Hidden Agenda

Hidden Agenda

Urdu സബ്ടൈറ്റിൽ ഡൗൺലോഡ് ചെയ്യുക

റിലീസ് വിവരങ്ങൾ

Hidden Agenda (2001) Urdu
കമന്ററി എഴുതിയത് kikywebsite

ടാഗുകൾ

other
പ്രസിദ്ധീകരിച്ചത്: 2019-07-28
ഡൗൺലോഡുകൾ: 13
ശ്രവണ വൈകല്യമുള്ളവർക്ക്: No

Urdu സബ്ടൈറ്റിൽ പ്രിവ്യൂ

ആദ്യത്തെ 200 വരികൾ.

- Hey, hey, hey. -Araam se, araam se.

FBI, theek?

Ruko! FBI!

Sir, maaf kijiyega. Plane ja chuka hai.

Aap naheen ja sakte!

Ek musaafir nikal gaya hai aage.

-Maaf kijiyega, sir. -FBI!

Aap naheen ja sakte!

Security chahyye! Abhi!

Teen log hain jo chale gaye hain!

Chalo.

-Khaao aur bhaago. -Oh!

Ruko!

FBI! Tumahra truck le ja rahe hain!

Price?

Special Agent Turgenson.

Tumhein ye Vincent Moretti kahan se lagta hai, ehmaqon?

-Kya tum uske saath the? -Haan.

Men's room ke ilawa.

Kahan hai woh?

Mazaaq naheen kar raha!

Barinas Drug Cartel ke khilaf woh ek ehem gawah hai.

Tumne use kaha ke ye kare, phir use chhor diya.

Ham use hifazat de rahe hain.

Aur us mein bhi nakaami!

Bura ye hua ke pichhle hafte woh qatal hote hote bacha.

-Toh system mein aib hain. -Mujh mein naheen.

Koi aur ehmaq dhundlo.

Kisi haalat naheen. Hamne is par do saal guzaare hain.

Tajjub naheen ham se pitt gaye. Giriftar karo ise.

Powell?

Ise chhoro.

Abhi.

Ye ek FBI operation hai, NSA naheen.

Main ye tabdeel kar raha hoon.

Jaane do.

Peecha naheen chhorunga tumhara. Qasam khata hoon.

Tum theek ho?

Haan. Behtar hoga agar ye jaan loon, ke main ek aisa gawah kyun

chhupa raha hoon jo Barinas ko pakarwa sakta hai.

Tum kuch naheen kar rahe, Price.

Ham kar rahe hain.

Ye paison pe kaam hai. Hamesha ki tarah.

-Jankari, sirf zaroorat parne par. -Fuzool baat hai.

Moretti hamare bandon mein se tha.

Cartel wala mamla us se bara hai.

Bureau mein maujood ehmaq

wahee hamesha bara mudda naheen dekh paate.

Match

5647 Lake Drive Rosedale Virginia

Ab se Price, ye yaad rakhna

ham private cilents ka naheen poochte jinka tum hamare system se poochte ho.

Hamare clients...

...unka na poocha karo.

Snug Harbor Chesapeake Bay

Behtreen zayiqa, doston.

Sab theek? Haan? Theek.

-Breezes mein khush amdeed. -Shukriya.

-Inka khayal rakhna. -Shukriya.

Is taraf, please.

Khawateen, hazraat...

-Khoobsurat shaam ho aapki. -Shukriya.

Yaqeen naheen aata.

Hamare paas paise naheen, aur ye 50 dollar ke cigar baant raha hai.

38,000 dollar ka nuqsaan Breezes ka is maheene.

176,000 dollar saal mein, aur ab ye.

Ye IRS ki taraf se aane wale purane taxes ka amaalnama.

Ye bohot...

...mushkil raha hai.

Mushkil? Barbaadi hai.

Jo bhi ham kamaate hain, woh ye jagah kha jati hai.

Kev, tum jante ho restaurant ko farogh naheen de sakte.

Raaz faash ho sakta hai.

Mujhe bas thora sukoon chahyye, Khuda ke waste.

NSA wale samjhote ka pata hai tumhein.

Un par saal mein do ehsaan karte hain, aur hamein network ka access milta hai.

Haan, aur behtreen hai. Lekin is saal hamne ehsaan hi kiye hain.

Bhool jao.

Mujhe sharab chahyye.

Maaf kijiyega, band ho chuka hai.

Apne jigri dost ke liye bhi?

-Sonny! -Hey!

Dekho apne aap ko.

Ye kaam tum par acha lagta hai, dekh raha hoon.

-Kahan ho? -Seattle.

Seattle mein baarish hai, aur Icarus Group.

Mujhe ye pata hai ke Bureau ko baarish ki parwah naheen.

Suna hai ke tum ne Paul Elkert ko apni giroh ki khilaf hone par razi kiya.

-Acha kaam. -Bohot shukriya.

Business kaisa chal raha hai?

Bura naheen. Awards jeet rahe hain.

Lekin mere khayal se tumhare yahan aane ki ye wajah naheen.

Turgenson.

Moretti wali baat par ghussa hai.

Judge ko janta hoon. Tumhare liye ye haasil kiya.

Socha tumhein pehle se batadun.

Khaer...

Afsos hai ke use mazaaq samajh naheen aata.

Hey, dekho yaar. Tumne sab ke saamne uski be izzati ki.

Use badla chahyye.

Khayal rakhna. Theek?

-Theek hai. Shukriya. -Theek hai.

Hey, ajao. Tumhare liye ek jaam banata hoon.

Oh, zaroor pasand karta. Lekin Grand Jury mere intezar mein hai.

Insaaf kabhi sota naheen, yaar.

-Hey. -Hey, Sonny.

Kuch dilchasp?

Zaroor. Agar khirki saaf karne walon ko poore din dekhna dilchasp hai toh.

-Aur aas paas kya kya? -Do bande peeche hain. Sab saaf hai.

Theek hai. Chalo. Main ja raha hoon.

Haan, zaroor.

Sonny agaya?

-Jee. Andar hai, sir. -Achi baat hai.

Ham bhi jaayein andar, phir?

Ya tum logon ne suna naheen, ke Cleaner hai is case mein?

Suna hai, aur pareshan naheen.

Bilkul naheen. Sar mein goli us ka kuch khaas naheen bigaar saki.

Chup karo.

Hi.

Sab agaye?

Hamne unko paanch dinon se alag rakha hai.

Achi baat hai. Naheen chahte ke, gawahiyon ka mawazna ho.

Dostana hain? Yoesky ko chherenge?

Jo samjhote, aur jo hifazat, pesh ki hai, pasand hain.

Isiliye yahan koi wakeel naheen.

Theek. Karte hain phir.

Paolo Bucci se aghaaz, phir Renee Brooks. Elkert aakhir mein.

Samajh gaye?

Us warrant ka kuch pata hai jo mujhe lejana hai tumhare dost Price ke liye?

Kuch maloom naheen.

Cigarette peene ja raha hoon.

Bucci ko Grand Jury kamre mein le kar jaao.

Mujhe jaana hoga.

Dekho, aqalmand.

Agar naheen chahte ke tumhare joote kharab hon

toh mujhe bahir jaane do.

Kya? Toilet paper pakroge mere liye?

Ghuswar log.

Apna ulta haath Bible par rakhiye, aur seedha haath uthao.

Kya tum qasam khaate ho ke jo bhi gawahi aaj do ge Jury ke saamne

is mamle mein, woh sach hoga, poora sach

aur sach ke siwa kuch naheen, Khuda ki marzi ke saath?

Haan.

Beth jayye.

Mr. Bucci,

aap aghaaz karein Icarus Group mein apne faraaiz se.

Chalo! Kharre rehna hai kya! Kuch karo!

Bahir! Bahir chalo!

Ek sniper hai!

Tum kaun ho?

Mujhe aise hi naheen maar sakte.

Naheen, aisa naheen karo!

Madad! Madad! Maine Cleaner ko dekha!

Chup karo! Chup karo!

Kya chal raha hai? Kya chal raha hai?

Chup karo!

Bathroom mein dekho! Bathroom mein dekho agar hai wahan!

Laanat!

Khudaya, kya koi ye laanti alarm band karega!

-Hey... -Mere paas ek court order hai...

Jis se ye riha hoga.

Ham iski hifazat ki zamanat naheen le sakte custody ke bagher.

Kya mazaaq kar rahi ho?

Tumhari custody mein rahega, toh marega.

Chalo.

Kutte ka...

Laanat. Ye kisne kiya?

Cleaner ka kaam hai ye.

Woh qaatil?

Toh aur kaun, ehmaq.

Toh mujhe batao, tumhein khrki saaf karne walon ke ilawa kuch naheen dikha?

-Haan. -Mere khayal se tumhein kuch naheen dikha.

Kya dekh rahe ho?

Price, hamein baat karni hai.

Jante ho main kaun hoon?

Haan. Paul Elkert.

Achi baat hai. Phir mere aane ki wajah jante ho.

Naheen, asal mein.

Subah ka akhbaar parha?

Dekho...

Main restaurant chalane wala hoon.

Chalo, Price.

Tum mere halaat jaante ho.

Sab theek hai sirf ek cheez ko chhor ke. Qatal karne wala...

...Cleaner hai.

Sahee.

Bata raha hoon. Use dekha maine.

Tumne Cleaner ko dekha?

Haan.

Andhera tha. Usne hood pehna hua tha.

Wohi tha. Mere paas chal kar aaya.

Sar par bandook rakhi. Aur meri talaashi li.

-Kya dhund raha tha? -Maloom naheen.

Haan, sahee.

Use mili naheen woh cheez, warna tum abhi zinda naheen hote.

Nazar tez hai tumhari, Price.

Use isiliye naheen mili kyune woh cheez

tumhare sar par rakhe qaleen ke neeche hai.

Main mutassir hua hoon.

Main naheen.

അഭിപ്രായങ്ങൾ

No comments yet. Be the first to leave one.

Keep it about this subtitle — sync, quality, typos.500 characters left