Harry Potter and the Goblet of Fire

Harry Potter and the Goblet of Fire

Urdu সাবটাইটেল ডাউনলোড করুন

রিলিজ তথ্য

Harry Potter and The Goblet of Fire (2005) Urdu
ভাষ্য লিখেছেন kikywebsite

ট্যাগ

other
প্রকাশিত: 2019-06-16
ডাউনলোড: 140
শ্রবণপ্রতিবন্ধীদের জন্য: No

Urdu সাবটাইটেল প্রিভিউ

প্রথম 200টি লাইন।

Harry Potter aur Aag ka Jaam.

Manhoos bachay.

Wormtail, tum kab se intay saleekaymand hogaye.

Mujhay yaad hai tum ne aik baar gutter ke pipe ko ghar samajh liya tha.

Aisi baat tou nahi ke tumhein meri dekh bhaal thaka rahi hai?

Oh, nahi. Nahi, nahi, meray Lord Voldemort.

Meri baat ka matlab hai...

shayad us bachay ke baghair hee kar lein.

Nahi! Woh bacha hee sab kuch hai!

Uskay baghair nahi ho sakta. Aur waisa hee hoga.

Jaisa main nay bola hai.

Main aap ko mayoos nahi karounga, meray Aaqa.

Shabash.

Humaray puranay saathi jama karo.

Unhay khabar dou.

Nagini bata raha hai ke woh boorha rakhwaala

darwazay ke bahar khara dekh raha hai.

Hatto samnay se, Wormtail,

taakay humaray mehman se sahi tarah salam dua karein.

Avada Kedavra!

Harry.

Harry!

Tum theek ho?

Hermione. Bura khuab aaya tha.

-Tum kab aayi? -Abhi, abhi. Aur tum?

Kal raat.

Utho! Utho, Ronald!

Kya bakwas hai.

Kapray badlo.

Aur dobara na so jaana.

Chalo, Ron! Tumhari ammi ne nashta taiyaar kar liya hai!

-Ron, hum waisay ja kahan rahay hain? -Pata nahi.

-Aray, abbu. Hum kahan ja rahay hain? -Mujhay thora sa bhi andaza nahi.

Jaldi chalo!

Arthur!

Ab aa bhi jao, beta.

Maaf karna, Amos.

Kuch log ab bhi so rahay thay.

Iska naam Amos Diggory hai.

Meray saath Ministry mein hotay hain.

Aur yeh jawan yaqeenan Cedric hoga, haina?

Jee, sir.

Is taraf.

Merlin ki qasam! Tum Harry Potter hogay.

-Jee, sir. -Buhat, buhat acha laga mil kar.

Aap se bhi, sir.

Haaan bus us taraf hai.

-Tou karein kya? -Oh, haan.

-Hum dair se pohanchna nahi chaahtay hain. -Jaldi aao.

Bus pohonch gaye hain. Apni apni jagah pakro.

Sab is ganday se jootay ke gird kyun kharay hain?

-Yeh koi aisa waisa joota nahi, dost. -Ye Portkey hai.

Chalnay ka waqt hogaya hai!

Portkey kya hota hai?

Taiyaar raho, teen ki ginti mein! Aik, dou...

-Harry! -...teen!

Chhor dou, bacho!

-Kya? -Chhoro!

Jo bhi nazla tha sab nikal gaya hoga na?

-Maza aaya phir. -Shukriya.

Yeh tou dekho!

Bachon, Quidditch World Cup mein khush amadeed!

Saath rehna! Saath chalo, larkiyon!

Woh dekho!

Chalo! Saath chalo, larkiyon!

Blimey!

Chalo main chalta hun, puraanay dost.

-Match pe mulaqat hoti hai. -Theek hai.

-Cedric. -Ced, chalo.

Baad mein miltay hain, Cedric.

Ghar tou phir ghar hota hai.

Yeh kya?

-Buhat khoob. -Ginny, dekho!

-Sab nahanay jao. -Woh dekho.

Larkiyon, apna bistar dekho aur saman rakho.

Ron, kitchen se bahar niklo. Hum sab hee bhookay hain.

-Haan, kitchen se bahar niklo, Ron! -Pair maiz pe nahi rakho.

-Pair maiz se hattao! -Pair maiz se hattao!

Kya baat hai jaadu ki.

Quidditch World Cup ki taqreeb yahan munaqqid hai!

Yaar, abbu. Hum kitni oonchayi par hain?

Is tarah se dekho.

Agar tou barish hoti hai...

tou tumhein sab se pehlay pata chalay ga.

Abbu aur main minister kay khaas kamray mein hain

kyunke Cornelius Fudge nay zaati bulawa diya tha.

Ziada sheikhiyaan nahi maaro, Draco.

Koi zaroorat nahi.

Mazay karna, theek hai?

Jab tak kar saktay ho.

Aao upar. Apni apni nashiston par aao.

Mainay bola tha na ke sab se achi nashistay milengi.

Chalo!

Irish hai! Woh raha Troy!

-Aur Mullet! -Aur Moran!

Ireland! Ireland! Ireland!

-Woh aye Bulgarians! -Haan!

Woh kon hai?

Woh, behen, dunya ki sab se behtareen Seeker hai.

Krum! Krum! Krum!

Krum! Krum! Krum!

Krum!

Zabardast!

Shaam bakhair!

Magic kay Minister honay ki haisiyat se...

mujhay buhat khushi hai...

aap sab ko khush amaad karnay par...

Quidditch World Cup kay chaar sou baayeesway final pe!

Tou phir muqaablay...

ka aaghaaz kartay hain!

Krum! Krum! Krum!

Krum jaisa koi nahi.

-Krum? -Dumb Krum?

Woh kisi parinday ki tarah urta hai hawa mein.

-Woh aik khilaari se barh kar hai. -Dumb Krum.

Woh aik kalakaar hai.

-Tumhein kahin pyar tou nahi hogaya, Ron. -Chup karo.

Viktor, mujhe tum se pyaar hai

Viktor, main pyar karta hun

Jab tum duur jaatay ho, tou meray dil mein tum hee rehtay ho

Lagta hai Irish bhi shuru hogaye.

Ruko! Ruko!

Irish nahi hain.

Humein yahan se foran nikalna hoga!

Bhaago, Death Eaters hain!

Portkey tak wapis jao, sab ke sab, aur saath rehna!

Fred, George! Ginny tumhari zimaydari hai.

Jao!

Harry!

-Jaldi karo! -Harry!

Harry! Harry!

Morsmordre!

Harry!

-Tum kahan ho? -Harry!

Kab se dhoond rahay thay tumhein!

Humein laga tum kho gaye, yaar.

Woh hai kya?

Stupefy!

Ruko!

Woh mera beta hai!

-Ron, Harry, Hermione, tum sab theek ho? -Hum Harry ke liye wapis aye.

Tum mein se kisnay jaadu kiya tha?

-Crouch, tumhara dimagh tou theek... -Jhoot nahi bolo!

Tum pakray gaye yeh jurm kartay huay.

-Jurm? -Barty! Yeh bachay hain.

Konsa jurm?

Woh Dark Mark, Harry. Yeh uska mark hai.

Kya, Voldemort?

Woh jo log thay, naqab mein, woh iskay hee hai, haina?

-Uskay mureed. -Haan.

Death Eaters.

-Meray peechay aao. -Aik aur shakhs bhi tha.

Wahan!

Chalo saaray, is taraf!

Kon shakhs, Harry?

Kon?

Pata nahi.

Chehra nahi dekh saka.

Trolley se kuch chahye?

Trolley se kuch chahye?

Kuch chahye hai trolley se?

Drooble's ka Packet aur Licorice Wand.

Aisa karein, sirf Drooble hee dedein.

-Theek hai. -Sirf Drooble's. Shukriya.

Dou Pumpkin Pasties, please.

Shukriya.

Kuch meetha chalay ga, beta?

Aray, nahi, mujhay bhook nahi. Shukriya.

Trolley se kuch chahye?

Yeh buhat bura hua.

Ministry ko kaisay nahi pata ke kisnay jaadu kiya?

-Kya koi hifazati iqdaam nahi thay ya...? -Buhat thay, abbu ke baqol.

Tabhi tou itnay pareshan hain ke unki maujudgi mein aisa hua.

Wapis dard ho raha hai, haina? Tumhari chot.

Main theek hun.

Sirius tumse poochengay...

ke tumnay World Cup pe kya dekha aur apnay khuab mein.

Hedwig. Jao.

Runway clear karo!

Aisa lamha har din dekhnay ko thori na milta hai.

Ab jo hum sab aram se beth gaye hain, tou main aik ailan karna chahta hai.

Yeh mehel is saal sirf tum logon ka ghar nahi hoga...

balkay humaray kuch khas mehman bhi rahengay.

Kyun ke, Hogwarts ka intekhab hua hai...

Haan, kya hua?

Kya hua?

Unsay kaho intezar karein. Intezar karein.

Tou, Hogwarts ka intekhab hua hau aik buhat hee bari taqreeb ke liye.

The Triwizard Tournament.

-Aur woh log jo nahi jaantay... -Zabardast.

Triwizard Tournament teen schools ko laata hai...

mukhtalif tarah ke jaadu ke muqablon ke liye.

Har school se, aik taalib-e-ilm ko chuna jayega muqablay ke liye.

Main waazaye taur par bata dou.

Aik baar intekhab hogaya, tou phir woh tanha hai.

Aur meri baat par yaqeen rakho ke yeh muqabla kisi darpok ke liye nahi.

Par is baaray mein baad mein baat kartay hain.

Par abhi khush amadeed kartay hain

Beauxbatons Academy of Magic ki khubsurat larkiyon ko

aur unki headmistress, Madame Maxime ko.

More Urdu subtitles for Harry Potter and the Goblet of Fire

মন্তব্যসমূহ

No comments yet. Be the first to leave one.

Keep it about this subtitle — sync, quality, typos.500 characters left