200 dòng đầu tiên.
Pichla season Arrow par...
Main nay tumhein yaqeen dilaya tha kay hum sab kuch haasil kar saktay hain.
Main ghalat thi.
Hamein aik dosray ko chorna hoga.
Mera bhi aik gaaon hai jo kay hukumat ka aik
banda chalata hai jis ka naam Kovar hai.
Tum waapis Russia jaogi
aur tum phir Kovar say nimat laina.
Ab tum kya karogay, Oliver?
Mujhe pata hai kay jo main nay kiya tumhein woh sahi nahi lagay ga.
Tum hamesha mujh say behter thi, Laurel.
Yehi mujhe tumharay baray mein sab say zyadaa acha lagta tha.
Main nay Laurel kay baray mein socha aur yeh bhi kay woh kya kahegi.
Shayad woh mujhe jaanay ka bolay gi.
Tum kya karogi?
Thora waqt lunga is team say duur ja kar aur is sheher say bhi.
Main, Oliver Queen, kasam khata hun
kay imaandaari aur ghair jaanibdaari say
Mayor ban kay is sheher ki khidmat karunga.
Tumhara bhai abhi tak nahi aya.
Woh apni ghari kay mutabiq waqt par hi ayega.
Aur ab woh sirf mera bhai hi nahi, Mayor bhi hai yahaan ka.
Haan tou shayad kisi ko usay yeh baat yaad dilaani chahiye.
Kya main aap ko meri kisi cheez mein madad chahiye Captain?
Aaj ki raat bohat ahem hai, Miss Queen,
aur jo hum nay anti-crime ka iqdaam uthaya hai us ki ibtedaa abhi honi thi.
Aur mujhe nahi lagta kay tumhein yeh batanay
ki zaroorat hai kay is sheher ko kitni...
Sheher ko ACI ki zaroorat hai.
Haan mujhe pata hai aur usay bhi, woh ajayega yahaan.
Woh bus aik chota sa kaam nimta kar araha hai.
Sunheri ya laal baalon waali kay sath hai woh?
Katthai baalon waali kay sath.
Mujhe bomb mil gaya hai.
Nahi, yeh aik bomb nahi hai.
yahaa aik, do, teen, chaar bomb hain.
Main is par kaam kar rahi hun, thora waqt lagay ga unhein nakaara bana nay mein.
Kya tum Machin ko masroof rakh saktay ho?
Mujhe nahi lagta kay yeh koi maslay ki baat hai.
Kya is ka yeh matlab hai kay tum mujhe nahi maarogay?
Thora pyaar haasil karnay kay liye kya karna paray ga?
Main nay tou sirf is sheher ko tabah karnay ki koshish ki thi.
Mera matlab hai aadhay sheher ko.
So jao.
SCPD ko bolna main nay aik tohfa chhora hai un kay liye.
Us say duur hato.
Main isay nakaraa bana raha hun.
Main nay yeh kaam kar diya hai.
Daikha tum nay?
Yeah.
Yeh tou jadeed daur kay fun ki bohat hi buri cheez hai.
Tum kya naya dost bana rahe ho?
Mujhe laga main nay tumhein bola tha kay yeh kaam dobara mat karna.
Yeh mera bhi sheher hai.
Tumhein madad karni hai?
Haan.
Tou phir police department mein thora bohat chanda day do.
Aur usse oopar rakho!
Kissay oopar rakho?
Mujhe tumhein dobara aisi kisi jagha par nahi daikhna.
Mayor apna sarkaari bayaan dainay waalay hain
anti-crime kay iqdaam par, Black Canary kay aizaaz mein taqreeb par, magar...
Magar woh kuch alfaaz abhi bol saktay hain.
ACI aik ahem iqdaam hai sheher kay andar jaraim ko kum karnay kay liye
magar main is baray mein tab hi sochunga jab is mein bari tabdeeliyaan hongi.
Kis tarha ki tabdeeliyaan?
Sab say pehlay tou police department mein corruption kay ilzamaat ki.
Okay. Mayor Queen baqi ki tafseelaat Black Canary kay
aizaaz mein di gayi taqreeb mein batayengay.
Aap sab ka bohat bohat shukriya.
Kya tumhein ahsaas hai kay tum nay
police department par corrupt honay ka ilzaam lagaya hai
police department gala mein?
Main nay sawaal ka jawaab diya tha.
Aur tum nay police department par ilzaam bhi laga diya
sheher mein jo kuch bhi ho raha hai us ki zimaydaari lenay kay bajaye.
Tumhein pata tou hai kay main zimedaari lay raha hun.
Haan tumhare dosre roup mein.
Magar mayor honay kay naatay aisa lag raha hai kay tum neend mein chal rahe ho, Okay?
Aur dair say aanay say yeh baat aur waazeh ho rahi hai.
Mayor bannay say mujhe bohat achi
khabrein mil rahi hai mere dosray roup kay liye.
Is say hamara maqsad pura ho sakta hai.
Yeh shuru tou aisay nahi huwa tha Ollie.
Tum chahtay thay mayor banna aur phir mayor ban
bhi gaye haqeeqat mein Mayor bannay kay liye.
Haan aur phir hamein haqeeqat ka pata chala.
Agar hamara waasta corrupt police department say nahi parta magar
ab parh chuka hai aur agar electorate jisay lagta hai kay mujhe
siyaasi shaaor "The West Wing" daikh kar aya hai.
Main phir bhi mayor bannay par dehaan nahi day pata, Speedy,
kyun kay dosray banday kay roup mein, main akaila hi kaam kar raha hun.
Theek, achi kooshish ki hai.
Controller say tax kay iqdamaat kay baray mein baat karna
aur Councilman Garcia say sanitation kay baray mein.
Aur deputy mayor bannay kay liye applications
tumhari desk par rakh di gayin hain.
Main peenay ja rahi hun.
Bohat alaa, mere dost!
Aaj ki raat jo inaam tum jeetay ho woh...
Main nay kahaa tha tumhein...
Mujhe paison ki fikar nahi hai.
Mere jeetnay kay baad jo waada kiya tha tum nay mujhe bus us ki fikar hai.
Bilkul, bilkul.
Magar Mr. Kovar kay sath kya kaam hai tumhein?
Tumhein is say koi matlab nahi hona chahiye.
Mujhe isi baat say dar lag raha tha.
Kya?
Jis banday ko aaj tum nay maara hai, tumhein jeetna nahi chahiye tha.
Woh un ka sab say acha banda tha, aur bohat paisay jeetta tha.
Kis ka?
Hamein Bratva bola jata hai.
Tum donon yahaan kya kar rahay ho?
Bohat dair hogayi hai.
Main nay bhi isay yehi bola tha
Magar yeh bol rahi hai kay secondary processor
GPU cache ko overclock kar rahi hai.
Acha tou lag raha hoga kisi aisay ka yahaan
hona jo Felicity ki tarha baat karta ho.
Main tou yahaan cheezon ko sahi karnay aur un ki daikh bhaal karnay kay liye hun.
Vigilantes tou tum log ho.
Haan aur yeh club ab bohat bara hota ja raha hai.
Yeh kya hai?
Wild Dog kay baray mein kuch malomaat.
Wild Dog?
Haan kyun kay woh qameez aisi pehenta hai.
Silly dog main maza nahi araha tha.
Main nay "wild" ka mashwara diya tha.
Sahi, aur mujhe kyun malomaat chahiye hogi us say muttaliq?
Main soch rahi thi kay usay maarnay say acha hai
kyun na tum usay yahaan lay aao.
Is nay usay maara hai? Tum nay usay maara hai?
Mujhe pata hai kay kisi ko apni team mein shamil
karnay ka yeh mansooba itna acha nahi hai
magar kaafi saray achay log hain jo kay
corrupt police department say nimatnay kay liye tayyar hain.
Evelyn Sharp, Mr. Ski Goggles.
Main bhi bhi is kay codename par kaam ho rahi hun.
Nahi aisa nahi hoga.
Main ab dosri koi team nahi bana raha.
Okay, kya tum nay dehaan nahi diya kay hum logon kay pass banday kum hain.
Thora aur bardaasht kar lo.
John waapis ajayega.
Thea bhi.
Aur agar woh nahi aye tou?
Tou phir main daikh lunga.
Jao tum donon ja kar sojao.
SCPD! Hum nay tum logon ko ghair liya hai.
Hathiyaar farsh par phainko.
Yeh kya hai?
Yeh hamaray log tou nahi hain.
Nahi.
Yeh log Los Halcones hain.
Daikha yeh log tumhein aaj loutnay ki koshish kar rahe thay.
Aur phir us kay baad goliyaan chali.
Tum nay in logon ko maar diya.
Aur in logon nay tumhein.
Laashein chor dou.
Paisay van mein rakkho ja kar.
Bravo.
Chalaaki aur zahaanat.
Bilkul Robin Hood jaisi.
Mujhe shuba hai kay tum ghareebon ki madad tou nahi karogay
in sab kharaab cheezon say.
Batao mujhe.
Main yahaan nayaa hun.
Maar dou isay.
Nahi.
Is banday ko maarnay ki kooshish ki tou tum logon ka khaatma ho jayega.
Kya tum yahaan kay in-charge ho?
Jehannum mein jao.
Is ka matlab haan.
Okay, doston.
Is nay kaha kay yeh yahaan ka bara hai.
Kya kisi aur ko in-charge banna hai?
Koi nahi?
Tou phir is ka matlab mujhe hi qadam barhana paray ga.
Chay DOAs.
Dealer aur uski girlfriend. Dou Los Halcones aur aik hamara banda.
Aur woh khush naseeb chata banda kaun hai?
Keating.
COD baqi marnay walon ki shanakht nahi kar
saka kyun kay unhein qareeb say mara gaya tha
-magar Keating... -Jismaani tashaddud say.
Aur yeh kya kisi qisam kay calling cards hain?
MO nay skel match kiya hai Tobias Church kay naam say.
Is ki jacket kay mutabiq
isnay aur iskay banday nay Hub City aur Bludhaven ko barbaad kiya tha.
Aur ab yeh yahaan hai.
Sawaal tou yeh hai kay Keating yahaan kya kar raha tha?
Kuch acha nahi.
Us nay call kar kay nahi bataya na kisi ko.
Kya tumhein lagta hai kay yeh koi Bent cop hai?
Koi farq nahi parta.
Ab woh mar chuka hai.
Lance boha thi ajeeb banda tha
magar us nay apnay department ko sahi say rakkha huwa tha.
Tum usay badge waapis day saktay thay.
Woh waapis agaya hai magar us nay kaafi mushkilaat ka saamna kiya hai
waapis atay huway.
No comments yet. Be the first to leave one.