Informacje o wydaniu

Harry Potter and The Deathly Hollows Part 1 (2010) Urdu
Komentarz od kikywebsite

Tagi

other
Opublikowano: 2019-06-16
Pobrania: 156
Dla niesłyszących: No

Podgląd napisów Urdu

Pierwsze 200 wierszy.

Yeh ghari mushkilaat ki hain, aur isay koyi rad nahi kar sakta.

Hamari dunya ko aaj jis khatray ka saamna hai,

shayad aisa is say pehlay kabhi nahi huwa.

Lekin main apne humwatnon say yeh kehta hun...

ke hum aap ke sarkaari mulazim honay ki hesiyat say...

aap ki azaadi ka difa kartay rahengay

aur unka muqabla karengay jo aap se yeh azaadi cheenna chahtay hain.

Aap ki Ministry...

ab bhi...

taqatwar hai.

- Hermione. Chai taiyaar hai, beta. -Aarahi hun, mom.

Chalo, Dudley, jaldi karo.

Mujhay ab bhi samajh nahi aaraha ke humein kyun jana par raha hai.

Kyunke hamara ab yahan rehna mehfooz nahi hai.

Ron, apne abbu say kaho ke khaana taiyaar ho gaya hai.

Kya yeh Australia mein hai?

Shandaar lag raha hai, hai na?

Australia ke mashriqi saahil say saarhay teen kilometers saath hi.

Obliviate.

Severus.

Mujhay fikar honay lag gayi thi ke kaheen tum yahan ka raasta tou nahi bhool gaye.

Aao, humnay tumhare liye seat bacha rakhi hai.

Mujhay umeed hai tum koyi khabar laaye hogay?

Usay aglay Haftay ke din raat ke waqt wahan say muntaqil kiya jayega.

Mainay kuch aur hi khabar suni hai, mere Aaqa.

Dawlish, Auror, ne yeh bataya hai ke Potter

ko is mahinay ki 30 tareekh say pehlay muntaqil nahi kiya jayega.

-Uski umar 17 honay se aik din pehlay. -Yeh aik jhooti khabar hai.

Auror Office ka Harry Potter ki hifazat mein ab koi kirdaar nahi hai.

Uske qareebi logon ko yeh lagta hai

-ke hamare log Ministry mein mojood hain. -Acha...

kamazkam unki yeh khabar tou sahi hai, hai na?

Tumhein kya lagta hai, Pius?

Insaan ko bohot si khabrein sunnay ko milti hain, mere Aaqa.

Chahay wo khabar jhooti ho yaa sachhi ho.

Tumnay aik sacche siyasat-daan ki tarha baat ki hai.

Mere khayal say tum sab say ziada kaam ke bande saabit hogay, Pius.

-Wo larkay ko kahan lekar jayengay? -Safe house mein.

Imkaan hai ke usay Order ke membraan mein se kisi ke ghar mein lekar jayengay.

Maine suna hai us ghar ko har tarha say mehfooz rakha gaya hai.

Jaisay hi wo wahan pohonch jayega, hum us par hamla nahi kar sakengay.

Mere Aaqa.

Is kaam mein main bhi haath battana chahungi.

Main us larkay ko maarna chahti hun.

Wormtail!

Maine tumsay kaha bhi tha ke mehmaanon ko khamosh rakha karo?

Jee, meray Aaqa.

Abhi kar deta hun, meray Aaqa.

Main tumhare khoon ki piyaas ki daat deta hun, Bellatrix...

lekin mujhay hi Harry Potter ki jaan leni hogi.

Lekin mujhay aik ajeeb si mushkil ka saamna hai.

Wo yeh ke meri aur Potter ki charri ka ansar aik hi hai.

Yeh dounon charriyaan, aik tarha say...

jurwa hain.

Hum aik dusray ko zakhmi kar sakte hain, lekin aik dusre ki jaan nahi le saktay.

Agar mujhay uski jaan leni hai...

tou mujhay yeh kaam kisi aur ki charri istemaal karke karna hoga.

Aao.

Tum mein kon yeh aizaaz haasil karna chahega?

Kya khayaal hai, Lucius?

Mere Aaqa?

"Mere Aaqa?"

Mujhay tumhari charri ki zarurat hai.

Kya is mein elm ke darakht ki lakri lagi hai?

Jee, mere Aaqa.

Aur iska ansar kis cheez ka hai?

Dragon.

-Dragon heartstring hai, mere Aaqa. -Dragon heartstring.

Aap mein se jin ko nahi khabar,

hamare saath aaj Miss Charity Burbage mojood hain jinhon nay haal hi mein

Hogwarts School of Witchcraft and Wizardry mein parhaya hai.

Inki khusoosiyat mein Muggle Studies bhi shaamil hai.

Miss Burbage ka yeh manna hai ke Muggles...

hum say ziada mukhtalif nahi hain.

Agar inke bus mein hota...

tou yeh humein unke saath hum-bistari karnay deti.

Inke liye, jaaduwi aur Muggle khoon mein milawat na-gawaar cheez nahi

balkay aisi cheez ko ziada farokht dena chahiye.

Severus.

Severus, please.

Hum dost hain.

Avada Kedavra!

Nagini.

Tumhara khaana.

-Hello, Harry. -Aray, wah.

Hello.

-Tum tandurust lag rahe ho. -Haan, yeh bilkul theek hai.

Chalo andar chup jayen is say pehle ke koi iski jaan lele, kya kehtay ho?

Shaam-bakhair.

Kingsley, mujhay laga aap Prime Minister ki dekh bhaal kar rahe thay.

Tum un say ziada aiham ho.

-Hello, Harry. Bill Weasley. -Aap say mil kar behudh khushi huwi.

-Yeh pehle kabhi itna khoobsurat nahi tha. -Bohot hi badsurat huwa karta tha.

Baat tou sahi hai.

Mere chehray par yeh nishaan aik Greyback naami werewolf ki meherbaani hai.

Umeed hai main uska yeh ehsaan aik din chuka paonga.

Tum ab bhi mere liye utnay hi khoobsurat ho, William.

Yaad rakhna, Fleur, Bill ab sirf kachha gosht khaata hai.

Mere shehar bhi mazaaqiya insaan hain.

Waisay, jantay ho kya. Remus aur main...

Bohot huwa. Hum yeh baatein baad mein bhi karlenge.

Abhi humein yahan say nikalna hoga.

Aur wo bhi jald say jald.

Potter, tumhari no-umar ho jiska matlab Trace ka asar ab bhi tum par qaaim hai.

Trace kya hota hai?

Agar tum cheenkogay, Ministry ko pata lag jayega tum kiske saath ho.

Baat yeh hai ke humein aisi cheezon mein safar karna hoga

jiska Trace se pata nah lag sakay.

Brooms, Thestrals wagera. Hum joron mein jayengay.

Aur agar koi hamari taak mein bhi kyun nahi ho,

aur zaroor koi taak mein betha hoga...

unhein pata nahi lag payega ke asli Harry Potter konsa hai.

Asli?

Mujhay umeed hai tum is mashroob se waakif hi hogay.

Nahi. Bilkul bhi nahi hun.

Mainay kaha bhi tha isay koi masla nahi hoga.

Nahi, agar aap ko lagta hai main apni khatir dusron ki jaan khatre mein dalun...

-Humne pehle kabhi aisa nahi kiya kya? -Nahi. Nahi. Yeh mukhtalif hai.

Mera matlab, isay pee kar, mera humshakal banna. Bilkul Nahi.

Hum say koi yeh apne shoq say nahi kar raha, dost.

Haan, socho agar kuch ulta seedha hojaye aur humein aik dooblay patlay

chashmish larkay ke jism mein zindagi guzaarni par jaye.

Yahan sab samajhdaar hain, Potter.

In sab ne yeh khatra mol lenay ke liye haami bhari hai.

Taqneeqi tor pay, mujhsay yeh kaam dhamka kar kiya jaa raha hai.

Main Mundungus Fletcher hun, Mr. Potter.

-Hamesha say aap ka madah raha hun. -Bas karo, Mundungus.

Theek hai, Granger, jaisa ke humne baat ki thi.

-Kya kar rahi ho, Hermione. -Bilkul iske andar daalo.

Tum mein say jinhon nay aaj se pehle kabhi Polyjuice potion nahi piya hai

unhein main khabardaar karta hun.

Iska zaiqa goblin ke paishaab jaisa hai.

Lagta hai aap ne yeh bohot baar piya hai, hai na, Mad-Eye?

Bas kasheedgi ko khatam karnay ki koshish kar raha hun.

-Aray wah, hum sab aik jaisay hain. -Abhi tak nahi ho.

Kya tumhare pass pehennay laiq achay kapray nahi hain?

Haan, mujhay yeh rung ziada pasand nahi aaraha.

Tum filhaal tum nahi ho tou chup chap yeh kapray pehno.

Theek hai, theek hai.

Tumhein bhi kapray badalnay hongay, Potter.

Bill, meri taraf mat dekho. Main bhayanak lag rahi hun.

Main janta tha wo apne tattoo ke baray mein jhoot keh rahi thi.

Harry, tumhari nazar waqai bohot kamzor hai.

Acha tou. Hum joray ban ke jayengay.

Har aik Harry ke saath ke aik muhafiz hoga.

Mundungus, meray qareeb rehna. Main tum par nazar rakhna chahta hun.

-Aur Harry ki baat ki jaye tou... -Jee?

Asli Harry ki baat kar raha hun.

-Waisay tum ho kahan? -Yahan hun.

Tum Hagrid ke saath jaogay.

Main tumhein yahan 16 saal pehlay laaya tha

jab tum Bowtruckle say bhi chotay huwa kartay thay.

Yahi behtar hoga ke main hi tumhein yahan say lekar chalun.

Haan, maahol bohot jazbaati ho raha hai.

Chalo chaltay hain.

Burrows ki jaanib chalo. Hum sab wahan mulaqaat karengay.

Teen ki ginti par.

Zor say pakro, Harry.

Aik...

dou...

teen!

-Konsa hai wo? -Kahan hai wo?

Wo tumhari daayen taraf hai!

Wo wahan hai!

Neechay!

Hagrid, humein dusron ki madad karni hogi!

Main aisa nahi kar sakta, Harry.

Main Mad-Eye ke ehkamaat ki khilaaf warzi nahi kar sakta.

Zor say pakray raho.

Stupefy!

Zor say pakro, Harry.

Hagrid.

Nahi. Nahi.

Harry.

-Harry. -Hagrid.

Kya huwa?

Baaqi sab kahan hain?

Baaqi koi nahi aya?

Wo shuru say hi hamara taaqub kar rahay thay, Molly.

Hum unka muqaabla nahi kar paye.

Shukar hai tum dounon sahi salamat ho.

Death Eaters hamara intezaar kar rahe the. Wo taak mein bethay thay.

Ron aur Tonks ko ab tak ajana chahiye tha.

Dad aur Fred ko bhi.

Is taraf!

Jaldi.

Ghar mein chalo.

Aray nahi!

-Lupin! -Aap kya kar rahay hain?

Jab Harry Potter ne Hogwarts mein pehli baar meray office ka daura kiya tha

-tou konay mein konsi makhlooq bethi thi? -Kya aap pagal hain?

-Konsi makhlooq thi? -Grindylow.

Humein dhoka diya gaya hai.

Voldemort janta tha tumhein aaj raat wahan se muntaqil kiya jayega.

Mujhay yaqeen dihani karni thi ke tum koi bheropiya tou nahi.

Thehro.

Albus Dumbledore ne

hum douno say aakhri alfaaz kya kahay thay?

"Harry hamari aakhri umeed hai.

Us par bharosa rakho."

Komentarze

No comments yet. Be the first to leave one.

Keep it about this subtitle — sync, quality, typos.500 characters left