The 100

The 100

Lataa Urdu -tekstitys

Julkaisutiedot

The 100 2016 Season 03 Episode 06-16 Urdu
Kommentaari kikywebsite

Tunnisteet

other
Julkaistu: 2019-05-24
Lataukset: 47
Kuulovammaisille: No

Urdu tekstityksen esikatselu

200 ensimmäistä riviä.

Ab tak "The 100" mein...

Carl Emerson, meray paas tumharay rehnuma keliye aik paighaam hai.

Jab tak meray logon ko aazaad nahi kiya, main nahi rukungi.

Agar tum nay unhein aazaad nahi kiya

tou main paanchwi noiyat ki radiation khol dungi.

Hum sab ko dard mila hai. Aik kisam ka dard jismaami hota hai.

Is se woh takleef duur hojayegi.

Wapis kaam par lagnay ka waqt aagaya hai, Raven.

Roshniyoun ka Shehar waqai sacha hai!

Aur kya iskay badolat main Roshniyoun kay Shehar main hunga?

Hum tumhein itnay dinoun se dhoond rahay hain.

Ye tou muqaddas nishaani hai.

Kharay hojao.

Baahar maujood Grounders is khaimay par humla karengay.

Agar hum nay intezaar kiya tou maaray jaayengay.

Ye zameen ab humari malkiyat hai.

Agar koyi mazahmat karega tou usko maut se khush amad kiya jayega.

Hum us mor par hain ke aik aur jung chhir sakti hai jisay tum rok sakti ho.

Khoon ka badla khoon zaruri nahi hai.

Aray, aray, sab kheriyat se hai.

Tum theek ho.

Tumharay khwaab mein kya aaya?

Jo mujhse pehlay kay Commander thay.

Woh mujhse meray khwaab mein baat kartay hain.

Main nay unko martay huwe dekha.

Koyi jung chal rahi thi aur woh aik qaatil kay haathoun maaray gaye.

-Ye sirf aik bura khwaab tha. -Nahi.

Nahi. Ye mujhe khabardaar kiya gaya hai.

Unko lagta hai main unki meeraas se faraib kar rahi hun.

Khoon ka badla khoon humesha se...

humari qom ka tareeqa kaar raha hai.

Meri baat suno.

Jung-bandi karwaana dhokay baazi nahi kehlaai jaati hai.

Jung kay maidaan mein tumharay faislay se aik jung ruki hai.

Tumhari meeraas mein aman hoga.

Aray, ye...

Ye abhi namukamal tasweer hai.

Andar daakhil hojao.

Mujhe maaf karna, Heda.

Mujhe nahi maalum tha ke tum masroof ho.

Kya tum mujhe batao gay ya nahi ke box mein kya hai?

Mujhe maaf karna.

Ye tohfa Azgeda kay Badshaah Roan nay bhijwaya hai Wanheda keliye.

Jis kay zariye ye bhijwaaya tha us nay kaha tha

ke ye Azgeda ki wafadaari ka saboot bhi hai itehaad ki taraf

aur us sawaal ka jawaab bhi hai jis sawaal ka jawaab abhi tak mila nahi hai.

Aapki ijaazat ho tou isay kholun?

Isko khola jaaye.

Emerson.

Pakro isay! Isko yahan se bahar le jao!

Isko abhi foran se pinjray mein band karo!

Main theek hun.

Kya kaam mukamal hogaya hai?

Bas 10 martaba aur nikaal lu aur kaam mukamal hai.

Pike kay karkun abhi bhi kaam kar rahay hain.

Mitti aur paani kay namoonay lay jaa rahay hain.

Kuch andaaza hai ke unka kya mansooba hai?

Nahi, lekin jis lehaaz se woh hathiyaar se les hain

mujhe lagta hai woh nahi chahtay ke kisi ko pata lagay.

-Aray, yaar. - Kya huwa?

Aik Grounder bacha aaya hai. Kuch dair thehro.

Hello bachay.

Darro mat.

Hum usay waapis jaanay nahi day saktay hain.

Woh apnay logon ko bata dega usnay humein dekha hai.

Octavia, koyi jawaab dou.

Hannah.

Meray saath iska peecha karo.

Octavia, kya tum sun rahi ho?

Woh us bachay ka peecha kar rahay hain. Main jaa kar unka raasta rokti hun.

Sab alag phail jao.

Woh gum hogaya hai.

Waapis se jheel kinaaray chalo.

Woh ziada dur nahi gaya hoga.

Koyi baat nahi.

-Kane. -Haan. Kya tum theek ho?

Tumhein pata lagana hoga ke Pike ka kya mansooba chal raha hai?

Kuch bhi ho, woh isko raaz rakhnay keliye aik bachay ka qatal karnay waalay thay.

Hum pata lagatay hain. Tum apni hifazat karo.

Ab batao? Kuch mehsus horaha hai?

Nahi. Sab theek hai.

Takleef jaa chuki hai.

Tumhara paon...

-Abhi tak kaam nahi kar raha hai. -Main jaanti hun.

Mujhe bas ab takleef nahi horahi hai.

Aray, zara thehro.

Tumhari putliyaan waseeh nahi huwi.

Jaha nay mujhe Roshni kay Shehar ki Key di thi, Abby.

Koyi nasha nahi karwaaya tha.

Haan. Chalo dekhtay hain khoon kay test mein kya aata hai.

-Mujhe laga tumhein meri liye khushi hogi. -Mujhe khushi hai.

Takleef ka itni jaldi khatam hojana ghair maamuli baat hai.

Tou kya ab main bay qusoor hun?

Bazahir tou bay qusoor ho.

Meri baat Sinclair tak pohancha dena

ke tumhein kaam par jaanay ki ijazat hai

lekin agar test mein kuch bhi ghalat aaya tou tumhein waapis se bitha diya jaayega.

Aisi naubat nahi aayegi. Shukriya, doctor.

Koyi agar puch guch karay tou kinara kashi kar lena.

Main bata chuka hun ke koyi bhi maujood nahi hai.

Aisay kya hans rahay ho?

Tum nay kabhi socha nahi hoga ke hum sath qanoon ki khilaaf warzi karengay

jab tum nay mujhe Ark par giraftaar kiya tha.

Ye koyi khel nahi hai, Nate.

Agar hum Pike ka mansooba pata nahi kar paaye tou aur logon ki jaan jaayegi.

Chalo, phir pakray jaanay se bachat kartay hain.

Chancellor Pike, aapko dekh kar khushi huwi.

Kisi jagah chhupa kar rakhna ke nazroun mein naa aaye.

Main tumhein kuch waqt dilwaata hun.

Tum yahan ho.

Jaha jo cheez baant raha hai us silsilay mein tum se baat karni hai.

Nahi, koyi zarurat nahi. Woh Abby ka mehakma hai.

-Mujhe dousray fori kaam karnay hain. -Jaisay kay jo qaid huwe Grounder hain?

Unko sabki hifazat keliye nazarband kiya hai.

Woh hum se madad maangnay aaye thay.

Agar unki madad nahi kar saktay tou kam az kam unhein waapis bhej do.

Woh humari zimedaari hain. Agar unhein chhor diya

tou woh apni qom ko humaray difaah aur salahiyaton se aagah karengay.

-Main sirf Lincoln ki baat kar raha hun. -Nahi, hum dushman ki baat kar rahay hain.

Tamaam Grounder dushman nahi hain.

Kane, hum pehlay bhi baat kar chukay hain. Inktikhaabaat se faisla huwa tha.

Logon ki raaye rakhna fuzul baat hai, Charles.

Meri zimedaari humein mehfuz rakhna hai, kisi keliye acha banna nahi hai.

Phir acha kaam jaari rakho.

Ye kaafi khush dikhai detay hain.

Haan. Ye sab zarur khush dikh rahay hain.

Aur aaj aur bhi log is khushi mein shaamil huwe hain.

Mujhe pata hai tum laalchi ho rahay ho

lekin pehlay mujhe pata laganay do ke ye hai kya, theek hai?

Chalo, is mulaqaat mein kaam ki baat shuru ki jaaye.

Hum khush aamad kartay hain Farm Station kay Monty Green

aur kaarkhaanay ki larki Zoe Monroe ko.

Aur hum apnay aglay zaruri iqdaam ki shuruwaat kartay hain.

Jo kay nijaat kay zaraaye ko aur mazeed phelaana hai.

Aur ye cheez rehnumai karegi.

-Khaak? -Mitti.

Aisi mitti jo kaasht kaari kay qaabil hai.

Jab se hum yahan aaye hain, is se ziada kuch bhi zarkhaiz nahi mila.

Hum darakhtoun ko kaat kar, aik maheenay mein hi fasal ugaana shuru kardengay.

Hum shuruwaat mein soybean aur makai ugaayengay.

Woh sab se taizi se barhtay hain.

Koyi masla hai, Monty? Kya tumhein makai nahi pasand?

Dar asal main nay kabhi bhi makai nahi khaai hai.

Kya hum is jagah jaayengay?

-Haan, yaheen ja rahay hain. -Yahan tou aik gaon hai.

Aur wahan kay rihaishiyoun ka kya hoga?

Ye Sector 4 hai. Hum is baaray mein baat kar chukay hain.

-Wahan kay logon se khatra nahi hai. -Humein zameen ka woh hissa chahiye hai.

Mount Weather kay wasaail kho denay kay baad,

aik saal kay andar Arkadia mein kuch khaanay ko maujood nahi hoga.

Nihaayat adab kay sath bolunga, sir,

aap nay abhi tak Monty kay sawaal ka jawaab nahi diya.

Tumhein jawaab maalum hai.

Fasal taiyaar karnay keliye har zameen ko patharoun se nijaat dilaani hogi.

Humein wahan aik bachay nay dekha tha tou unko humaray aanay ki khabar hogi

lekin jab hum nay unki fauj ko haraaya tha tou unkay jungjoo fauji maaray gaye thay.

-Kisi kisam ki muzahmat ki umeed nahi hai. -Woh sab Grounders hain.

Woh muzahmat karengay.

Woh muzahmat nahi bhi karein tou Commander kay paighaam mein saaf waazeh tha

Khoon ka badla khoon zaruri nahi hai.

Iska matlab ye nahi ke hum is baat ka faida...

Tum kis baat ki haami bharo gay?

Apnay ghar keliye shaheed hojaana?

Ya phir bhookay mar jaana?

Kya tum apni qom ki zindagi keliye jo zaruri hai woh karogay ya nahi?

Jo kaam zaruri hai, hum woh karengay.

Uska asar tumharay faisloun par hota jaa raha hai...

Mujhe laga tum wafa daar raho gay.

Main wafa daar hun lekin tum zaati tor par kuch ziada hi...

Woh aagai hai.

-Tum mujhse milna chahti thi, Commander? -Haan.

Mujhe us aakhri pahaari aadmi kay muqaddar ki baat karni hai.

-Mera maanna hai uska qatal karna chahiye. -Woh khud baat kar sakti hai, Titus.

Titus sahi keh raha hai.

Tum nay ghor kiya?

Badla lena insaani fitrat mein maujood hai.

Aik dafa jab aas poori hoti hai tou hi sukuun milta hai.

-Humara yehi tareeqa kaar hai. -Woh humara tareeqa kaar huwa karta tha.

Clarke...

Khoon ka badla khoon nahi lenay ki shart

kya sirf meray qom kay logon keliye thi.

Woh baat aik jung rooknay keliye thi.

Ye aik jung khatam karnay ki baat hai.

Maaf karna, lekin agar mera mashwara maang rahi ho

tou main Titus ki baat se muttafiq hun.

Usnay apnay kiye ki saza kay bator maut milni chahiye.

Main mashwara nahi talaash kar rahi hun.

Main aik faisla dhoond rahi hun.

Isay tumhein tohfay mein diya gaya tha.

Isnay tumharay logon kay khilaaf jurm anjaam diye hain.

Tou phir kya faisla logi, Clarke...

Usko humari zameenoun se jala watan kar dena

ya phir tumharay haathoun 49 waaroun se maut?

Tumharay paas faisla lenay keliye shaam tak ka waqt hai.

Aray, aakhir kaar aagaye. Mera ghora kidher hai?

Baahar hai. Tumhein dekh kar khushi huwi.

Octavia, thori dair thehro.

Kya tumhein lagta hai ke Grounders ka aik giroh

tumharay kehnay par apna ghar bhaar chhor dengay?

Ya tou unko bhaagna parega warna nist o naabood hojayengay.

More Urdu subtitles for The 100

Kommentit

No comments yet. Be the first to leave one.

Keep it about this subtitle — sync, quality, typos.500 characters left