200 บรรทัดแรก
Satya-naas ho.
Bera-gark ho.
Bera-gark ho tumhara!
Dekh ke karo, budhay.
Kya mazaak laga rakha hai? Tum kaam theek tarha say nahi kar rahay.
Sooyi wohi kar rahi hai jo uska kaam hai.
Is baat ka aakhir kya matlab huwa?
Irezumi sirf jild ko chupata hi nahi.
Balkay tattoo insaan ke firaat ko ubhaarta hai...
aur The Book of Five Rings ke chaar azeem paishon ki akasi bhi karta hai.
Jin mein jungjoo, funkaar, taajir aur kisaan.
Agar sooyi aur jild ke darmiyaan koi tasadum hojaye,
uske nishaan yaa aadmi ke darmiyaan koi tasadum hojaye...
...tou phir shayad jo manzil aap ne chuni hai wo aap ke ain-mutabiq nahi.
Tumnay kya kaha, budhay?
Tumnay meri be-izzati ki, hai na?
Kya tumhara dimaagh thikanay par hai?
Agar tum meri be-izzati ki
tou main puri chath par tumharay khoon say tattoo bana dunga.
Mainay tumhari be-izzati nahi ki.
Tumhari qismat achi hai.
Main tumhara kaam khatam karnay tak tumhari jaan nahi le sakta.
Yeh aina dikhao mujhay.
Chalo dekhtay hain kaisa dikh raha hai.
Ziada bura bhi nahi hai.
Hey, boss. Yeh aap ke liye aaya hai.
Kya cheez hai?
-Aik khat hai. -Tou isiay kholo na, bewakoof.
Kya huwa?
Kya hai is mein?
Rait jaisa lag raha hai.
Haan. Rait hai yeh tou.
Kaali rait.
Nahi.
Tum jantay ho yeh kya hai?
Tum humein bhi lateefa batana chahogay?
Saalon pehlay mainay aik aadmi ko isi tarha ka aik lifafa kholtay dekha tha.
Uske saath aur bhi log thay.
Aur wo bhi isi tarha hans rahay thay jis tarha tum hans rahay ho.
Aur phir wo andheron mein say aya...
...aur unki hansi khoon mein doop gayi.
Andheron mein kon nikal kar aaya?
Main wo lafz nahi keh sakta.
Konsa lafz?
Us raat...
...uska aik chaaku yahan aakar phans gaya.
Mujhay mar jana chahiye tha lekin aik paidaishi ittefaaq ki wajah say bach gaya.
Mera dil yahan hai, bilkul dusri taraf.
Aakhir yeh hai kya?
Yeh kisi ninja jaisa lag raha hai, boss.
Aik ninja jaisa?
Kya tum mazaaq kar rahay ho?
Yahi lafz hai ninja, jisay bolnay say tumhein dar lag raha hai?
Ninja, ninja, ninja.
Budhay kaheen ke.
Haan, tumnay tou mujhay bewakoof bana hi diya tha.
-Ninja. Acha mazaaq hai. -Ninja.
Tum meray saath panga lena chahtay ho?
Tum meray saath panga lena chahtay ho?
Dekho, tumhein yeh sab karnay ki zarurat nahi hai.
Tumhein meray dushman jitni raqam bhi de ahay hain,
main tumhein us say dugni raqam doonga. Main tumhein us say tigni raqam doonga.
Meri baat sun rahay ho?
Tum jitni raqam chahtay ho main tumhein man chahi raqam doonga.
Tum us say soday baazi nahi kar saktay, tum us say muaida nahi kar saktay,
kyunke wo koi insaan nahi hai.
Wo aik shaitaan hai jisay jahannum say bheja gaya hai.
Apna mu band rakho, budhay!
Main tumhara mu ura doonga...
Sattawan saalon say, mainay tumhari kahani sunayi hai.
Kabhi kisi nay mera yaqeen nahi kiya...
...lekin kya tum waqai aasli ho na?
BERLIN EUROPOL HEADQUARTERS
Delgata case ke liye bas yahi sab hai?
Delgata yeh hai.
-Aur baaqi sab? -Wo saboot hain.
Kis cheez ke?
Aray nahi, Mika, dobara mat daurao, please.
Kya baat hai?
Tumnay meri tehqeeq par pehlay bhi tou bharosa kiya hai.
Theek hai, mera tum say aik sawaal hai.
In mein say konsa lafz jiska is jumlay say koi taaluq nahi?
Laptop, space shuttle, nanotechnology, ninja.
Main tou bas aik ghantay ka waqt maang rahi hun.
Mujhay aisa kyun lag raha hai mujhay is se bohot pachtawa honay wala hai?
Tumhein Eulmi Incident yaad hai?
Jab Korean queen ko uneeswi sadi ke aakhri hissay
mein kisi ninja guroh ne qatal kiya tha.
Mujhay lagta hai unhein Ozunu ne qatal kiya tha.
Mainay Kuniomo Shigeaki muqadmay ke asli transcripts ka muaina kiya.
Wakeel nay Shigeaki say 100 pounds ke sonay ki adaigi ke baray mein sawaal kiya.
Shigeaki ne jawaab diya ke usay nahi maloom
ke wakeel kis baray mein baat kar rahay thay.
Yeh sawaal uske baad phir kabhi pucha nahi gaya.
Lekin jis cheez say hila kar rakh diya wo thi uski raqam.
Afwa hai ke Osaka mein pichlay haftay honay walay qatal-e-aam ke liye
Ozunu Clan ko bilkul utni hi raqam ada ki gayi thi.
Tou tumhein lag raha hai, is badalti dunya mein
kya aik insaan ki jaan ki qeemat wohi rehti hai?
Bilkul. Meray khayaal say yeh clans aik hazaar saal puranay hongay?
Wo shayad apnay andar itnay badlao nahi laatay.
Tou mainay international wire transfers par nazar daalna shuru ki
...jo alaa satah ke khufiya qatal karwanay par banks mein raqam muntaqil kartay hain.
Aur socho mujhay kya mila. Russian Prime Minister Zhukov ka naam.
Unkay qatal say aik din pehlay...
pandra laakh, 55 hazaar, 999 dollars aur 90 cents ki raqam...
Bank of Shangai ke zariye muntaqil ki gayi.
Aur 100 pound sonay ki khuli mandi mein itni hi raqam banti hai.
Theek hai, mujhay yeh baat dilchasp lag rahi hai.
Wo saray guroh asli hain, Ryan.
Wo chotay bachon ko aghwa karke,
unhein paishawar qaatilon mein tabdeel kar detay hain.
Dekho, Mika, main in tareeqii haqaiq say inkaar nahi kar raha,
lekin aik jadeed dunya mein is qism ki baat ka koi tuk nahi banta.
Wo asli hain.
Agar tumhein behtar lagta hai tou tum unhein bhoot prait, paishawar qatilon
ya kisi bhi aur qism ka naam de saktay ho,
lekin wo waqai wujood rakhtay hain aur wo logon ki jaanein lay rahay hain.
Aur unhein roknay ke liye koi kuch nahi kar raha.
Hi. Baat suniyega.
Kya main aap ko takleef de sakti hun?
Agar aap bura nah manein tou,
kya aap is mein meri madad kar saktay hain?
Tumhara taaluq kis guroh say hai?
Tum Berlin mein kya kar rahi ho?
Main samjhi nahi.
Yahan kya chal raha hai?
-Tumnay kaha tha tumhein kuch mila hai? -Haan.
Main maloomaat ikhatta karnay ki koshish kar raha tha takay kuch mil sakein
aur mujhay yeh report mili.
Mujhay yeh Moscow mein mojood meray aik dost ne di.
Alexi Sabatin naami aik aala satah ke KGB agent ne yeh Sard Jung ke dauraan
yeh report likhi thi.
Is report mein usnay Nine Clans naami aik bohot puranay guroh ke baistar
siyasi qatal mein mulavis honay ke imkaan zaahir kiye hain.
Par yeh yaad dila dun ke wo unhein ninjas ke naam se nahi bulata.
Uske saath huwa kya?
Wohi jo meray saath hoga agar main tumhare saath phirta raha.
unhein zehni beemari ke bina par nokri say nikaal diya gaya tha.
Tumhein ab meri baat par yaqeen ho raha hai na?
Ninjas.
Tumhara dimaagh kharab hogaya hai.
Tou phir tum yeh sab kyun kar rahay ho?
Nahi janta.
Lekin main tumhein yaqeen dila sakta hun ke is baat ka taaluq mera pehlay kabhi
tumhari jaisi haseen researcher ke saath kaam nah karnay say hargiz nahi hai
Aray, Mr. Nan. Acha huwa aap wapas aagaye.
Aik heating ka masla hogaya tha
aur mujhay aap ke apartment mein jana para tha.
Kya ab sab theek hai?
Sab theek kar diya gaya hai.
Aap apnay apartment ko kaafi khufiya aur khaali rakhtay hain.
Aur mujhay maaf kar dijiyega lekin main aap ke suitcases
ke andar dekhnay se khud ko rok nahi saki.
Mainay tumhein bataya tha, meray waalid bohot beemar hain.
Kya aap ko fauri tor pay Berlin jana hai?
Filhaal nahi lekin main bas aik phone call ka intezaar kar raha hun.
Mujhay sun kar bohot afsos huwa.
Aik din hum sabhi ko mout ka maaza chakhna hai.
Chahay tum jis jagah par ho...
...chahay tum kaheen bhi chalay jao...
...tumhein yeh hargiz nahi bhoolna ke tum kon ho...
...aur tum yeh is muqaam par kaisay pohonchay ho.
Tum Ozunu ho.
Tum mera hissa ho...
...bilkul waisay jaisay main tumhara hissa hun.
Yahi tumhari zindagi ki haqeeqat hai...
...aur yeh aap ke marnay ke baad bhi bilkul aisay hi rahegi.
Yeh mera naya beta hai.
Mainay iska naam Raizo rakha hai.
Isay apna bhai samajh kar khushamad karein.
Khush-amdeed, Raizo.
Jism ko bas chahat tasleem karni hogi.
Bhook aur piyaas...
...hatta-ke aap ki raggon mein dorrta khoon bhi aap ke jism ki kamzoori hai.
In par qaaboo paao...
...aur aap khud par mukammal qaaboo paa sakeingay.
Isi cheez ko Ozunu Clan ki taaqat kehtay hain.
Yahi tareeqay-kaar hota hai aik ninja ka.
Aaj raat khana khao aur kal hum aaj say ziada mehnat karengay.
Is say kya sabaq mila?
Apnay bhai ko dekho.
Zindagi aik muqaabla hai.
Tum is haqeeqat say achi tarha waaqif ho.
Tumharay walidein ne tumhein chor diya...
...bina ghar ke, bina unn logon ke jo tumhari parwah kartay hain...
...tumhein tou ab tak mar jana chahiye tha.
Lekin bajaye marnay ke tumnay halaat ka saamna kiya.
Jaisa ke tum nay aaj saamna kiya, tum laray aur tumhein fateh huwi.
Muqablay mein, tumhein dushman ka saamna bina khauf kiye,
bina ars khaaye aur bina nadamat ke karna hoga.
Jeenay ke liye, tumhein apna har darr bhoolaana hoga.
Dard say kamzori ko barhawa milta hai.
Yaad rahay, takleef ka wujood...
...hamari kamzori say hai.
Tumhein har tarha ki kamzoriyon say nafrat karni hogi.
Dusron ki kamzoriyon say, lekin us say bhi ziada apni kamzoriyon se.
-Mrs. Sabatin? -Jee.
Main Mika Coretti hun Europol say. Hamari phone pe baat huwi thi.
Aap ka kehna tha ke aap ne meray shohar ki report parhi thi?
No comments yet. Be the first to leave one.