200 บรรทัดแรก
Baraaye meherbaani tasdeeq kijiye ke P1 ATA ko hataana
aur cap 1 aur 2 sey badalna mukamal ho chuka hai.
DMA M1, M2, M3 aur M4 mukamal hain.
Acha. Yeh yaad rakhna, Explorer.
Dr Stone, Houston.
Medical aap ke ECG ke nateejay ke baaray mein fikarmand hai.
Mein theek hoon, Houston.
Medical iss baat sey ittefaq nahi karta,
doctor. Kya aapka dil kharaab ho raha hai?
Maamool sey ziada nahi, Houston. Diagnostics harri hain.
Moaslaati card sey raabta karein, data istemaal ke liye tayyar.
Agar yeh kamyaab raha, jab hum kal neechay utreinge,
Mein tum sab ko pilaaungi.
Doctor, woh date hogi.
Houston ka margarita yaad rakhna.
comms card shuru kar rahay hain.
link ki tasdeeq kijiye.
Humein koi data dikh nahi raha.
Hoshyaar raho, Houston, mein comms card dubaara chala rahi hoon.
Hoshyaar hoon.
Houston, iss mission ke baaray mein mein acha mehsoos nahi kar raha
Please barho.
Acha, mein tumhe aik kahaani sunaata hoon.
'96 tha aur mein yahan 42 din sey tha.
Jab bhi mein Texas ke ooper se guzarta, mein neechay dekhta tha
Yeh jaantay huay ke Mrs Kowalski ooper dekh ke meray baaray mein soch rahi theen.
chay haftay maine uss aurat ko pyar bharray ishaaray diye.
Phir hum Edwards per utray aur mujhe pata
chala ke woh kisi waqeel ke saath bhaag gayi.
tou maine apna samaan baandha aur nikal para...
Tijuana ke liye. Yeh kahaani tum suna chukay ho, Kowalski.
Jaise Houston ko yaad hai, woh apni '74 GTO mein nikli thi.
engineering department jetpack namonay ke liye
indhan ki surat e haal janna chah rahi hai.
paanch ghantay reservation se duur aur 30 feesad beh gaya.
Engineering department ko mera salaam dena.
siwayi thori sii kharabi ke roll axis apis mein aik dosray ko cancel kartay hain
lekin yeh jetpack aik behtreen namoona hai
Engineering department shukarguzaar hain.
Unko bolo mujhe phir bhi apni '67 Corvette, ziada pasand hai.
iss sey yaad aya, maine kabhi bataya...
Hum Corvette ki kahaani jaantay hain, Matt.
Engineering bhi?
khaas tor per Engineering.
Hum tumhe yaad kareinge, Matt.
Comms cards dubaara istemaal honay ki tayaari mein hain.
Shukriya, Doctor.
Shariff, tumharay paas kya chal raha hai?
Taqreeban hogaya. Battery module A1 aur C tabdeel kar raha hoon.
Sahi sey bata saktay ho?
Andaazon sey Houston ko bey chaini hoti hai.
Nahi, nahi, Houston. Bey chain nahi ho.
Beychaini dil ke liye nuksaan dey hai.
System dubaara chalnay ke liye tayaar hai.
Hubble telescope lag chuki hai.Upgrade poori tarah sey istemaal ke kaabil hai.
Yeh taaliyaan tumhaaray liye baj rahi hain, Shariff.
Mubarak ho. Ab araam karo aur aaj ke liye chutti.
Matt, tum dekh saktay ho
ke Mission ka maahir, Shariff kya kar raha hai?
Woh naach raha hai.
Lekin yeh meray hisaab sey buss aik tukka hoga.
Dr Stone, Houston.
Medical department ke paas ab aapka darja e haraarat 35.9 hai.
aur dil ki dharkan 7.0 hai.
Aap kaisa mehsoos kar rahi hain?
Houston, mein theek hoon.
Buss apna khaana neechay rakhna iss zero-G mein bohot mushkil hai.
Dr Stone, Medical ke loug pooch rahay hain
agar aapko wapis explorer per jaana hai.
Nahi.
Hum yahan aik haftay sey hain, Houston, yeh khatam karo. Ahem.
Card agaya.
No, woh munfi hai.
Mujhe darr hai ke umein yahan kuch nahi mil raha, doctor.
Dubaara koshish karo.
Nahi, abhi bhi kuch nahi.
Houston, please ye gaanay band kardoe.
Kowalski.
- Koi masla he nahi. -Shukriya, Kowalski.
Ab, Houston?
Yeh munfi hai.
Aisa ho sakta hai ke Houston ko data samajh na aaraha ho?
Koi data aa he nahi raha.
Engineering ke loug keh rahay hain ke kisi kharaabi ke liye tehqeeq krlein
Mujhe dekhnay doe kya ho raha hai.
Yahan kya hai?
Aise dekhnay mein tou kuch kharaabi nahi lag rahi.
Masla Comms ki taraf sey aaraha hai shayad.
Haan, aisa he lag raha hai.
Engineering ke loug maan rahay hain ke tumne humein pehle
he khabardaar kardia tha ke aisa kuch ho sakta hai
Maafi se kareeb yehi cheez milegi unse.
Humein aapki baat maan lena chahye thi, Doc.
ab aisa lagta hai ke humein isko behtar karna parega.
Mein kar rahi hoon.
Tumhe kitna waqt lagega?
Aik ghanta.
Zabardast.
Iss mission ka maqsad he apna system hubble mein daalna hai
aur issliye hum aap ke sabar ki daat detay hain, Doctor.
Kowalski, humein pata hai ke tumhe aisi cheezon ki fikar nahi
lekin phir bhi mein bataata chaloon ke yeh takheer ziada lambi nahi hogi.
ke tum Anatoly Solovyev ka khalla mein chalnay ka record tor doe.
Aisa lag raha hai ke tum...
pichattar minute peechay?
Meray dimagh mein kabhi yeh baat nahi ayi.
Matt.
Tumhaaray saath waqt guzaarna acha raha.
Tumharay saath bhi, Houston.
Apna aakhri baar tehelnay mein maza karna.
Kya mein Dr Stone ki madad karne jaun panel hataanay mein?
-Madad ka shukriya. -Ijaazat di jaati hai.
Shukriya, Houston.
-Mein bhi aajaun mazay lenay? -Haan.
Tumhaari tabyet kaisi hai?
Aik chotay kuttay ki tarah jisko dhobi ne dhoya ho.
Yeh hafta thora dushwaar guzra.
Agar yeh tumhe behtar mehsoos karaaye tou
Pehli dafa tou maine bohot khaansi ki.
Shit.
Maazrat.
Mujhe hospital ke neechay waalay floor ki lab ki aadat
hai jahan cheezein cheezein zameen per girti hai.
Shukriya.
Kher, tum he yahan akalmand ho.
Mein tou bus chalaata hoon.
Haan, mujhe akalmand kehna
agar mein ye board start kardun aglay aik ghantay mein.
Explorer, mein Houston hoon.
Haan bolo, Houston.
NORAD ki report ke mutaabiq aik rusi saiyaray ne missile ke hamlay ko jaanch liya hai .
Jiski wajah sey malbay ka baadal ban gaya hai
jo 20,000 miles per hour per ghoom raha hai.
filhaal malbay ki hil jul tumhaaray raastay mein nahi aarahi.
hum tumhe agaah karte raheinge..
Maine sun liya, Houston.
Yeh pareshaani ki baat hai?
Nahi, neechay walay bandon ko pareshaan honay doe.
Explorer, Cargo bay ki taraf murrho.
arm maneuver hoshyaar rahay.
Tou, Doc, ab aap NASA ke liye kaam kar rahi hain tou kaisa lag raha hai?
Jaise aapki lottery nikal ayi ho?
Mein buss khush thi k unho ne meri research ke liye paise band nahi kardiye.
-Training kitni lambi thi? -chhay maheenay.
Chuttiyan mila ker?
Tou, yeh scanning system kya hai?
Kuch nahi, Matt.
Buss nayi aankhein hain qainaat ka kinaara dekhnay ke lye..
Hospital ke istemaal ke lye banaya gaya tha lekin yeh waala aik namoona hai.
locking ke liye hoshyaar rahein.
Sun, woh namoonon per paisay nahi lagaatay.
Tumhaari khoobsoorat neeli aankhon ke liye bhi nahi.
Meri aankhein bhooray rang ki hain.
Abhi tou laal ho rahi hain.
Kowalski! Yeh zabardast hai?
Aur ye sochna ke woh Harvard gaya tha.
Aik baat ou maan'ni paregi.
Uss nazaaray ka koi jor nahi.
Tumhe kya pasand hai yahan?
Khaamoshi.
Mujhe iski aadat hosakti hai.
Zabardast.
Houston, pehlay muuainay sey comms panel marra hua saabit ho raha hai.
Kya mein madadgaar sey raabta khatam kardoon?
Tum maahir ho, doctor, tumhaari marzi..
Houston, mein iss mission ke baaray mein acha mehsoos nahi kar raha.
Khul ke bolo.
Waisa he mehsoos kar raha hoon jaisa Mardi
Gras ke baaray mein kar raha tha 1987 mein.
Yeh asbaati hai.
Control waalon ne Mardi Gras ka qissa nahi suna.
Please aagay bolo.
Pehla din aur mein Bourbon street per chal raha tha
Apnay dost ki behen ko talaash karte huay.
Sarkon per bohot rush tha aur mein soch raha tha ke mujhe kabhi nahi milegi woh.
Aagay barh rahay hain.
Phir achaanak maine ooper dekha aur woh dikh gayi. Mein cheekhnay waala tha.
Maine dekha usne kisi chaddi walay larkay ka hath pakra hua hau
jisne Margaritaville ki kameez pehni hui thi.
Aur phir mujhe ehsaas hua ke larka larka nahi hai.
Ke meri dost ne haath pakra hua tha...
-ISS, mein Houston hoon. -bolo, Houston.
-Explorer, mein Houston hoon. -Bolo, Houston.
Mission khatam. Dubaara, mission khatam.
Hangaami tor per hubble sey raabta khatam karo. wapis jaanay ki tayaari karo.
ISS, hangaami inkhala tayaar karo
Sun liya, Houston, kar rahay hain.
Matt, foran Explorer per wapsi. Dubaara, foran Explorer per wapsi.
Sun liya. Explorer, airlock tayaar.
- Airlock tayyar, wasool karne ke liye tayyar.
Houston, batao.
missile ki wajah sey malbay ne musalsal taamal kiya hai.
woh doosray saiyaaron per lg ke aur malba bana raha hai.
goli sey bhi ziada tezzi sey ooper jaaye ja raha hai.
- Sun liya. -Sun liya.
Dr Stone, uss per bow laga doe..
Mein nahi kar sakti. Board abhi tak shuru honay ki koshish kar raha hai.
-Mein dubaara nahi poochunga. -Aik second.
Nahi aik second nahi. Ab. Band karo.
Yeh hukum hai.
No comments yet. Be the first to leave one.