Informacje o wydaniu

Harry Potter and The Prisoner of Azkaban (2004) Urdu
Komentarz od kikywebsite

Tagi

other
Opublikowano: 2019-06-16
Pobrania: 143
Dla niesłyszących: No

Podgląd napisów Urdu

Pierwsze 200 wierszy.

Lumos Maxima.

Lumos Maxima.

Lumos Maxima.

JAADU TONA

Lumos Maxima.

Lumos Maxima!

Harry. Harry.

Harry, darwaaza kholo.

Marge. Tumhein daikh kar itna acha lag raha...

Uncle Vernon, mujhay iss form pe aap ki dastakhat chaahiye.

Yeh kya hai?

Kuch nahin. School ka hai.

Baad main, shaayed, agar tum tameez main rahay.

Main rahoonga agar woh rahi.

-Aray, tum abhi bhi yahaan ho, haan? -Haan.

Mujhay aisay naa shukray andaaz main haan mat bolo.

Meray bhai ki naiki hai ke tumhein apnay saath rakha hua hai.

Agar isay meray darwaazay pe chhora hota tou yeh seedha yateem khaanay gaya hota.

Mera Dudders? Mera chhota bhateeja jaan?

Hamein aik kiss dou. Chalo. Utho, utho.

Marge ka suitcase oopar lejaao.

Acha.

Mummy keliye yeh poora karo. Achhay bacchay, Rippy-jaan.

-Tumhein doon, Marge? -Thori si.

Kamaal ka nosh hai, Petunia.

Thori aur.

Ziyaada tar meray liye talay huay pakwaan, 12 kutton ke saath.

Thora aur. Yeh baat hui naa.

Tumhein brandy ka qatra chaahiye?

Meray pyaaray Rippy jaan keliye chhota nanha sa brandy ka qatra.

Tum kya muskura rahay ho?

Tum nay iss larkay ko kahaan bhaija, Vernon?

St Brutus. Woh bekaar bacchon keliye achha idaara hai.

Kya woh St Brutus main latthi istimaal kartay hain, larkay?

Aray, haan.

Mujhay bohot si dafa peeta gaya hai.

Zabardast.

Main yeh bakwaas bardaasht nahin karoongi,

ke unn logon ko peeta naa jaaye jo uss ke laaeq hain.

Tumhein iss keliye khud ko qusurwaar nahin thehraana chahiye, Vernon.

Sab khoon ki baat hai. Bura khoon aisa hi hota hai.

Iss larkay ka baap kya karta tha, Petunia?

Kuch nahin. Woh kaam nahin kartay thay. Woh koi naukri nahin kartay thay.

-Aur aik sharaabi bhi, koi shak nahin. -Yeh jhoot hai.

-Kya kaha tum nay? -Meray abbu aik sharaabi nahin thay.

Fikar mat karo, pareshaan mat ho, Petunia. Meri pakar bohot mazboot hai.

Meray khayaal say tumhaaray sonay ka waqt hogaya hai.

Chup karo, Vernon. Tum, isay saaf karo.

Asal main, baap say koi laina daina nahin hai.

Sab kuch maa pe hai.

Hamesha kutton ke saath daikhtay hain.

Agar kutti ke saath koi masla hota hai

tou uss ke bacchay ke saath bhi koi naa koi masla hota hai.

Chup karo! Chup karo!

Sahi.

Mujhay tumhein bataanay dou...

Vernon!

Vernon! Vernon, kuch karo!

Ruko!

Main nay tumhein pakra hua hai, Marge. Main nay tumhein pakra hai.

-Ruko, ruko. -Hato.

-Jurrat mat karna! -Sorry.

Aray, Vernon.

Ya Khuda.

Marge!

Please!

Marge!

Waapis aao!

Tum usay waapis laao! Tum usay foran waapis lay aao!

-Tum usay sahi karo. -Nahin! Woh isi ki haqdaar thi.

Mujh say duur raho.

Tumhein school say baahir jaadu karnay ki ijaazat nahin hai.

-Acha? Mujhay aazmaao. -Woh tumhen ab waapis nahin aanay deingay.

Tumhaaray paas jaanay keliye koi jagaah nahin.

Mujhay koi farq nahin parta. Koi bhi jagaah yahaan say behtar hogi.

Akailay jaadu yaa jaadugarni keliye Knight Bus emergency transport main

khush aamdeed.

Mera naam Stan Shunpike hai aur aaj shaam main tumhaara conductor honga.

Tum wahaan neechay kya kar rahay ho?

-Main gir gaya. -Tum kyun gir gaye?

-Main jaan bhooj kar nahin gira. -Tou, chalo phir.

Naik kaam main dairi kaisi.

-Tum kya daikh rahay ho? -Kuch nahin.

Chalo phir, andar aao.

Nahin, nahin, main yeh utha loonga. Tum andar jaao.

Chalo.

Chalo. Chalo, chalo, chalo.

-Lay chalo, Ern. -Haan, lay chalo, Ernie.

Khatarnaak sawaari honay waali hai.

-Tum nay apna naam kya bataaya? -Main nay nahin bataaya.

-Tum kahaan jaa rahay ho? -The Leaky Cauldron. Woh London main hai.

Tum nay suna, Ern? "The Leaky Cauldron. Woh London main hai."

The Leaky Cauldron.

Agar wahaan matar ka soup ho,

to uss ke tumhein khaanay say pehlay, tum usay khaa jaana.

Lekin, Muggles. Woh hamein daikh nahin saktay kya?

Muggles?

Unhein kuch nahin dikhta, hai na?

Nahin, lekin agar tum unn main kaanta ghusaaogay tou unhein mehsoos hoga.

Ernie, saamnay aik chhoti boorhi aurat hai.

Dus, nau, aath...

saat, chhay, paanch...

chaar, teen, saarhay teen...

dou, aik tihaayi...

Haan!

Azkaban say faraar!

Woh kon hai?

Woh aadmi.

Woh kon hai?

Woh kon...?

Yeh Sirius Black hai.

Yeh mat kehna ke tum nay kabhi Sirius Black ke baaray main nahin suna?

Woh aik qaatil hai.

Azkaban main uss keliye qaid hogaya tha.

-Woh faraar kaisay hua? -Yeh hi sawaal hai, hai na?

Woh pehla hai, jis nay aisa kiya.

Woh uss ki bohot himaayat karta tha...

Tum-Jaantay-Ho-Kiski.

Lagta hai ke tum nay uss ke baaray main suna hai.

Haan.

Haan, uss ke baaray main suna hai main nay.

Ernie, saamnay dou double-deckers aarahi hain.

Woh qareeb aarahi hain, Ernie.

Ernie, woh hamaaray bilkul oopar hain!

Apna sar sambhaalna.

Suno yaar? Yaar?

Munh kyun latkaaya hua hai?

Haan, haan. Taqreeban pohnch gaye. Taqreeban pohnch gaye.

-The Leaky Cauldron. -Agla stop, Knockturn Alley.

Mr Potter, aakhir kaar.

-Lay chalo, Ern. -Haan, lay chalo, Ernie!

Kamra number 11.

Hedwig.

Sahi, kaafi aqalmand parinda hai aap ka, Mr Potter.

Yeh aap say 5 minute pehlay hi yahaan pohncha.

Jaadu ke Minister ke hisaab say, mera farz hai aap ko bataana, Mr Potter,

ke aaj shaam, aap ke Uncle ki behen Sheffield ke junoob main...

chimney ke stack ke ird gird ghoomtay huay mili.

The Accidental Magic Reversal Department ko foran bhaija gaya.

Unn main say achhay say hawaa nikaal di gayi hai

aur unn ki yaaddaasht badal di hai.

Unhein haadsay ki koi baat bilkul bhi yaad nahin rahegi.

Tou yeh baat thi...

aur koi nuqsaan nahin hua.

Matar ka soup?

Nahin, shukriya.

-Minister? -Jee?

-Main samjha nahin? -Samjhay nahin?

Main nay qaanoon tora.

Chhotay jaadugaron ko ghar pe jaadu istimaal karnay ki ijaazat nahin hoti.

Chalo bhi, Harry.

Ministry logon ko, apni Aunty ko phulaanay keliye

Azkaban nahin bhaijti.

Lekin daikha jaaye, tou iss tarah bhaagna...

haalaat ko daikhtay huay,

bohot ghair zimmedaari ki baat hai.

-"Haalaat ko daikhtay huay" sir? -Aik qaatil faraar hai.

Sirius Black, aap ka matlab hai?

Lekin uss ka mujh say kya taaluq?

Kuch bhi nahin, zaahir hai. Aap mehfooz hain.

Aur bas yeh hi zaroori hai.

Aur kal, aap waapis Hogwartz jaayeingay.

Aray, yeh aap ki nayi school ki kitaabein hain.

Main nay unhein aap keliye yahaan mangwaadeen.

Ab Tom aap ko apnay kamray tak lejaayega.

Hedwig.

Aray, waisay, Harry.

Jab tak aap yahaan hai, acha hoga agar aap...

idhar udhar naa ghoomein.

Sahi! Yeh bus chalaaogay ya kya?

Housekeeping.

Main baad main waapis aati hoon.

Main tumhein khabardaar kar raha hoon, Hermione.

Tumhaaray khooni haiwaan ko, Scabbers say duur rakho

warna main isay tea cosy main badal doonga.

Yeh aik billa hai, Ronald. Tum kya chaahtay ho?

-Yeh iss ki fitar main hai. -Billa? Unhon nay tum say yeh kaha?

Mujh say poochho tou baalon waala suwwar dikhta hai.

Kaafi ameeraana baat kardi, badboodaar jooton ke brush ke maalik ke hisaab say.

Koi baat nahin, Crookshanks. Tum badtameez chhotay larkay ko nazar andaaz kardou.

Harry.

Harry.

-Egypt. Woh kaisa hai? -Kamaal ka.

Bohot saari qadeem cheezein, mummies, mazaar. Scabbers ko tak maza aaya tha.

Pata hai Egyptians, billiyon ki ibaadat kiya kartay thay.

Haan, gobar ke keeray ke saath.

Tum dobaara dikhaanay tou nahin lag gaye, Ron?

Main nay kisi ko nahin dikhaaya.

Nahin, kisi ko bhi nahin. Siwaaye agar tum Tom ko gino.

-Subah ki maasi. -Raat ki maasi.

-Baawarchi. -Wo ganwaar jo toilet theek nahi karsakta.

-Aur Belgium say woh jaadugar. -Harry.

-Mrs Weasley. -Tumhein daikh kar achha laga, bacchay.

Aap ko bhi daikh kar acha laga.

Tumhaaray paas zaroorat ki sab cheezein hain?

Jee.

-Haan? Tumhaari saari kitaabein? -Jee, woh sab oopar hain.

-Tumhaaray saaray kapray? -Sab kuch wahin hai.

-Achhay bacchay. -Shukriya.

-Harry Potter. -Mr Weasley.

More Urdu subtitles for Harry Potter and the Prisoner of Azkaban

Komentarze

No comments yet. Be the first to leave one.

Keep it about this subtitle — sync, quality, typos.500 characters left