د خپرونې معلومات

What's Wrong with Secretary Kim 2018 Episode 01-10 Urdu
د لخوا تبصره kikywebsite

تګونه

other
په خپور شو: 2019-05-25
ډاونلوډونه: 36
د اوریدلو معیوبیت: No

د Urdu سرليکونو مخکتنه

لومړۍ 200 کرښې.

"What's Wrong With Secretary Kim?"

"Secretarial duniya ka baadshaah"

"Kya masla hai"

" Secretary Kim ke saath?"

"What's Wrong With Secretary Kim?"

Yumyung Group ka vice president.

Lee Yeongjun.

Usne vice president, rehte hue company ko maali taraf par dugna munaafa diya

Aur isliye uska naam jawaan aur qaabil CEOs ki fehrest mein pehla hogaya.

Uska jism bohut acha hai, woh dikhne mein

khoobsurat hai aur suits bhi ache pehenta hai.

Yaar, iske paas sab kuch hai.

Lekin suna hai ke woh aurton ko haath nahi lagaane deta.

Sach hai.

Bakwaas hai.

Waise maine usse abhi date karna shuru kiya hai

Lekin ye sach hai ke woh mujhe haath nahi lagaane deta.

-Honey! -Vice President!

Kya masla hai?

Kya kaha tumne?

Kya masla hai

...Secretary Kim ke saath?

"What's Wrong With Secretary Kim?"

"Episode 1"

Maine aaj ke liye ek rung ki tie nikaali hai,

aqalmandi aur nayapan dikhaane ke liye

-Achi lag rahi hai. -Shukriya

Aankhon mein chubh raha haina?

Sooraj?

Nahi.

Ye taaqat...

...jo mujhse nikal rahi hai.

Haan chub rahi hai.

Ye aajka schedule hai.

"Director Kim Jeongjae"

Director Kim hai. Aap phone uthayenge.

Nahi.

Zaahir hai woh mujhe ye kahega ke Vietnam ki deal sahi nahi jaa rahi.

Mujhe aise mujrim se baat karke subah apna mood nahi kharab karna.

Mujrim kaha aapne?

Doosron ko nuqsaan pohonchana aur chori hi sirf honay wale juraaem nahin hain.

Naehli aur naehlon ko nazar andaaz karna.

Ye bhi jurm hain.

Kya tumhein ye pata tha, Secretary Kim?

Kya?

Log itne naehel kaisay ho saktay hain?

Pata nahi.

Mehnat karni parti hai aur larna parta hai kaam karne ke liye.

Aasaan nahi hai? Aisa nahi kar sakte?

Har koi aapki tarah nahi hota, Vice President.

-Waqai mein? -Bilkul.

Mein aapke jaise mukammal insaan se kabhi nahi mili, Vice President.

Kaun hai?

Is baar...

Bara mujrim hai.

Ab iske saath kaise niptenge?

Hum aagaye hain.

Vice President!

Woh ek ghalat fehmi thi.

Ghalat fehmi.

Kya kaam ke waqt kisi ghair qaanon parlor jaane ki koi tuk banti hai?

Kya iss company kay executive ko ko iskay naam ki koi fikar nahin hai?

"Group X ke executiive aik najaiz parlor mein kaam kay dauraan paaye gaye."

-Mujhe maaf karden. -Secretary Kim!

-Mere gunaah maafi ke qaabil nahi hain. -Haan?

-Mujhe maaf karden. -Agla kya kaam hai mere schedule mein?

Nai company building mein executive board meeting hai.

Aapko pata tou hai is building mein cigarette peena mana hai.

Vice President!

Vice President!

Vice President!

Vice President.

Manager Jo.

Itne afsurda nahi hon.

Yeh waaqiya tab hua jab tum Musan mein aik project sambhaal rahay thay.

Vice President itna ghussa isliye huay kyunke unhein tum se kaafi umeedein theen.

Unhon ne bohot mehnat ki uss article se company ka naam hatwanay kay liye.

Secretary Kim.

Maine aisa kyun kiya?

Mujh par koi jin sawaar hogaya hoga.

Tum theek hojaogay agar tum apne amal par ghaur karogay

tou aur ab se tum aur mehnat kar saktay ho.

Kyun na tum kaam se jaldi chhutti lelo aur thora araam kar lo?

Kya mujhay yeh karna chaahiye?

Acha theek hai phir.

Main kal se aur zyadad ehtiyaat karoonga.

Secretary Kim.

Main chhutti leraha hoon.

Manager kaam jaari rakh sakta haina?

Please Manager Jo ka table aur office saaf kardein.

Kya tum ne kabhi Vice President ko logon ko doosra mauqa dete dekha hai?

Hum Global Airlines ko haasil karleinge, jo mulk mein doosray number pe hai.

Paanch saalon mein,

hum isay mulk ka number aik banayein gay aur duniya ki

das behtareen global airlines mein se banayein gay.

Jaisa ke takeover report mein bataya gaya tha, ke isko barhanay kay liye

yeh umeed hai ke humein U.S., India aur Vietnam mein phailna hoga.

Business plan mein maujooda finances ke mutabiq

maujooda asaasa 2,024 billion hai aur 940 billion won dene hain.

Tou maujooda liquidity ratio hai taqreeban 275 percent.

215.319149.

Jee?

Agar asaasa 2,024 billion hai aur dene kay 940 billion won hain,

tou liquidity ratio 215.319149 percent nahin hona chaahiye?

Director Park.

Yeh...

Yeh sahi hai. Tou yeh number yahan kyun hai?

Please takeover jaari rakhein.

Meeting yahan khatam karte hain.

Yeh tou bohot zaalimana tha.

Vice President ne bohot zyada nahi keh diya?

Meri zindagi bohot chhoti hojaayegi kyunke main itna dara hua rehta hoon.

Vice President!

Oh, yeh tou woh nahin thay.

-Hey, chalo bhi. -Yeh kya tha?

Main bhi waisa hee mehsoos karta hoon.

Ya Khuda.

Iss ne mujhay dara diya.

Kya woh humein yeh kehraha hai ke hum uski burayi na karein kyunke woh dost hain?

Unko Spanish ambassador ke ghar aik private party mein daawat mili hai.

Koi masla tou nahin hoga agar main isko aagay karwa doon tou?

-Tum bohot behtar hogayi ho. -Maaf karna, kya?

Main tumhari English ki baat kar raha hoon.

Jab hum pehli baar U.S. gaye thay nau saal pehle

tou tumhaaray liye wahan kay logon se baat karna bohot mushkil hota tha.

Sahih kaha.

-Yeh sab aap ka karam hai, Vice President. -Sahih kaha.

Meri belaus madad ne zaroor tumhaari madad ki hogi usmein.

Aur tou aur jab bhi main talaffuz mein ghalti karti thi

tou aap ne kabhi mujhay zaleel karne ka mauqa nahin chhora.

Uss se meri himmat bohot barhti thi.

Zaleel karna aur daantna...

Acha, tou aagay se main kabhi khud ko rokunga nahin taakay tum aur seekh sako.

Shukriya,

Waise...

Abhi ek ghalti ki.

Woh kya?

"Talaffaz" nahin hota.

'Talaffuz" hota hai.

Maine phir kuch naya seekh liya.

Maaf karna. Yeh isliye hai kyunke mujhay aaj aik dress pehenna hai.

Aap meetings ki wajah se kuch kha nahin sakay. Aap theek hain?

Main theek hoon.

Tumhein pata hona chahiye ke main jab kisi cheez

par dhiyan deta hoon tou kaisa hota hoon.

Jab bhi main kaam kar raha hota hoon mujhay bhook nahin lagti.

Main aap ke liye kuch khaanay ka intezaam karti hoon.

Yeh naya Spanish ambassador appoint hua hai.

Hello.

Aap ki appointment par mubarak ho.

Vice President Lee Yeongjun Spain mein bhi bohot mashhoor hain.

Mil kar khushi hui.

Mil kar khushi hui.

Yumyung Group ka naam sab se acha raha hai pichhle chaar saalon se.

Bio-business ko abhi haal hi mein U.S. FDA ne manzoor kiya hai.

Hum munaafa banane mein kaamyaab rahe.

Agar hum China kay saath mil jaayein, jo ke networking mein aik taaqatwar hai...

Hum doosray businesses mein bhi phailne ka soch rahay hain.

Oho, yeh tou kitna khoobsurat lagta hai.

Acha haina?

-Yeh bohot khoobsurat hai. -Haina?

Iski naak dekho.

Yeh kitna haseen hai.

Humaari aankhein mileen.

Mujhay aik second dena.

Woh meri taraf aaraha hai.

Kya bakwaas hai. Zaahir hai woh meri taraf aaraha hai.

Kya? Woh sirf guzar raha hai?

Uss ne sirf aainay mein dekhne keliye mujhay nazar andaaz kar diya?

-Mere paas alfaaz nahin hain. -Chalo chalein.

Ambassador intizaar kar rahe hain.

Secretary Kim.

Haan.

Mein kaisa lag raha hoon abhi?

Bohut ache.

Ab chalen?

Tumne Spanish kab seekhi?

Spanish ka matlab?

Tum ne uss Spanish aadmi se bohot lambi guftugu

ki jo tumhein phansanay ki koshish kar raha tha.

Oh, woh?

Mere paas kahan waqt hai, mere paas tou mushkil

se English aur Chinese seekhne ka waqt hai?

Woh tou bas mera taiz dimaagh tha.

-Taiz dimaagh? -Haan.

Agar woh mujhay champagne pakrayein aur meri aankhon mein aakhein daal kar dekhein

tou main unn se maazrat karke wahan se chali jaungi.

Agar woh aapki taraf dekh kar kuch kehte hain tou woh aapki taareef kar rahay hain

tou main bas muskuraaungi aur sar hila dungi.

Sahih kaha.

Agar woh mujhay phansanay ki koshish kar rahay hain

tou main apne baayein haath ko kaan pe lagaungi.

Baayan haath hi kyun?

Sab samajh ajata hai jab main unhein apni angoothi dikha deti hoon.

Yeh angoothi mujhay inaam ke taur pe mili thi athletics event mein.

Zabardast.

Mujhay umeed nahin thi ke aap kabhi meri taareef karein ge.

-Mubarak ho. -Shukriya.

Tum ne aaj acha kiya hai. Bags ya kapray, main tumhein kuch bhi doon ga.

Inaam hona zaroori hai agar aapko nataej chaahiye hon tou.

More Urdu subtitles for What's Wrong with Secretary Kim

تبصرې

No comments yet. Be the first to leave one.

Keep it about this subtitle — sync, quality, typos.500 characters left