200 rreshtat e parë.
Gotham kay pichlay season mein...
Woh yahin hai. Isi kamray mein.
Mere abbu ka raaz, isi kamray mein hai.
Loeb kay peechay jana khudkushi kay barabar hai, seedhi si baat hai.
Hamesha ki tarah, galat jagah aur galat waqt par.
Tum zillat ka bais ho, Loeb.
Aesa kia hai jo poora kaala, safaid aur laal hai?
Is tarah baat karna band karo.
Tum ne apni maa ko kyun maara, Jerome?
Barbara, Jason Lennon ne tumhare waaldain ko maara.
- Tum ne nahi maara. - Haan, maine maara.
Surprise, Fish!
Main Gotham ka badshah hoon!
Tumhein kia lagta hai yeh kia hai?
Kia bakwaas hai.
Nahi, ruko, ruko, ruko!
Is kay boht saaray majmooay zaroor hongay, Master Bruce.
Yeh pee lo.
Shukriya, Master.
Ab jao.
Yahan se jao. Chalo, chalo.
Main Zaardon hoon,
Chup karo!
Rooh ko kaatne wala!
Bewaqoof ghulam!
Tum log mujh se nahi bach sakte!
Sir, bandooq neechay rakhein!
Tum! Tum!
Choro!
Chalo!
Tumhare bekaar hathiyaar
mera kuch nahi begaar sakte!
Marne kay liye tayaar hojao, keeray!
Acha, suno, main tumhein maarna nahi chah raha, yaar, theek hai?
Abhi kaghzaati karwaayi baqi hai.
tou tum talwaar neechay kyun nahi rakh dete.
Neechay he raho. Araam se.
Aur, Gordon. Kia chal raha hai? Masroof ho?
Tumhein der hogai.
Yaar, pursukoon raho gay?
Masla kia hai tumhare sath, yaar?
Suno!
Theek nahi kar rahe.
Yeh kese ho sakta hai?
Zaardon ne master kay piyaalay se dragon ka khoon pee liya.
"Zardon", yehi kehlata hai na?
Haan do A kay sath.
Haan wohi.
Tumhari himmat tum mujhe jail mein band karogay?
Oh, nahi. Tum Arkham kay sab se kaam kay banday ho.
Sun lo, Gor-Don.
Tum ne bhalay se yeh jung jeet li hogi par jung abhi shuru hui hai.
Aaqa tumhein jahannum mein daal de ga.
Tumhare buray din anay walay hain.
Khabardaar karne ka shukriya.
Ed.
Tum theek ho?
Haan pehle se boht behtar hoon.
Officer Gordon 23611, captain kay daftar mein foran aaen.
Main chalta hoon.
Phir miltay hain.
Woh chala gaya. Pursukoon raho.
Taubah, khud ko dekho!
Sab sochein gay tum pagal hogaye ho.
Main ghabra jata hoon jab tum mujhse baat karte ho
agar koi aas paas ho tou.
Yeh karna band karo.
- Kia? - Yeh karna!
Meri naqal utaarna.
Dost, yeh sheesha hai, sheeshay mein aesa he hota hai.
Tumhein pata hai mujhe kia lagta hai humein kia chahye?
Mere khayal se
Humein
thora maza lena chahye.
Thora pyaar.
Ruk jao. Main janta hoon tum kia kehna chah rahe ho.
Main tumhein keh chuka hoon,
Ms Kringle ko akela chor do.
Socho woh humari baahon mein ho.
Uski bari bari ankhein tumhein dekh rahi hon,
aur uska mulaaim kapkapata badan.
Chup karo!
Yeh asaan sa sawaal hai, Officer Gordon,
Apne Officer Franks par hath uthaya tha ya nahi?
Haan.
Uthaya tha.
Naukri kay pehle din se tum,
aik nafarmaabardaar insaan banay hoay ho.
Mujhe laga tha tanazul hona tumhare chorne kay liye boht hoga.
Tumhare saathi Bullock kay liye tou kaam kar gaya tha.
Ab jab ke tum ne section 12 ki khilaaf warzi
ka jurm qubool kar he liya hai.
Fauri taur barkhaast karna zaroori hai.
Commissioner, yeh insaaf nahi hoga.
Officer Frank ko koi nuqsaan nahi pohancha,
aur Officer Gordon qaabil e tareef
andaaz mein aik khatarnaak soorte haal se nibtay.
Apke madad karne ka shukriya, Captain.
Saaray sach is baat ki gawahi de rahe hain.
Sach batate hain ke usay shabaashi ki zaroorat hai,
barkhaast karne ki nahi.
Tum logon ki niji zindagi mein ghus rahe ho.
Boht hogaya, khatoon.
Officer,
Mr Gordon ka badge aur bandooq le lijiye.
Yeh mera hukum hai.
Theek hai.
Janay dein.
Shukriya, wese.
Apke saath kaam karna boht bara aizaaz tha.
Yeh sab achay kay liye he hai, jantay ho.
Kuch mard police banne kay liye banay he nahi hotay.
Maine kaha tha main apko barbaad kardoon ga.
Aur karoon ga.
Tum ne Loeb se kia kaha? Gussa kia us par?
Khair, main uske faislay kay khilaaf gaya.
Chalo bhi.
Tumhein pata hai mujhe tafseel janni hoti hai.
Maine kaha main usay barbaad kardoon ga.
Kuch aesa he kaha tha.
Suno tum thaat se niklay ho.
Shayad yehi behtar ho.
Loeb ne bhi yehi kaha tha.
Mujhe pehle he nikal jana chahye tha.
Mujhe bus chorne se nafrat hai.
Tum ne nahi chora.
Tumhein nikala gaya hai. Is mein tum kia kar sakte ho?
Oh, kuch cheezein hain jo main kar sakta hoon.
Mujhe laga tum ne kaha ke tumhare paas koi qanooni rasta nahi bacha hai.
Nahi bacha.
Tumhein boht shiddat se police banna tha,
aur ap tum qanoon torna chah rahe ho?
Main bus thora tabdeel karna chah raha hoon.
Tum khush ho ke mujhe nikaal diya hai, huh?
Samajh gaye tum.
Par sirf isliye kyunke mujhe pata hai ke tum kabhi himmat nahi haaro gay.
Aur mujhe tumhari yehi ada pasand hai.
Par tumhari waja se unke paas log jatay hain, Jim.
Tou tum kyun apna sir deewaar par kyun maar rahe ho.
Main aik police wala hoon, Lee.
Police wala.
Hello, haseena.
Main Jerome hoon.
Chalte bano, laal balon walay.
Main tou bus keh raha tha.
Tou, tum yahan kyun ho?
Apne waaldain ko maarne kay liye.
Oh. Main bhi.
Khair, ammi bus, aik tarah se.
Oh, azaadi mehsoos hoti hai na?
Oh, kitna maza aata hai!
Acha, theek hai, phir.
Woh purkashish admi dekh rahi ho
jo tumhein aese ghoor raha hai jese tum tali hui murghi ho?
Richard Sionis.
Woh arab patti hai.
Apna jahaz hai uska.
Aik kashti hai jis me aik pani ka tub hai
aur us ne mazaaq he mazaaq mein
25 log maar diye.
Tou main kia karoon?
Tou, woh tumhein pasand karta hai.
Tumhara dost banna chahta hai.
Mujhe sochne do zara. Nahi
Aik larki ko yahan aik achay dost ki zaroorat hoti hai.
Dekho, yeh jo muhafiz hain, inhein koi parwah nahi.
Woh samajhte hain buri cheezein buray logon kay sath hoti hain.
Aur hamesha hoti hain.
Har waqt.
Hello, tum.
Hello?
Ganjay! Idher, idher. Hello, haan.
Hello. Idhar ao.
Hello.
Hello.
Mera naam Barbara hai.
Kia tum mere dost bano gay?
Haan.
Suno, agar koi yahan
mujhe nuqsaan pohanchana chahay
tou kia tum bachao gay?
Haan.
Boht shukriya
Jaanu maanu.
Ab mera aik dost hai.
Tum boht buri ho.
haan, tou tum ja kar mere liye sandwich kyun nahi banatay.
Tumhara dost laheem shaheem hai
Mera dost yeh jagah chalata hai.
Aur woh tumhein woh cheezein la sakta hai jo dosre nahi la sakte.
Kesi cheezein?
Jo tumhein chahye ho.
Mujhe aik telephone chahye.
Ogden Barker, 70 hazaar mein,
do mahinay kay sood kay sath, dhaai sau rupay.
Kehta hai Falcone uska hai.
Falcone gaya, tou uska qarz he harjana hai.
Khair, woh yeh nahi keh sakta.
Har koi kehna shuru kar dey tou?
Intishaar phel jaega.
No comments yet. Be the first to leave one.