar hai.

Yeh bohot hi qareeb hai.

Tumhein baahir akailay nahin aana chahiye, tum bhalay hi raat ko uth kyun naa jaao.

-Samajh gayi? -Theek hai.

More Urdu subtitles for What's Wrong with Secretary Kim

نظرات

No comments yet. Be the first to leave one.

Keep it about this subtitle — sync, quality, typos.500 characters left