Первые 200 строк.
Ab tak Flash mein...
Iris West.
-Kya mujhse shaadi karogi? -Haan.
Main ab Caitlin naheen.
-Tum Killer Frost naheen ho. -Naheen.
Main kuch aur hoon,
aur ye mujhe khud pata lagana hoga.
Cecile Horton, I love you.
Ye ek shagaaf naheen hai.
Speed Force ka tawazun bigarr gaya hai.
Ye Speed Force ki jail hai.
-Kisi qaidi ke bagher... -Ye beqaabu hojaati hai.
Ham ise kaise rokenge?
Mera naam Iris West hai,
aur meri shaadi sabse tez raftaar waale aadmi se honi thi,
lekin 6 maheene pehle, woh chala gaya.
Barry, waqt aagya hai.
Barry.
Ye sahee naheen. Hamari kahani ka acha ikhtitaam hona tha.
Main Iris West-Allen hone ke liye tayyar hoon.
Aur hamesha rahogi.
Lekin tumhein apni zindagi jaari rakhni hai, theek hai?
Daurti raho, mere liye.
Mujhse waada karo ke daurti rahogi, Iris.
Haan, waada karti hoon.
Main ne uss se daurnay ka waada kiya, aur pichhle 6 maheene se nibhaya hai.
Tez daurr kar.
Mujhe woh naheen milrahi, Cisco.
Mujhe aur warzish karni chahyye.
Usne apna khel behtar karliya hai.
Hamein bhi behtar karni chahyye. Mujhe naheen dikhrahi.
-Iris? -Copy, main dekhti hoon.
Dekhrahi hoon...
-Milgayi. -Aur?
-Duck! -Mujhe koi battakh naheen dikhrahi.
Ayi taa!
Bas yehi warning hogi, larkon.
Peeche hato.
Neeche hona tha.
Haan, mujhe yaqeen naheen aaraha ke tum battakh samajh gaye.
Woh kahan hai, Iris?
Woh Keystone Bridge ki taraf jaarahi hai.
Agar sheher se bahar chali gayi, toh phir haath naheen aayegi.
Tumhein use abhi rokna hoga.
Is baar pakarlunga.
Mujhe teleporters naheen pasand.
Teesri...
Teesri...
Woh har teesri chhat par jaarahi hai.
Cisco, woh Broome Tower par jaayegi.
-Jaise hi utre, rok lena. -Theek hai.
-Dad, unsay neechay milein. -Copy.
-Wally... -Mujhe pata hai kya karna hai.
Ajao.
Aur ye pakri gayi!
Zabardast!
Dekho zara.
Pakar liya hamne.
Mujhe fakhar hai ham sab par.
Acha raha sab kuch, Team Vibe.
Team Kid Flash kehte hain, shukriya.
Itna bhi acha naheen tha, hazraat.
Mujhe kyun dekh rahi ho? Main hi tha jisne use roka.
Aur Wally aur maine madad ki. Classic harba.
Haan, jaisa plan tha waise hi hua.
Haan, jaisa plan kiya tha.
Ham pe agar yaqeen naheen, toh Joe se poocho.
Joe, batao isko ke sab kuch plan ke hisaab se hua.
-Woh larki hamare jaal mein phans gayi. -Main naheen karraha ye.
Ham pehle ki tarhan naheen pakar rahe mujrim.
Metas, jinse laray hain ham, 3 mein se 1
faraar hochuke hain pichhle 6 maheenon mein.
Aarzi taur par, haan,
lekin Team Kid Flash kaam par lagi hui hai.
Beta, I love you,
lekin Team Kid Flash kisi ko acha naheen lagraha.
Matlab, bohot ziada syllable hain.
Okay, doston, thora sa kam mazaaq
aur thori ziada sanjeedgi.
Iss sheher ki hifazat hamein hi karni hai, theek hai na?
Kyunke aur koi naheen.
Wally, tum Speed Lab kyun naheen chale jaate?
Maine ek nayi training simulation tashkeel di hai tumhare liye.
-4 ghante ki hai. -4 ghante...kya?
Naheen, aaj ke family dinner ka kya?
Pata hai kya, training behtreen hai.
Theek hai. Ghar pe milte hain, boss.
Cisco, batana chahoge ke kya soch rahe ho?
Mujhe lagta hai behtar hota agar ek banda kam naheen hota.
Mere paas bas ek do aur dabbay reh gaye hain laane ke liye.
Hamare paas garage ya taekhaane mein jagah naheen.
Haan, ya phir ham kuch samaan nikaal bhi sakte hain.
Jaise kya?
Jaise, jaan, kya tumhein waqai ye purane records chahyyen?
-Oh, Cecile... -Records?
Tumhara matlab meri vintage jazz record collection
jo main guzashta 30 saal se tashkeel deraha hoon?
-Waaqayi? -Woh mera pyaar hai, jaan.
Woh mere taboot mein jaarahe hain mere saath.
Theek hai, agar ham unhein abhi dafna dein
aur tum unse baad mein mil lena.
-Oh, ab mazaak honge? -Haan.
Tum khushqismat ho ke main tumhein chaabi de chuka hoon,
kyunke mujhe ye saath rehne wala maamla theek naheen lagraha ab.
-Naheen, aisa naheen. -Haan, aisa naheen hai.
Aisa naheen hai.
Kyunke tum mujhe chahte ho.
Main jaake coffee kyun naheen bana leti?
Zahiri baat hai.
Toh, jab se Julian wapas London gaya hai
toh CCPD crime lab mein staff kam parrgaya hai
aur main Singh ko yeh kahani sunaake taal raha hoon
ke Barry Czech Republic mein chhuttiyan guzaar raha hai...
Aur woh kisi aur ko naukri par rakhna chahte hain.
Haan karlena chahyye, unhein madad ki zaroorat hai.
-Barry naheen aane wala, toh... -Tumhein ye naheen pata.
Haan, pata hai.
Sweetheart...
Mujhe fakhar hai ke tumne ye sab sambhaala,
Wally aur Cisco ke saath, STAR Labs mein,
aur maine tumhein jagah di,
taake jo tumhare saath hua us se sambhal sako.
Dad, main theek hoon, acha?
Main theek naheen hoon. Hamne use khodiya, Iris.
Mera beta, tumhara sab kuch.
Dad, aap chahte kya hain mere liye?
Ke main bas beth ke roti rahoon?
Main ye naheen kar sakti.
Barry ne mujhe mazboot rehne ke liye kaha tha. Main wahi kar rahi hoon.
Jab HR ki maut hui toh uska janaaza hua tha.
Hamne uski zindagi ke baare mein baatein ki.
Shayad hamein Barry ke liye bhi yehi karna chahyye,
taake ham sab afsos karsakein.
Aur ham kya dafnayenge, Dad?
Lab mein para uska khaali suit?
Pata hai kya, Cecile ko dinner ke liye shukriya kehdena.
Mujhe chalna chahyye, theek hai?
Wally? Cisco?
Ready hojao.
Kya chalraha hai, dosto?
Ya khuda!
Ye toh Samurai hai.
Kisi ko Japanese aati hai?
Kya chaahtay ho?
Kya isne waqai Japanese mein baat ki?
Main cheezein jaanta hoon.
Hum tumhein takleef nahin puhanchaana chaahtay.
Flash.
Haan, tum uske saamne hi ho.
Tum Flash naheen ho. Tum sabse behtreen naheen ho.
Flash ko le kar aao.
"Warna" aane wala hai.
Warna tumhara sheher barbaad hojayega.
Flash naheen aaraha.
Aur, behtar hoga agar tum ye talvaar neeche rakhlo
isse pehle ke kisi ko koi nuqsaan ho,
jaise tum,
kyunke tum kuch baankon ke saamne kharre ho.
Aur tum kar kya loge
iss talvaar ke saath?
Tum log theek ho?
Ye kaisi talvaar thi?
Tumhare paas ek din hai.
Agar Flash naheen aaya,
toh Central City tabah hojayegi.
Flash ko taqreeban 6 maheenon se naheen dekha gaya
aur ab ye kisi ko pata naheen ke kaun hifazat karega.
Iss sheher mein aur bhi superheroes hain.
Aur usne hamein putlon ki tarhan urra diya,
apni Excalibur jaisi talvaar se.
Aisi kisi cheez se hamara paala naheen parra.
Lekin use Flash hi kyun chahyye?
Usne kaha woh sabse behtreen se larrna chahta hai.
Usne sheher tabah karne ki dhamki di hai.
-Tumhein lagta hai woh ye karega? -Haan.
Phir use Flash se larrna hoga.
Jo idhar naheen hai?
Lekin agar hota toh?
Iris, tumne khud kaha hai.
Sirf ham log sheher ko mehfooz
naheen rakh paarahe hain.
Aur ye banda, ye mazaaq ki baat naheen.
Agar Flash naheen hua, toh bohot nuqsaan hoga.
Log marenge, aur zimmedar ham honge.
Hamein Barry ko wapas laana hoga.
Cisco, ham naheen la sakte usko.
Agar Barry aaya, toh Speed Force jail...
Uska tawazun bigarr jayega.
Sheher barbaad hosakta hai, dunya tabah hosakti hai.
Aur ham yehi rokna chah rahe hain.
Aur agar main ye mamla suljha sakoon?
-Agle 24 ghanton mein? -Haan!
Mera ispe kaam chal raha tha.
Kab se?
Jis raat woh gaya tha, tab se.
-Cisco? -Maine madad li thi.
Maine Harry, Tina, Tracy aur Felicity, aur Curtis se baat ki thi
aur mujhe kaafi yaqeen hai ke maine tareeqa dhoond liya hai,
Speed Force ke jail ko sahi rakhne ka, aur Barry ko nikaalne ka
kisi bhi tabahi ke bagher.
No comments yet. Be the first to leave one.