最初の200行です。
Mera naam Barry Allen hai aur main duniya ka taiz raftaar tareen insaan hoon.
Duniya kay liye main aik maamooli forensic scientist hoon.
Lekin khufiya taur par apnay STAR Labs wale doston ki madad se,
main jurm se larta hoon aur apnay jaisay doosray meta-humans dhoondta hoon.
Lekin main waqt mein kho gaya.
Mujhay waapis laanay mein mere doston ka sab kuch lag gaya
aur aisa karne se humaari duniya par aur khatray laahaq hogaye
Aur aik main hee itna taiz hoon jo unko rok sakta hai.
Main hoon Flash.
Ab tak The Flash mein...
Main ne Clifford DeVoe ko nahin maara.
Bewaqoof banaya!
Barry, unhon ne aik yarghamaal bana liya hai.
-Kis ko banaya? -Tumhaaray abbu ko.
Main apnay supersuit kay liye tayyaar hoon.
Yeh chaadar tumhaara supersuit hai.
Yeh kya hai, aik kuttay ka raincoat?
Bohot khoob, bachay.
Main aik mafroor nahin banoon ga.
Agar main mujrim saabit hota hoon, tou main bhaagoon ga nahin.
Mulzim qusoorwaar saabit hota hai.
Jagah aapay se baahir horahi hai, dasti bomb phenko.
Dasti bomb phenko!
Backup, humein backup ki zaroorat hai!
Woh waapis andar aagaye hain.
Lock kardo isay.
Chalo chalein.
Baahir niklo.
Theek hai, bas bata dou tumhein kya chaahiye?
Main chaahta hoon ke tum peechhe hat jaao, warna main isko ura doon ga.
Theek hai, sukoon rakho, kisi ko nuqsaan pohanchaanay ki zaroorat nahin hai
Tum bas jo hidaayaat di gayi hain un par amal karo
aur sab ki zindagi bakhsh di jaayegi.
Theek hai?
Aur Flash bhi nahin dikhna chaahiye.
Acha sab se pehle, mujhay aik gaari chaahiye.
Jo maahol kay liye achi ho, jaisay Prius.
Acha, yeh kiya jaa sakta hai.
Behtar.
Sahih.
Ab doosri baat.
Mujhay aik jahaaz chaahiye, theek hai?
Aik niji jahaaz.
Acha, aur aik salad, theek hai?
Main apni ghiza kay maamlay mein thora hassaas hoon.
Acha iss sab ka bandobast karne kay liye humein aik ghanta lagega.
Jaldi karlo kyunke inn logon kay paas zyaada waqt nahin hai.
Steak ka bolna chaahiye tha, dost.
Kyunke aaj se paanch das saal baad hee
tumhein koi dhang ka khaana milega.
Tum kaun ho?
Tumhaara acha parosi superhero.
Tum mujhay bula saktay ho...
Mr...
Aik second.
Yaar yeh mere liye aik ehem mauqa hai. Mera naam kya hai?
Main yeh soch raha tha ke tum kya bolo gay.
Mere qaidi kahan hain?
Bathroom ka waqfa.
Unn se raha nahin gaya.
Fikar mat karo woh bilkul mehfooz hain.
Peechhe hat jaao paagal.
Paagal, oh, tum mujhay jinsi nuqsaan tou pohonchaa saktay ho.
Pehle pohoncha saktay thay. Ab nahin.
Main yeh poora block ura doon ga.
Tumhein pata haina ke tum bhi iss block ka hissa ho?
Chalo yaar, haftay ka beech hai.
Log bas kaam se nikal kar ghar jaa kar, boob tube dekhna chaahtay hain.
Tou kyun na tum yeh jacket utaaro aur...
Nahin, mujhay chhuo mat.
Ralph, tum theek ho?
Haan.
Haan, bas zara sa dil jal gaya hai.
Yeh apne liye aik sabaq samajh lo mujrim bannay kay shauqeen logon.
Tum logon ko pakarna zyaada mushkil nahin hoga.
Aur aisay, humaara sheher phir mehfooz hogaya hai,
Central City kay sab se mazaahiya naye hero ka shukriya, The Stretchy Man.
Theek hai.
Sharamnaak.
Cisco, agli dafa tum iskay saath jaao gay.
Iris, aik murghi ko apnay murghay ko kabhi na kabhi tou chhorna hee parta hai
khaas taur pe jab woh murghi bazid ho apnay akele mission karne par.
-Yeh bura hai. -Yeh bohot bura hai.
Stretchy Man, yeh bohot bura naam hai.
Acha aur ab jabke main TV par honga yeh grey suit hataana hoga.
Hey, araam se larkay.
Nahin, Ralph, main tumhaari baat kar rahi hoon, acha?
Woh bomb tumhaaray cheethray ura sakta tha.
Ya Joe kay, ya un mein se kisi bhi police walay kay.
Sukoon rakhein, khawaateen, mere khuliye aik se zyada rishton mein bandh gaye hain.
-Tumhaara matlab kasrat se hogaye hain? -Haan wohi.
Jiska matlab hai ke woh khinch saktay hain aur
aik bomb blast bardaasht kar saktay hain.
Oh, mere Khuda.
Dibny laazawaal hai.
Acha, Ralph, tum baat nahin samajh rahay.
Tumhein dhiyaan se kaam lena hoga.
Nahin, nahin, nahin, tum baat nahin samajh rahi.
Mujhay aik naye superhero naam ki zaroorat hai.
Ramon, tumhaaray paas itna waqt tha. Tum aik acha naam nahin soch saktay thay?
Sabar, acha? Main kar raha hoon tumhaara kaam.
Main bas thora masroof tha, Barry kay jail mein honay ki wajah se.
Tumhein kuch mila jis se saabit ho ke DeVoe ne Barry ko phansaaya hai?
Mere dad aur Cecile kal Judge Hankerson se mil rahay hain
uski darkhuaast kay baaray mein baat karne kay liye.
Hum sabooton ko aik aik kar kay dekh rahay hain, lekin...
Fikar mat karo, Iris, hum usay baahir nikaal lein gay.
Hey, Barry kisi gang mein shaamil hogaya hai?
Andar mere kuch dost hain. Main kuch phone ghuma sakta hoon.
Chup ho jaao, Ralph.
Acha.
Ab main bolna band kardoon ga.
Tum jitna marzi ghari ko tak saktay ho,
lekin woh taiz chalna nahin shuru hojaayegi.
Tum Barry Allen ho, haina?
Henry Allen kay betay?
-Main... -Axel Walker.
Tum aur tumhaaray abbu ne aik baar mere abbu ko aghwa kiya tha.
Haan, sahih.
Pudding?
Lunch lady ne mujhay extra dedi. Mujhay lagta hai woh mujhay pasand karti hai.
Nahin.
Hey, charcha yeh hai ke, tum ne kisi professor ka qatal kar diya.
Uss ne acha grade nahin diya tha kya tumhein?
Main ne kisi ko nahin maara.
Haan theek hai.
Sab hee yahan begunaah hain.
Khaas taur se woh banda.
Haan, Big Sir.
Woh bohot hee begunah hai.
Yeh tou kaafi zyaada bekaar hai.
Pudding kharab hoti hai kya?
Axel, tumhein mujh se kya chaahiye?
Ke hum qaatil dost ban jaayein.
Hum kaarobaari raaz baant saktay hain.
Main jaanna chaahoon ga ke tum ne uss professor ko kaisay maara.
Mujhay yahan koi dost nahin chaahiye.
Oh, man, mujhay acha nahin lag raha.
Isko uthaao.
Tum ne mere safaid jooton par matti laga di.
Maaf karna, mera aisa karne ka iraada nahin tha.
Sorry theek hai.
Iron Heights mein pehla hafta sab se mushkil hota hai, Mr Allen.
Aap tou dekh hee chukay hain ke kya anjaam hota hai jab
kuch qaidi baghaaqat karne ki koshish kartay hain.
Apni nayi zindagi ko qubool karne mein thora waqt lagega.
Hamesha lagta hai.
Iss dauraan, yahan khud ko kisi museebat mein mat parne dou.
Oh, aur Mr Allen, aapki derh bajay ki appointment aapka intezaar kar rahi hai.
Hey, tumhein dekh kar bohot khushi hui.
Mujhay bhi.
Kaisa chal raha hai?
Itna bura nahin hai jitna main ne socha tha.
Aur haan, tum sab se naye banday se baat kar rahi ho
Iron Heights janitorial staff kay.
Main duniya ka taiz tareen pochha hoon.
Acha hum DeVoes par chaubees ghantay nazar rakhay huay hain.
Matlab unhon ne kahin na kahin koi na koi ghalti tou zaroor ki hogi.
Aur main saaray saboot dekh rahi hoon Dad kay saath mil kar.
Hum tumhein yahan se nikaal lein gay, Barry.
Main jaanta hoon yeh.
Baqi team kaisi hai?
Main ne Ralph ko TV par dekha.
Ralph thora maghroor hogaya hai.
Haan, main bhi hogaya tha shuru shuru mein, yeh hota hai.
Haan.
Iris, koi baat nahin.
Mujhay yaqeen nahin aaraha ke ab yeh normal hai, Barry.
Main nahin chaahti ke humaari zindagi yeh ban jaaye.
Tumhein kuch na kuch mil jaayega.
Mujhay pata hai.
Band karne ka waqt aagaya hai.
Sab band karo!
Kaash main tumhaara haath pakar sakti.
Tum pakar sakogi.
Main waada karta hoon.
Kal mulaaqaat hogi?
Har roz.
Yeh iss ne apnay saathi qaidi par ulti kardi.
Bol raha hai isko dard ho raha hai.
Tum kaun ho? Nurse Hill kahan hai?
Beemaar hain. Lagta hai iss ne pudding kha li hai.
Haan, tumhein kaisay pata?
Kyunke main ne hee woh bheji thi.
Chalo, Axel, chalein.
Ammi?
Walker aur nurse ne nashay ki dawa istemaal ki dou
ya uss se zaaed guards pe, baahir nikaltay huay.
Aur tumhein bilkul nahin laga ke yeh nurse aik mujrim ho sakti hai?
Uska koi jaraaem ka record nahin tha.
Uss ne apna naam Lindsay Fineheart bataya tha.
Usko humaari staffing company ne bheja tha.
Acha mujhay hard drive chaahiye hogi jis mein footage hai
security cameras ki hospital ki.
Badqismati se hum ab tak Gen Pop mein sirf tapes ka istemaal kartay hain.
Tapes ko dub karne mein waqt lagega.
Iss dauraan, main Fineheart ki file lekar aata hoon.
Barry kaisa hai?
Behtareen qaidi, bilkul apne baap ki tarah.
Bura na maano tou main...
No comments yet. Be the first to leave one.